Tuesday 12 March 2013

कहीं तो होगा


कहीं तो होगा कोई जिसे मेरा भी इंतेज़ार होगा, कहीं तो होगा कोई जिसे  मुझसे भी प्यार होगा, ढूंडती होंगी नज़रे  जिसकी हर पल इधर उधर कही तो होगा कोई मेरा दिलबर मेरा हमसफ़र,

 चलते चलते राह में शायद मिल जाए मुझे वो, जो है ख्यालों में काश सामने आ जाए वो, बस ये ही सोच कर हर लम्हा है उससे मिलने का मुझे इंतेज़ार, देखते ही उसे  शायद मेरा दिल भी होने लगे बेकराअर, 

कभी कभी आता है ये ख्याल मन  में मेरे क्या होगा वैसा जैसा सोचा है मैने ख्वाबों में या फिर होगा वो वैसा जो है इस  नसीब में, पर फिर सोचती हूँ मैं वो जैसा भी होगा मेरा होगा,

 गोरा ना सही काला होगा, खूबसूरत नही बदसूरत सही पर जिसके दिल में नाम तो सिर्फ़ मेरा होगा, नही होगा भले वो दुनिया के लिए हसीन पर मेरे लिए तो वो मेरा खुदा होगा,




अब थक चुकी हैं नज़रे मेरी इंतेज़ार उसका करते करते, उसकी राह देखते देखते जाने कितने अजनबी है मुझे आज तक मिले,

 मैने नही देखा  है जिससे आज तक इसी बात का फ़ायडा उठाने वाले मुझे जाने कितने मिले, वास्ता उनका दे कर मेरे करीब आ कर मेरे दिल को खिलोना समझ  कर खेलने वाले जाने कितने मिले,

 आफ़सूस जिसका था मुझे इंतेज़ार बस वो ही मुझे आज तक नही मिले, जो आते हैं ख्वाब में मेरे लेकिन छिपा के नकाब में अपना चेहरा बस वो नकाब वाले मेरे दिलबर मुझसे अब नही मिले, 

दिल ने बना ली थी एक छवि  उनके नकाब के पीछे छिपे किसी शख्स की, ज़िंदगी की दौड़ में होगी  उससे कोई मुलाकात  भी कही,

 पर अफ़सोस  की मिला धोखा मुझे हर  उस शख्स से, वो नही निकला जिसका मुझे इंतेज़ार था, इस नकाब के कारण ही शायद मुझे हर वक़्त वो लोग ही मिले जो दिखा के वफ़ा कर के बेवफ़ाई एक दिन मुझसे दूर हो चले



वक़्त के साथ अब आने लगा है ये ख्याल मेरे मन में, शायद ना मिल सकेगा वो नकाबपोश जो है इस  दिल में, 

धीरे धीरे ज़िंदगी के दिन भी होने लगे है कम, थक चुकी हैं आँखे मेरी  और साँसे भी होने लगी हैं कम, शायद उन्हे भी कही कोई और मिल गया होगा या फिर उन्हे ही मेरा पता ना मिल सका होगा,

 वक़्त के साथ उन्होने भी मेरा बहुत इंतेज़ार किया होगा, जब ना मिल पाया होगा कोई उन्हे तो हालत से हार कर किसी और को ही अपना बना लिया होगा,

 कभी कभी दिल में मेरे ये ख्याल भी अब आता  है शायद वो नकाबपोश और कोई नही दिल का ही कोई झूठा ख्याल था, मान लिया था सच जिससे मैने वो कुछ नही बस एक मेरा झूठा ख्वाब ही था,

समझाती हूँ अपने दिल को लाख बहाने से, कहती हूँ ख्वाब में आने वाला कोई और नही  बस एक ख्याल  था एक  झूठा जिसे  मान लिया था तूने अपना, 

है नही किस्मत में तेरी साथ तेरे चलने वाला कोई, है नही दुनिया में कही अपना तुझे कहने वाला कोई, है नही यहा कोई ऐसा सिर्फ़ तुझपे मरने वाला कोई,

 है इंतेज़ार तुझे जिस  चाहत का नही है वो तेरे लिए क्योंकि शायद बना ही नही  तेरे लिए कोई ऐसा ना तू बनी है किसी और के लिए, है नही यहा कोई ऐसा तेरा जो थाम सके हाथ तेरा और साथ दे सके जो ज़िंदगी भर तेरा,


