Sunday 21 August 2011

roi aankh


jab lagi thokar zindagi mein kabhi to dekh usse roi aankh, jab kari kuch pane ki hasarat  na puri ho paayi wo khwaaish to dekh mujhe roi aankh, jab chale bheed mein akele to mujhko tanha dekh roi aankh, sabki khushi pe luta di zindagi humne apni saari par khud ki zarurat pe koi na paya saath to dekh mujhe roi aankh, sabko diya har pal ka saath par apne aakhri pal mein na paay jab kisi ko paas  to dekh usse roi aankh.......

sikka gir aawaz huii, sheesha toota awaz huii, dost chhuta aankh roi, par jab dil toota to aawaz na huii bas sirf aankh roi..

jab saans chalti hai...

jab saans chalti hai dhadkan badti hai, jab pyaar badta hai umang badti hai, jab koi apna ban jata hai to khushi badti hai aur jab koi apna bana kar dil tod jata hai to dil mein dard aur aakho se asko ki dhaara badti hai....

happy janmashtmi

mata yashoda k hai wo ladle, balram k hain pyaare, gopiyo k dil mein jinka raj, unka hai janmdin aaj........aapko sabi ko janmashtmi ki hardik shubhkaamnayein....
 
 
 
 
 
 
mohani soorat dil hai bhola, jinhe dekh kar sabka dil hai dola, gopiyo sang raas rachaate, matki fod kaakhan khaate, mata Yashoda ko b khoob satate par fir b sabke mann ko hai bhaate, wo to hai bas hm sabke pyaare Shri Krishna.........

Happy Janmashtmi to all of u my dear frdssssssss.................

Tuesday 16 August 2011

Do pal ka saath tha tumhara


Do pal ka sath tha tumhara, do pal ka pyar tha tumhara, do pal ka gussa tha tumhara, do pal ka dur jana tha tumhara, do pal ka nazara tha tumhara, tum rahe sath hmare bas pal do pal par hmne apne har pal pe naam likh diya sirf tumharaa...

Wo to h parmeshwasr..

Log poojte h prabhu ko mandir masjid, log dhundte h prabhu ko idhar udhar, par wo nadan nhi jhankte to bas apne dil k andar, prabhu to baste h sabke dil k andar, wo na milenge tumhe kisi mandir, maszid, church ya gurudware, q ki wo to rahte h bas sachhi shradha bhakti aur vishwas k sahare hmare mann k andar..

Wo to h parmeshwasr..

i love so much god..


Na koi roop na koi rang h unka, na koi aakar aur na prakar h unka, jaisi dikhai shradha jisne paya usne hi unko waisa, kahne ko lo baat diya unhe b logo ne anek naamo me, baandh diya unhe b mandir, masjid, church, gurudware ki seemao me, par wo na samajh na jaan sake ye ki wo parmeshar to mukat h inn sab bandhano se, wo rahte h shrashti k kan kan me, na to koi roop aur na rang h unka....


Dese lyns only 4 u god, i love so much god..