Sunday 9 December 2012

kaash iss duniya me koi to aisa mil paata

kisi b shakhs k galat kadam (suicide, nashe ki lat, ekantwas, sanyas, chori, daketi, aatankwaad etc) uthaane k pichhe koi ek shakhs ya ek kaaran nahi hota, kisi b
shakhs ko aisa krne k pichhe bahut saare log aur kaaran hote h, aur wo
shakhs jo aisa karne ka apna mann bnata h wo ye kadam uthaane k aakhiri waqt tak ye
sochta aur ummid krta h ki:-
 


 kaash iss duniya me koi to aisa mil paata jisse mai apni dil ki har
baat khul  k bta pataa, koi hota kaash mere saath jiske
saath mai apne saare gam bhool k khushi k chand lamhe bitata, koi hota
kaash mere paas jo mere kahe bina kuch meri aankhon se hi dil me
chhipe dard ko dekh pataa, kaash koi meri hassi me chhipi maayusi ki
wazah jaan pataa, kaash koi to itni bdi duniya me aisa hota jo apne
seene se laga k mujhe kuch pal k liye sahi par har dard se dur le
jataa, uskaa saath aur uska itna pyaar kaafi tha mujhe zinda rakhne k
liye, wo shakhs muje pta h na to pariwaar ka hota aur na rishtedar ka,
na wo padosi hota aur na dost hota, na wo premi hota aur na
jeevansaathi, sachh to ye h ki ye saare rishte hi mil kar majbur krte
h khud ko mitane k liye, par inn sabse alag wo kaash mil jataa muje jo
deta sirf pyaar, itna pyar kaash milta muje jo har baar zindagi ki jang
ladne aur jeetne ki taakat deta, iss berahm duniya mein har rishte se door kaash wo kahi to hota jo mujhe samajh paata, kaash ae meri badnasib zindagi wo
kahi to hota, wo benaam pyar ki moorat, wo anjaan c soorat kaash
khwaab nhi hakikat hota, kaash wo kahi to hota, khwabon me nhi shamil
meri tanha zindagi me hota, kaash wo kahi to hota.....

Saturday 8 December 2012

bhool ja ab usse.......Sad Poetry....

ye dil mera kise puraakrta hai, ae mere paagal mann tu kiski raah dekhta hai, jo dete rahe hai ab tak tujhe sirf gam aur aansu tu unhi ki raah kyon taakta hai, tujhe nahi hai pata iss zamane ka zara bhi, tujhe nahi koi khabar iss duniya ki thodi bhi, log milte hai, ek rishta banaate hai, kuch unn rishton ko aaj ya kal mein tod jaate hai aur kuch unhe kuch aur pal tak nibhaate hain par ant mien anjaam to fir wo hi unhe chhod k jaana hi hota hai, ae mere paagal mann kuch to ab samajh tu bhi, jinki rakhi hui hai aas tune milne ki, hai jo tere mann ki gehrai mein ek wo ummid unka pyaar pane ki, tu jo sochta hai wo karte hai tujhse hai pyaar, tujhe rakhenge apne dil mein aur denge har lamha khushiyon ki bahaar,

 to jaan le ae mere dil wo na to kabhi karte the tujhse pyaar aur na kar sakenge kabhi tujhse pyaar, khushiyon ki bahaar to door tujhe sirf denge aansu aur gam beshumaar, tujhe ab tak lagta tha ki wo nahi hai auron jaise rishte bana kar unhe yu chhod kar jaane wale, par jaan le ae mere paagal mann hai to wo bhi ek saadharn insaan, wo kaise kar sakte hai maanav vayvhaar se khud ko alag, zazbaaton ko jaise insaan rondta hai apne matlab k liye perron tale waise hi unhone bhi teri har baat aur usme chhipi har bhaavna ko kuchla hai perron tale, nahi tha unhe matlab tujhse aur teri baaton se, unhe jo tha matlab wo tha jo ek maanav ka apne vipreet k liye hota raha hai aaj tak, ae mere paagal mann isliye tujhse baar baar meri ye hi ek vinati hai bhool ja ab usse, bhool ja wo sab, bhool ja har pal jo jiya tha tune unke saath, chala tha kuch door tu bhi unke, kuch dekhe the sang unke khwaab tune, bhool ja ae mere paagal mann sab kuch tu bhool ja, aur agar na bhool saka tu usse, milega dard har pal tujhe, ruaalate rahenge har pal wo tujhe, aankhon se behati ye nadi ki dhaara na kabhi rukegi teri, inhe dekh kar humesha unke chehare pe muskurahat bhi bani rahegi,  har pal milegi sunapan aur tanhari tujhe unse, na ho sakegi fir kabhi iske koi bharpai, 
isliye ae mere paagal mann  kisi k liye nahi tu apne liye sab kuch bhool ja, jeena seekh ja tu ab unke bina, rahna seekh ja tu ab unke bina, wo kaun sa door ja kar tujhse tujhe yaad karte honge, wo kaun sa tujhe waha par pukaarte honge, khush honge wo apne jeevan shelly mein waha fir tu kyon karta hai koi fikar unki, jaise wo khush hai tujhse door ja kar, tu bhi ab unke bin khush hone ki aadat bana le, soch le tu bhi ae mere paaagal mann, ek na ek din to unhe tujhse door jana hi tha, wo tujhse door jaane ka ek aur kahar laate isse pahle hi tune unpe koi ek to sitam kiya, unse mile anek dard mein se koi ek to unhe diya, jo todte wo rishta tujhse na hota sahan tujhse, tune tod kar rishta ye ahsaan kiya hai khud pe, bas ek fariyaad hai ae mere paagal mann jaise tune tod diya hai rishta unse par saagar ki gehrai se bhi jyada jo tere mann ki gehrai hai usse bhi kar de juda ab usse, bhool ja ab usse, jee le apne liye, bhool ja ab usse.........