 रह कर अकेले ही ढूंदनी होगी तुझे खुशी अपनी, किसी के साथ नही अकेले ही सही पर ज़ीनी होगी तुझे अपनी ये ज़िंदगी, भूल कर उन अनेक फरेबों को और भुला के उस  अजनबी दिल में बसी मूरत को जीने लग तू अपनी ये बची हुई ज़िंदगी




पर क्यों ये जानते हुए भी मन में मेरे हर पल आज ये ख्याल आता है,कहीं तो होगा कोई जिससे मेरा भी इंतेज़ार होगा, कहीं तो होगा कोई जिससे मुझसे भी प्यार होगा, 

ढूंडती होंगी नज़ारे जिसकी हर पल इधर उधर कही तो होगा कोई, चलते चलते राह में शायद मिल जाए मुझे वो, जो है ख्यालों में काश सामने आ जाए वो, 

बस ये ही सोच कर हर लम्हा है उससे मिलने का मुझे इंतेज़ार, देखते ही उसे  शायद मेरा दिल भी होने लगे बेकराअर, कभी कभी आता है ये ख्याल मन में मेरे क्या होगा वैसा जैसा सोचा है मैने ख्वाबों में या फिर होगा वो वैसा जो नसीब में मेरे लिखा है, 

पर फिर सोचती हूँ मैं वो जैसा भी होगा मेरा होगा, गोरा ना सही काला होगा, खूबसूरत नही बदसूरत सही पर जिसके दी में नाम तो सिर्फ़ मेरा होगा, नही होगा भले वो दुनिया के लिए हसीन पर मेरे लिए तो वो मेरा खुदा होगा,

पर मेरे लिए तो वो मेरा खुदा होगा,

पर मेरे लिए तो वो मेरा खुदा होगा, "
 

--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

Sunday 10 March 2013

Ishwar Vaani-rang-20

Namskaar doston aaj hum apni Ishwar Vaani mein Ishwar dwaara banayi gayi iss duniya mein uske vibhinn rangon ki charcha karenge, hum aapko bataynge ki Ishwar ne iss shristi mein vibhinn rangon ko banaya arthaath inn rangon se humara aur shristi ka kya sambhandh hai..



Ishwar kahte hain, "maine iss duniya mein vibhinn rangon ka nirmaan vishesh uddeshyon se kiya hai, 


Pratham : yadi sansaar mein har jagah ek jaisa hi har jagah nazar aaye to srishti mein aur jeevan mein neerasta utpann ho jaaygi, issi neerasta ko khatm karne ke liye maine rangon ka nirmaan kiya,

Dwityaa : inn rangon ka sambhandh praani ke vyavhaar, vikaas aur avasthao se bhi hai, jaise praani ka vyavhaar sada ek sa nahi rahta, jaise praani kabhi prasann to kabhi krodhit rahta hai waise hi ye rang bhi sada badlte rahte hain, 

jaise maanav ki avastha aur vyavhaar mein pareewartan aata hai waise hi inn rangon mein sada pareewartan aate rahte hain,


Ishwar ne praani kee avasthao ke aadhar par hi satrangi Indadhanush ka bhi nirmaan kiya hai, ye satrangi indradhanush maanav ki saat avasthao ke anuroop rangon ka bakhaan karta hai, 


Ishwar kahte hai jaise praani ki avastha, vyavhaar, vikaas, soch,  samajh, unnati,  aavshyaktaye, ichhaye sada ek jaise nhi rahtee sadaa pareevartit hote rahte hain, ussi ke anuroop uske jeevan ke rang bhi badlte rahte hain, jaise usse bachpan mein khelono se khelne par jeevan ke aanand ka anubhav praapt hota tha, ussi mein usse jeevan ke rangon ke darshan hote the kintu bade hone par uski aavshyakta badli aur jeevan ke rangon mein bhi pareevartan aaya,

Ishwar kahte hain ye sab aavshyak bhi hai kyon ki yadi aisa na ho aur samay samay pareevartan na ho to ye samast shristi neeras lagne lagegi, Ishwar kahte hain isliye unhone praaniyon ko bhi srishti ke vibhinn rahsyon ke  baare mein  jaankari nahi di  kintu usse samajh avashya di hai taaki wo kuch had tak apne mann ki jigyaasa ko shaant karne hetu praayas kare aur safalta prapt kare taaki shrishti mein aur praani jeevan mein neerasta na sake aur praani sada kuch na kuch naya karne kee ichha se sadaa kisi na kisi kaayra mein vaysht rahe aur praaysrat rahe jo uski budhhi aur samajh ke anukool ho,


