Tuesday 13 January 2015

ek nayi subah ki nayi roshni mujhe chahiye

"Ek nayi subah ki nayi roshni mujhe chahiye,
Jo khil uthe kawal is dil mein wo Kali mujhe chahiye,

Hai  kitna andhera mere is sune jeevan mein,
Jo de sake jyoti apni bas chingari wo mujhe chahiye,


Hai kitne kaante mere to pag-pag par yaha,
phucha sake manzil par wo dagar mujhe chahiye,


Hai nahi hausla mehfil mein khade hone ka, 
Firse jahan mein chalne ka hausla mujhe chahiye,


Tut kar bikhare hai aaj is kadar yaha zaha mein,
Ban kar mala ek fir se judne ka zazba mujhe chahiye


Ek nayi subah ki nayi roshni mujhe chahiye,
Jo khil uthe kawal is dil mein wo Kali mujhe chahiye"

Sunday 11 January 2015

dil mein dard aur aankhe nam nahi

Hai dil mein dard aur aankhe nam nahi,
dur tujhse jaane ka mujhe bhi gam nahi,

bin tere main khudme kuch kam to nahi,
akele meri ye zindagi berang bhi to nahi,

chal rahi hu in raho par sang koi nahi,
wafai ke badle mili bewafai tujhse,

par zindagi mein umang kuch kam to nahi,
sooni si meri zindagi mein sitam ab nahi,

bahut rulaya bahut sataya tune mujhe,
tujhse juda ho kar khush hoon main bahut,

mere saath tu bewafa hadam Jo nahi,
 hai dil mein dard aur aakhe nam nahi-2

Saturday 10 January 2015

mana tha usse bhagwan ki jagah

"Maine pooja usse bhagwan samajh ki tarah, 
par nikla wo shetaan ki tarah,

 dil ke mandir mein basti thi uski hi soorat, 
par nikli wo hewaan ki moorat, 

bajti thi ghanti uske hi pyaar ki dime mere,
Uski hi yaado se hote the mere sham savere,

Ek bewafa se dilke rishte the jode hamne,
WO harzai nikla auron ki tarah"

Tuesday 30 December 2014

happy new year

"Aaya naya saal aaya, nayi nayi khushiya nayi tarange laaya,

Jo rah gaya hai adhoora Marne usse hai poora naya saal hai aaya,

Kuch nayi kuch purani baat bhi ye hai sang apne laaya,

Samet pichhali yaado ko naye saal ka swagat karne ka ab samay hai aaya,

Aaya aaya naya saal aaya 

intezaar saari rah karenge

"Unhe lagta hai pyaar ham unse har baar karenge,
WO todenge dil ye mera baar-baar,
 aur mohabbat unse ham beshumar karenge,
Dil jiske liye sirf ek khilona tha mera,
Us bewafa dilbar ka intezaar saari rah karenge"

Sunday 28 December 2014

dur ho kar bhi tum dur nahi

Dur  ho kar bhi tum dur nahi, juda ho kar bhi juda tum nahi,

Meri mohabbat ka asar hai ye shayad ya deewangi hai ye meri,

Kahte hain log  mere in ashko ko dekh ab is zahan mein nahi,

Par dikhti ho tum mujhe in nazaro mein hat pal yahi-kahi,

Dhoondti hain meri nazare tumhe aur aati ho hirni ki tarah balkhati si,

Mand mand muskaati si dil mera churaati si mujhse nikal kar mujhme hi tum samati ho,


Fir bhi jaane kyon sab kahte hain tum yaha nahi ho, tum ab nahi ho tum kahi nahi ho,

Naadan hain WO Jo kahte hain ye, WO kya jaane ishk ki gehraai,

Maut bhi juda na kar sake aisi chahat ki thi hamne, juda ho bhi rage sada here hi dilme mohabbat bhi hamne aisi hi ki thi,

Saagar ki gehraai se bhi jyaada gehri mohabbat gehri mohabbat hamne ki thi


Kaise batau is zahan ko, ksise samjhaau har insaan ko,
 Tum hi ho zindagi meri tum hi ho hat khushi meri ae meri hamnashin,

Dur ho kar tum dur nahi, juda ho kar tum juda nahi-3

bin tere kuch bhi nahi

Baith akele mein sochti hi mainTere  bin kya hu main tere bin kuch bhi nahi,
Hasti hu saath main tumhare, dekhti hu khwaab bhi sang tumhare,
Baith akele mein sochti hu main there bin kya hu main bin tete much bhi nahi

Roti hu bin tumhare main, bahati hu ashk bin tumhate mein,
Hoti hu kitni akeli main bin tumhare, jeeti hu tanhaayi mein itni bin tumhare,


Sab kuch hai paas mere, fir bhi rahti hu udaas bin tumhare,
Hain itne khubsoorat ye nazare, nahi bhaate hain mujhe an bin tumhare,


Ye teri mohabbat ka asar hai ya khumaar hai is dil mein Teri hi deewangi ka,
Ye Teri chaahat ka asar hai ya meri hi kisi nadangi ka,

Sochti hu main Jo na hota tu zindagi mein meri, kya hoti main aaj air kya hoti meri ye zindagi,
Sach hi to hai tere bin kya hu main bin tere kuch bhi nahi-2