Sunday 22 September 2013

Bhaawnaheen Bhagwan

"Kabhi kabhi hume apne dil ke virdhh faisle karne padte hain, ishwar hume aise modd pe kyon le aata hai, ek taraf to khushiya deta hai jannat zamin pe hai ye dikhata hai aur doosri taraf wo sab khuch chheen kar sirf dil mein dard aur aansu de jaata hai, ye mana sab kuch usii ka hai, wo jab chahe hume kuch de aur jab chahe chheen le, shayad wo aisa isliye karta hai kyonki wo bhaawnaheen hai, uske seene mein dil nahi pathhar hai tabhi usse prathnao aur bhaavnao se matlab nahi jab chaahe bas usse hum se juda kar deta hai ye kah kar ki ab tumhra yaha samay poora hua, ye bhaavnaheen bhagwan kya kisi ki bhavnao ki kadra karega ye to sirf aanu hi dega kyonki iski fitrat hi ye hai"
"Kabhi kabhi hume apne dil ke virdhh faisle karne padte hain, ishwar hume aise modd pe kyon le aata hai, ek taraf to khushiya deta hai jannat zamin pe hai ye dikhata hai aur doosri taraf wo sab khuch chheen kar sirf dil mein dard aur aansu de jaata hai, ye mana sab kuch usii ka hai, wo jab chahe hume kuch de aur jab chahe chheen le, shayad wo aisa isliye karta hai kyonki wo bhaawnaheen hai, uske seene mein dil nahi pathhar hai tabhi usse prathnao aur bhaavnao se matlab nahi jab chaahe bas usse hum se juda kar deta hai ye kah kar ki ab tumhra yaha samay poora hua, ye bhaavnaheen bhagwan kya kisi ki bhavnao ki kadra karega ye to sirf aanu hi dega kyonki iski fitrat hi ye hai"

मैं ही वो दीपक हूँ जलता हुआ"

"hai jarurat nahi muje chand sitaro ki, hai jarurat nahi muje in nazaro ki, tadpa ke khud ko jo dur krta hoon andhera sabka main hi wo wo Deepak hoon jalta hua"




"है जरुरत नहीं मुझे चाँद सितारों की, है जरूरत नहीं मुझे इन नजारों की, तडपा के खुद को जो दूर करता  अँधेरा सबका मैं ही वो दीपक हूँ जलता हुआ"

मेरे मरने पर अपने अश्क ना बहाना

मेरे मरने पर अपने अश्क ना बहाना ऐ मेरे यारों,नहीँ तो ये अश्क मुझे फिर से खीच लायंगे इस दुनियाँ मेँ उस रब से मिला कर

Thursday 12 September 2013

kavita- unke har diye har dard par bhi hum har pal muskurate rahe

"unke har diye har dard par bhi hum har pal muskurate rahe, wo hume ashk dete rahe aur hum humesha unhe chhipate rahe, socha tha shayad unhe ek din ahsaas hoga apne diye in zakhon ka, kabhi to band hoga unke in sitamon ka silsila, tha pata khudko behla rahe the hum, unke har jhooth ko bhi sachh man kar ussi ko zindagi maan rahe the hum, par ek bewafa se humne jo wafa-ae- ummid ki galti ki, kuch nahi yaaron ussi ki hi saza mujhe mili, aakhon mein aasuon ke saath aaj jeene par mazboor hoon, maut ko bulate hain apne paas par afsos usse bhi koshon door hoon, chaha tha kisi ko jahan apnee zindagi samajh kar ussi ne chheen le meri zindagi aur main zinda laash ban kar jeene par mazboor hoon"

hme malum na tha-kavita

"pyar kya hota h hme malum na tha, dard kya hota h hme malum na tha, milan aur judai, khushi aur gam, muskan aur fir ashko ko b hmne kabi pehchana na tha, jane kaise tum mujhe mil gaye, kami thi jiski zindagi mein wo rang mujhe mil gaye, jin bato ko pahle jana aur pehchana na tha, jinse mera kabi afsana na tha aaj wohi meri pehchan ban gaye,
de kar hasi kuch pal ki mujhe zindagi bhar k liye rota chhod gaye, manga tha bas itna hi unse jivan bhar ka sath jiska, wo kuch dur tak to chale tham kar hath mera fir kisi aur k gale lag gaye mujhe akela chhod gaye,

tanha aur akeli zindagi mein aaj pata chala mujhe ki aakhir pyar kya hota hai, bewafa aashik ki yaad mein jab ye dil pal pal tadap kar rota hai tabhi apni iss nadani ka ahsas hota hai, tabi mohbbat me khud ko kitna luta chuke h iska ahsas hota h, tabi wafadari ki iss khata ka ahsas hota h"

archu shayri collection


 meri subah na hoti thi

"jiske naam k bager meri subah na hoti thi usine umar bhar k liye tanha mujhe chhod diya, jike bager na dil me koi dhadkan thi usi ne mera dil perro tale kuchal diya, jiske hr sitam b hm hass kar rahte the ye soch kr ki kabi to usse meri mohbbat ka ahsas hoga, socha na wo hi ek din bewafai ka gam de kar umar bhar k liye rula jayga jiskee khushi k liye uske sitam k hr jakham ko hmne chhipaya tha.........."


 usse fikar nai

 "usse fikar nai mere tarane ki, usse fikar nai mere afsane ki, maine to zindagi naam kar di jiske liye usi ne fikar nai ki mere chahne ki, maine to kar di kurban har khushi jiski ek muskan k liye par usne hi fikar nai ki mere iss zahan se jane ki"





tera intzar karenge-kavita

"jin raahon pe akela tumne hme chhoda hai unn raho par umar bhar bas tumhara intzar karenge hum, tum aao ya na aao ye marzi hai tumhari, par nazre bichhaye har pal tumhara hi intzar krenge hum,

hai pta hume tum to ho bewafa fir b wafadar banke wafadari nibhaynge hum,

tum chahe na chaho hume par umar bhar tumhi se mohbbat krenge hum,

bas jaye chahe dil mein tumhare noor-ae-jannat koi par tumhe apne dil se nikalne se pahle mar jaynge hum"




"जिन राहों पे अकेला तुमने हमे छोड़ा है उन राहों पर उम्र भर बस तुम्हारा ही इंतज़ार करेंगे हम, तुम आओ या न आओ ये मर्ज़ी है तुम्हारी पर नज़ारे बिछाए हर पल तुम्हारा ही इंतज़ार करेंगे हम,


है पता हमे तुम तो हो बेवफा फिर भी वफादार बनकर वफादारी निभायंगे हम,

बस जाये चाहे दिल में तुम्हारे नूर-ऐ-जन्नत कोई पर तुम्हे अपने दिल से निकलने से पहले  मर जायंगे हम "