Ishwar kahte hai praani ke ye hi prayaas aur jigyaasa hi usse jeevan ke vibhinn rangon ke darshan karati , aur issi liye unhone kai vishesh uddeshyon se inka nirmaan kiya hai, ye rang aur inka sambhandh praaniyon ke vyaktitwa se hota hai athwa vyaktitwa nirmaan mein bhi inki aham bhoomika hoti hai, bina rangon ke ye duniya neeras aur adhoori c lagti hai, iss adhoorepan ko poora karne ke liye hi Ishwar ne inka nirmaan kar srishti ko ek anmol tohfa diya hai.."





Jara soch kar dekhiye bina rango ke ye duniya kaisi lagti....


wish you a very happy holi to all of you my dear friends






thanks and regards

   Archu

Saturday 9 March 2013

bahut dur ja chuke ho tum



"kahan ho khoye huye se tum, jaage ho ya soye huye se ho tum, ho kahan duniya me ye to bata do tum mujhe, ho mere aas paas yahi kahi ya fir bahut dur ja chuke ho tum,  ho khafa mujhse ab tak ya fir maan(non-complaint) chuke ho ab tum, door ja kar mujhse ho kitne khush tum jara ek baar ye to bata mujhe tum, ho bhi aaj iss duniya mein ya fir ja chuke iss zahan se tum, kahan ho khoye huye se tum, jaage ho ya soye huye se ho tum..."
--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

seh liya karte the......


"dil todna aadit thi tumhari dil jodne ki baat tum karte the, gam dena fidrat thi tumhari khush rehne ki baat tum krte the, laga ke chot seene pe aksar isse chhipane ki baat kaha krte the, bana ke zindagi ko meri ashko ka dariya chaahat-e-ishk tum isse kaha krte the, meri har wafa ko bewafai keh tum  har dafa bewafai mujse kiya krte the, de kar dard judai ka aksar tum muskurane ke liye kaha karte the, aaj juda ho kar bhi yaadon mein meri aa kar yaadon mein hi rulaaya karte ho, khush ho tum mujhe gam de kar to hum bhi khush hain tere har sitam seh kar, chaahi hai zindagi mein maine sirf ek teri hi khushi har dam, raho sadaa khush tum ye hi soch kar diya tera har dard bhi hum hass kar saha karte the, teri khushi ke liye hi tera har sitam hum yu hi seh liya karte the......"

Friday 1 March 2013

tere jaane ke baad

tere jane ke baad na apna sake hum kisi par tu ya na samajh ki mila na mujhe koi tere jaane ke baad, sachh to ye hai mile bahut mujhe tujhse juda hone par lekin na raha aitbaar kisi par tere jane ke baad,

tere jaane k baad na bana sake apna aur kisi ko par tu ye na samajh tujhse mohabbat hai ab iss dil ko tabhi na apna sake hum kisi ko, sachh to ye hai na raha ab aitbaar kisi ki chaahat par mujhe tere jaane ke baad,


tere jaane ke baad na ban sake hum kisi ke hamsafar aur na koi bana hme saka apna dilbar par tu ya na samajh tujhse karte the kabhi koi ummid tujhe apna hamsafar banane ki lekin har rishte se karne lage hain nafrat aaj hum tere jaane ke baad,


tere jaane ke baad hain kuchh udaas aaj bhi hum par tu ya na samajh gam hai mujhe tere jaane ka sachh to ye hai hain aaj bhi utnaa akele jitna rahte the tere saath hum akele, sochh kar har wo teri beeti baat yaad kar karte hain hum tere jaane ke baad,


tere jaane ke baad hain namm aakhne meri par tu ye na samajh hai dil mein koi gam mere isliye namm hai aankhe meree par sachh to ye hai ki the tanha saath bhi hum aur hain aaj bhi akele hum tere jaane ke baad,



tere jaane ke baad na ummid the hum aur aaj bhi koi ummid nahi zindagi se apni par tu ye na samajh tujhse karte the koi ummid hum, na ummid ke saath aaj bhi jee rahe hain apnee ye zindagi hum tere jaane ke baad,


tere jaane ke baad matlab-e-Ishk mujhe samajh mein aaya, duniya ka dastoor mujhe samajh mein aaya, hoti hai kya chaahat ke badle bewafai iska matlab mujhe samajh mein aaya, na aa sake fir kisi ke Ishk mein hum kyon iski sachhai ka matlab jo baad mein samajh aaya, door hote gaye hum dheere-dheere Ishk ki duniya se tere jaane ke baad,



