Wednesday 11 March 2015

haatho mein jaam lena..





"Haathon mein jaam lena bhi mujhe aata hai, subhah aur shaam  khud ko duboye isme rakhna mujhe bhi aata hai,

 ab to har zahar peena mujhe bhi aata hai, hai aarzoo yaha khud ko mita dene ki,

kambakht ye vish ka pyala har baar yu hi jaane kyon fisal jaata hai,

jee chahata hai kho jaau kahi is nashe ki mehfil mein main bhi,

par jaane kaun har baar mujhe yaha se kheech laata hai, hai maut ko gale lagane ki chahat ab dilko,

 jaane har dafa zindagi ki oor fir mujhe koi le jaata hai.....


Haatho mein jaam lena mujhe bhi aata hai-4

A True story(ek sawal)

Kabhi kabhi aisa kuch ho jata hai ki hamare sapne hi hamare dushman ban jaate hai, wo sapne jinhe poor a karne ke liye jee-jaan laga dete hai aur fir aisa kuch hota hai WO hi khwaab hame rulaane lagte hai,


Ye kahani kisi aur ki nahi balki meri apni hai, ek aam ladki ke hi sapne the meri in aankho me, ek aam ladki si hi zindagi jeene ki hasrat thi meri, aankho mein chhote chhote khwaab ek aam ladki jaise,

Par kismat me meri ek aam ladki ki zindagi nahi likhi thi, Maine bahut koshish ki apne sapne poore karne ki par main asafal rahi,

Bachpan se hi ladke ladki ka bhed-bhaaw sahti hui main jab kishoravastha me pahuchi to sochne lagi ek din meri zindagi me wo aisa shakhs aayega Jo mujhr is bhed-bhaaw bhari doyam darje ki zinadgi se door me jaayga, bas isi  ummid me jeene lagi, fir ek din usne mere jeevan me dastak di, Maine bhi usme uski shakl-soorat, gora,-kala,jaati-dharm aur tamam tarah ki deewaro se pare usse pyaar kiya, uski khushi ke liye na sirf apni khushiyo ka gala dabaya balki apne aatm samman ka bhi gala ghont diya taaki WO khush rahe aur taaumar meta haath thaam kar chal sake met sahara ban sake, par usne na sirf  thess pahuchai balki mere vishwaash ko bhi taar-taar kar diya,

Wakt ke saath maine paya ki mohabbat ke mamle mein main kitni galat thi, usne  meri bhawnao aur zazbaato se khilwaad karke apni zindagi se yu  nikal diya jaise doodh me se makhi kaaran usse mujhse apaar dhan dahej ke roop me chahiye that WO nahi mil raha tha, wo mujhe apni hawas poorti ke liye rakhail banane ko to taiyaar tha par shaadi ke liye nahi,


Usse khud ko door karne ki koshish me thi main ki dosto ne aur logon bhe mujhse kaha har purush ek jaisa nahi hota. Tumhe ek achha sa ladka firse dhoondna chahiye, Maine internet ke dwaara firse naya pyaar paya bhi par usne bhi wahi kiya Jo pahle ne kiya,


Wakt ke saath mujhe pata chala har purush aisa hi hota hai, fir ek din ek purush ne hi mujhse kaha tumhare andar WO baat hi nahi ki koi purush tumse pyaar Kare kyoki na tum aakarshit karne wali ho na ameer ho aur na hi professional,


Iske baad mujhe ahsaas ho gaya ki mere saath aisa kyo hua, meri saheliyo ki love marriage Lekin mujhe na Ghar se pyaar mila aur na...kaaran kya tha us purush ne bata hi diya tha, pata chala pyaar aur shaadi kya dekh ke ki jaati hai aur jin ladkiyo me paas ye na ho WO kreal pursho ka dil behlaane me kaam aati hai chaahe wo veshya na ho par har purush ki nazar me unke pariwaar me bahar ki ladki kisi veshya se kam nahi hoti,
.

Aaj jab Maine is sachhai ko Jana to mere hi sapne muje darane lage hain, Jo bhi mere saath hua iske baad do hi raaste mere pass bache pahla to ye ki dukh aur dhokho se tang aa kar maut ko gale laga lu aur doosra raasta ye ki ghar-sansaar chhod moh-maya ka tyaag kar veraargya le lu, Maine doosra maarg chun liya hai veraagya ka,


Par dil mein is baat ki tees mujhe hamesha rahegi ki mujhe mere bholepan ki duniya ne kitni badi saza di, maana main khoobsoorat nahi ameer nahi par main ek bejaan gudiya bhi to nahi, purush pradhaan is samaj mein bachpan se hi kadam-2 par shoshan hua, khata mujhse ek ye aur ho gayi ki Maine unhi pursho se pyaar wafadaari samman aur barabari ke adhikaar ki ummid kar daali,