Thursday 6 December 2012

kar du zindagi se juda tujhe ab.....






"meri har subah mein teri hi yaad hoti hai, meri har shaam mein teri hi baat hoti hai, dil kahta hai mera ki bhool jaau tujhe ab, kar du juda khud se tujhe ab, par jaise din dhal k hoti hai raat mujhe tadpati hai tere sang bite  lamho ki  har baat, kahta hai mera ye paagal mann bhool kar saare wo shikwe aa jau ab tere paas, tu bhi bhool kar saare wo gile aa jaye ab mere paas, par jab yaad aane lagti hai teri wo ruswaiyon ki kahaniya, tera dil todna aur fir door ja kar mujhe hi ilzaam dena, mujhe rula kar khud ka yu muskurana, baat baat pe tera mujhe hi satana, har baat pe mujhe hi galat batana, bin galti pe meri tera bewzah hi yu ruth jana, yaad kar teri wo baat purani tujhse juda fir mera ye mann hone lagta hai, aane lagati hai ye aawaz dil se fir tod du har rishta ab tujhse , bhool jau ab tujhe, kar du apni zindagi se ab alag tujhe....."




ye kaisa rishta tune hai

"ae mere maalik ye kaisa rishta tune unse bnaya hai, wo krte hai har pal sitam, satate hain mujhe har dam, dete hain har waqt aansu aur gam hai, fir bhi q wo hi itnaa yad aate hai hardam, jab jab koshish krte hain unhe bhulane ki hum,  dur jane ki unse hum, q fir bhi mujhe wo meri har dhadkan k saath aankhon se aansu ban k chale aate hai, q yaad aa kar mujhe itna har pal tadpate hain.."

Tuesday 4 December 2012

nahi h mohbbat ab tumse


 q nahi dil se mere dur tum hote ho  q nahi dil se mere dur tum hote ho, q nahi khwaabo se dur tum jaate ho, kya kiya h tumne mujpe ye jaadu,itnaa rulaate ho mujhe fir bhi q nhi meri yaadon se  dur tum hote ho,koshish ki maie jitnee bhi tumhe bhulaane ki  utne hi aansu ban kar tum chale aate ho..




nahi h mohbbat ab tumse
keh to diya hmne nahi h mohbbat ab tumse, q fir muje yad aate ho, dur q nhi hoti yad tumhari, q tadpaati hai har baat tumhari, ji chahta hai bhul kar saare puraane gile shikwe aa jau tumhare paas, tum bhi laut aao mere paas sab kuch bhula kar, par aati wo baat yaad tumhari, jab tumne na ki thi kadra hmari, dikha kar berukhi har baar, tod kar chale jaate the dil humara baar baar, pyaar humara sirf dil behlaane ka tha jariya tumhra,  khush bahut hote the tum hume dukh pahucha kar, khush bahut hote  the tum hume rula kar, mere askhon ko paani keh kar tum mushkurate the, inhe hum bewazah bahaa diya karte hain ye kahte the, yaad kar ke wo baat purani  wo tumhari ruswaiya ki kahaani mere  dil se aah nikalti hai aur bas ye hi aawaz aati hai iss toote huye dil k tukdon se nahi hai mohabbat ab tumse.....

A Dogi Says and A Lover Says..

ek dogi apne owner se promise ye karta h : main ye to waada nhi karta
ki jab tak duniya me tum rahoge mere dost tab tak mai tumhara saath dunga par ye
waada jarur karta hon ki jab tak main duniya mein hon tab tak tumhara har pal
saath dunga..

Lover ye promise karta hai: main ye to waada nhi karta ki tumhe kabhi
khush rakhunga, zindagi k har mod pe hmesha saath dunga, tumhe dil se
apna kahunga, tumse humsha pyar karunga,kabhi dil dukhane wali koi
baat nhi krunga, par ye waada jarur karta hon jab tak
tumse mera matlab nikalta rahega, jab tak jyaadti sahte
rahoge, meri berukhi bhi har waqt muskurate rahoge tab tak hi
shaayad kuch samay din/mahine/saal ya tak mai tumhara saath dunga

so moral thng, kisi lover ki
jagah kisi kutte se pyar ko, kam se kam wafadaar ban kr apni puri life
apne owner jise wo apna best frd, apna khuda, apna sab kuch manta uske
liye jita h, uske naam kr deta h..

Sad Shayries-Hindi

 yaad jaati hai

kyon nhi iss dil se teri yaad jaati hai, kyon nhi mere dil se door teri har baat jaati hai, kah to diya maine ki nahi hai mujhe ab mohabbat tujhse fir bhi kyon dil mein mere tujhse milne ki ummid baar baar aati hai.....


bin tere

bin tere hai sooni meri zindagi, bin tere nahi hai koi khushi, kaash tu kabhi palat k ek baar dekhta mujhe, jaan paata mere gusse mein chhipe uss pyaar ko kaash tu, samajh sakata mere ikraar ko kaash tu, dekhta ek baar mujhe palat ke ek baar fir tu, hai kitni  adhoori si hai meri ye zindagi bin tere,hai kitni sooni ye zindagi meri bin tere......