tere jaane ke baad karte gaye khud ko zindagi se juda par tu ye na samjhna darte the hum bin tere zindagi jeene mein isliye karne lage hain khud ko khud se juda par sachh to ye hai iss zindagi mein mili hai jo bewafai apno ke naam se uska dard na kar sake hain bardsaast hum, isliye karne lage hain khud ko aaj barbaad hum bas tere jaane ke baad,


 hain nahi iss dil ko ab koi chaahat tere laut aane ki tere jaane ke baad, gaya hai tu hi mujhe tanha chhod kar maine nahi kaha tha tu chala ja kahi mujhe yu tanha chhod kar, aana to kabhi to laut aana mere paas lekin ye mat sochna na apnaynge hum tumhe ab fir kabhi tere yu jaane  ke baad, 


tere jaane ke baad ujadi hai zindagi meri, hogi aabad kabhi tere lautne ke baad aisa tu sochna bhi mat kyon ki karte hain mohabbat jo tujhse itnee kaise kahe  kis kadar kho chuke hain apna sab kuch tere jaane ke baad, hain aaj bhi hum to sirf aur sirf tere yu tere jaane ke baad..........

Aitbaar to Kara de.......

"tere intezaar mein main apni zindagi guzaar du par tu mujhe ek baar ye aitbaar to dila de ki tujhsa wafadar na milega mujhe kahi, tere pyaar mein apni zindagi guzaar du par tu ye aitbaar to jara dila de ki tere jaisa aashik na milega mujhe kahi, tujh par ho jaau main fida zamane ko chhod kar par jara tu mujhe apni chaahat ka aitbaar to  ek baar kara de, tere liye chhod ke apni khushi thaam lu haath tera aur apna lu ye teri yaari par ek baar tu na chhodega kabhi haath jo mera na chhotegi teri yaari mujhe ek baar iska  aitbaar to kara de, ek mujhe to apne sachhai  ka yakin to tu kara de.."

Ishwar Vaani......19


priye paathakon aaj hum apni Ishwar Vaani mein uss parmeshwar ki aaiyu yaani ki umar ki ke baare mein aapko batainge,

Q*humne Ishwar se puchha ke prabhu aapki umar kitnee hai, log kahte hain aap hazaar saal ke hain to kuch log laakh saal ki umar aapki batate hain, aap bataye prabhu ki aapki vaastavik umar kya hai?????


Ans* Ishwar ne kaha unki vaastavik umar utni hi hai jitnee ki aakash ki unchai hai.Ishwar ne kaha ki jaise ki aakash ke ek chhor se le kar jahan tak tum ek rekha kheech lo utnee mere ab tak ki umar hai kintu meri poori umar to shrishti ke ek kone se le kar doosre kone tak jo rekha kheechoge utnee hi hai, jintee aakash ki gerai hai utnee hi meri umar hai avam tab tak hi main iss shrishti mein hoon.


Q* humne unse puchha kintu log to kahte hain ki aapki umar hazaar ya laakh saal hai, kya wo log agyaani hai prabhu? ye hazaar aur laakh saal aapki aaiyu ka kya taatparya hai kripya hume bataye.


Ans* Ishwar ne kaha jo log meri aaiyu hazaar ya laakh saal batate hain to sirf mere uss bhotik swaroop ko hi ginte hain jisse maine apnaya tha shrishti kalyaan hetu, Ishwar ne kaha haan wo agyaani hai jo sirf mere bhotik swaroop ko hi mera vaastavik swaroop maan kar meri aaiyu tay karte hain, sachh to ye hai shrishti ke nirmaan se poorva se le kar shrishti ke ant ke baad bhi main hoon aur rahunga aur ye hi meri aaiyu hogi, prani maatra ko agar meri aaiyu ko andaza bhi lagana hai to bas uss vishaal aakash ka ek shira pakad ke waha se ek rekha kheeche aur jahan tak wo laa sakta hai le aaye tab jo nishkarsh nikalega wahi meri aaiyu uske liye nirdhaarit hogi...







to priye paathakon iss prakaar Ishwar ne hume apni vaastavik aaiyu yani ki umar ke vishya mein bataya, aapko humari ye Ishwar Vaani kaisee lagi kripya jaroor bataye,


dhanyawaad
--
Thanks and Regards
 *****Archana*****