Aaj sanyaas ka faisla lete huye ye ahsaas mujhe ho gaya hai ye duniyadaari aur ye farebi jhoothe rishte mere liye nahi hai, ye Sab chaalbaaz logon ke liye hain, Jo duniya me mere jaisa seedha saada shakhs aata hai usse ye samaj uske sapno ko hi uske shoshan ka hathiyar bana kar tabah kar deta hai aur WO kahi ka nahi rahta, baad mein use samay se pahle wahi jana padta hai jaha se WO aaya tha ishwar ke pass,

Bachpan mein school mein bachhe mujhse doori bana ke rakhte the kaaran unki nazar mein main duniya ki sabse badsoorat ladki thi. Kaash unki baat maani hoti aur jhoothe  sapne nahi dekhe hotel to aaj mujhe ye tadap nahi milti,  ab hosh aaya hai to ishwar ke alawa koi raasta nazar nahi aata, isliye jisne mujhe bheja hai uski sharan mein Jana hi hitkar hai mere liye aisa mujhe lagta hai, dosto aapko kya lagta hai mera faisla sahi please apni advise jaroor mujhe dein



Ek sawal har padne waale ke liye chhode ja rahi hoon kya khata hui thi mujhse...



A True story

Monday 9 March 2015

mujhe aane laga hai

"akele chalna mujhe aane laga hai, ye tanha jeevan bhaane laga hai, ek wakt that Jo darate the mere hi khwaab mujhe, aaj in adhoore khwaabo ke saath jeena mujhe aane laga hai, toot kar bikhre hai arman yahA Jo mere, samet kar un tukdo fir se in raaho pe chalna mujhe aane lava hai

sadhupan pyara lage

"Main to chhod chali duniya aur desh saadhupan pyara lage-2

Sun ri maiya suno tum bhi bhaiya saadhupan pyara lage,

Main to chhod chali duniya aur desh saadhupan pyara lage,


Sun ri saheli suno tum bhi sakhiya nahi milengi tumse ab ye ankhiya ki saadhupan pyara lage,


Main to chhod chali duniya aur desh sadhupan pyara large,


Suno tum bhi chacha tuno tum bhi taya nahi mileage tumhe mera saya ki saadhupan pyara large,


Main to chhod chali duniya aur desh saadhupan pyara lage,


Suno tum bhi baapu suno tum bhi  daadu ki saadhupan pyara lage,


Main to chhod chali duniya aur desh sadhupan pyara lage-4

Tuesday 13 January 2015

ek nayi subah ki nayi roshni mujhe chahiye

"Ek nayi subah ki nayi roshni mujhe chahiye,
Jo khil uthe kawal is dil mein wo Kali mujhe chahiye,

Hai  kitna andhera mere is sune jeevan mein,
Jo de sake jyoti apni bas chingari wo mujhe chahiye,


Hai kitne kaante mere to pag-pag par yaha,
phucha sake manzil par wo dagar mujhe chahiye,


Hai nahi hausla mehfil mein khade hone ka, 
Firse jahan mein chalne ka hausla mujhe chahiye,


Tut kar bikhare hai aaj is kadar yaha zaha mein,
Ban kar mala ek fir se judne ka zazba mujhe chahiye


Ek nayi subah ki nayi roshni mujhe chahiye,
Jo khil uthe kawal is dil mein wo Kali mujhe chahiye"

Sunday 11 January 2015

dil mein dard aur aankhe nam nahi

Hai dil mein dard aur aankhe nam nahi,
dur tujhse jaane ka mujhe bhi gam nahi,

bin tere main khudme kuch kam to nahi,
akele meri ye zindagi berang bhi to nahi,

chal rahi hu in raho par sang koi nahi,
wafai ke badle mili bewafai tujhse,

par zindagi mein umang kuch kam to nahi,
sooni si meri zindagi mein sitam ab nahi,

bahut rulaya bahut sataya tune mujhe,
tujhse juda ho kar khush hoon main bahut,

mere saath tu bewafa hadam Jo nahi,
 hai dil mein dard aur aakhe nam nahi-2

Saturday 10 January 2015

mana tha usse bhagwan ki jagah

"Maine pooja usse bhagwan samajh ki tarah, 
par nikla wo shetaan ki tarah,

 dil ke mandir mein basti thi uski hi soorat, 
par nikli wo hewaan ki moorat, 

bajti thi ghanti uske hi pyaar ki dime mere,
Uski hi yaado se hote the mere sham savere,

Ek bewafa se dilke rishte the jode hamne,
WO harzai nikla auron ki tarah"