Tuesday 17 March 2015

pyar chahta hu

"Main fir dil ka guitar bajana chahat hu, main fir se mohabbat karna chahta hu, bhool kar sanam ki har bewafai fir ishk ki mehfil mein jaana chajta hu, maana mila hai dard mujhe mohabbat mein, maana mila hai dhokha mujhe is mohabbat mein, bhool kar har sitam aaj fir ek yaar paana chahta hu, zakham apne chhipa kar aaj fir ek dilbar ka bas pyaar paana chahta hu-2

Sunday 15 March 2015

ishwar ki anmol dharohar hoti hain betiya

Ishwar ki anmol dharohar hoti hain betiya,
Khushiyo ki saugaat hoti hain betiya,
Gam apne chhipa kar sabke ashk pochti hain betiya,
Khush naseeb hain wo jinke ghar janm leti hain betiya,


Hoti hain shikaar apno ke hi bhed-bhaav ka,
Hoti hain shikaar duniya ke bhi bhed-bhaav ka,
Sab Jaan kar chup rahti hain betiya,
Kuch kahti nahi kisi se ghut-ghut kar jeeti hain bas ye betiya,

Kabhi durga ban kar to kabhi lakshmi ban kar, ban kar sarashwati duniya ko aaina dikhati hain betiya,
Kabhi ma ban kar to kabhi bahan ban kar apni har bhoomika nibhaati hain betiya,

Sahti hain dansh umar bhar beti hone ka, har pal jeeti hai jeevan doyam darze ka, parampara ke naam par babul bhi saath jinka chhod deta hai ek din,
Daan kanya ka kar harsh paata hai ghar har din,

Door apno se ho kar bhi door nahi hoti hain betiya,
Door ja kar apno se gerro ko apna banati hai betiya,
Pyaar mile ya mile dutkaar sab sah kar bhi har pal mushkurati hain betiya,

Bete to dekhte hain ek Ghar, do-do ghar sawarti hain betiya, apne zakhm chhipa sabko Marham lagati hain betiya, na paati ho pyaar bhale taumar apno ka, tarasti ho do boond mohabbat bhari niharti nazro ka,
Par pee kar har zahar pyaar lutaati hain beshumaar ye betiya,

Pal-pal deti kubaani apno ke liye, har pal lutaati ye zindgaani apno ke liye, na kahti kuch kisise, chup rah sab sahti  hain ye betiya hai, mile chaahe zakhm jitne bhi apno se, na koi shikwa na shikayat karti hain ye betiya,  janmo ke punyo baad ja kar kahi janm leti hai ye betoya, aisi  hoti hain betiya,



Budaape ki laathi kahne wala beta saath jab chhod jaata hai, ban kar dooje Ghar ki dulhan ma-baap ki WO laathi bhi ban jaati hain betiya, mangta hai beta jahan ma-baap ki dhan-daulat, ma-baap ke aashirwaad ko hi sabse badi poonji maan bas wahi chahti hain betiya,


Sach hi to hai ye Ishwar ki sabse anmol dharohar hoti hain betiya, khushiyo ki saugaat hoti hain betiya-4


upar baitha rab wo ro raha hai

Upar baitha rab wo ro raha hai, uski banayi is duniya mein ye kya ho raha hai,
Insaan hi insaan ka lahoo baha raha hai, le kar allah-oshwar-prabhu ka naam hewaaniyat felaa raha hai,

Dekh insaan ki khooni holi aaj wo khud par hi lajja raha hai,
Khoti jaati insaaniyat ko dekh wo bhi aaj ashk baha raha hai,

Bahte huye in ashko ke sath bas ye hi dohraata hai,Banaya tha jise itni shiddat se Maine, bheja tha jise hifazat-ae-zahaan karne, usine ye hai kohraam macha diya,har insaan ne aaj insaan ka lahoo baha  mujhe bhi rula diya,

Hoon main ek hi jagat mein, aapas mein bat chuke insaan ne mujhe bhi kahi khuda to kahi raam bana diya, baat chuke is duniya ko insaan ne mujhe bhi baant diya


Dekh duniya ki ye haalat wo bhi aaj ro  raha hai,
Bheja tha insaan duniya sawarne ko, bheja tha insaan duniya nikharne ko, banaya tha jise apna hi ek pratiroop, di usse shaktiya uske hi anuroop,


Par Bhool kar insaniyat hewaanyat wo felaa raha hai, Insaaniyat ko marne insaan hathiyar uthaa raha hai,apne paapo mein le kar mera naam mujhe bhi yu sataa raha hai, khoon ki holi ke saath-khooni diwaali WO bana rahai hai,


Dekh duniya-daari wo rab bas aaj ye kah raha hai, meri banayi is duniya mein ye kya ho raha hai-2,
upar baitha rab wo ro raha hai, uski banayi is duniya mein ye kya ho raha hai.....



Saturday 14 March 2015

aankhon mein bas paani hai

"Dil mein hai dard aur aankho mein bas paani hai, mere hridaye ki ye peeda bas ye kahani hai, apna jisne bhi kaha mujhe us par hi lutaati ye zindgaani hai, par gairo ki chhodo yaha apno ne bhi na baksha mujhe, apna kah kar apnepan ki saza har pal di mujhe, gairo se kya ummid karu bahte meri aankh se in ashko ko rokne ki, khoon ke rishton ne hi khoon ke sansu diye mujhe, gairo aur apno se mile in jakhmo ki hi ye bayani hai, viraan hai meri ye zindagi sirf ye hi meri kahani hai,  dil mein hai dard aur aankho mein bas paani hai-4

toot kar bikharte rahe

"Toot kar bikharte rahe armaan ye mere, har mod par loot te rahe mujhe mere,

Bahut koshish ki khud sambhlane ki,
Bahut koshish ki auron ki tarah jeene ki


Har kadam pe dhokhe dete rahe mujhe mere,
Kisi gair ki kya shikwa karu, khoon ke rishte hi ashk dete rahe mujhe mere,


Bahut chahat thi is dil ko bhi sambhalne ki,
Aarzoo thi man ko bhi sabki tarah hi chalne ki,


Kadam-kadam par thokare dete rahe mujhe mere,
Har kadam par giraate rahe mujhe mere,


Bahut koshish ki duniya mein rahne ki
Bahut chahat ki sabki tarah hi rahne ki,


Kadam-kadam par tanha chhodte rahe mujhe mere,
Har mod par akela hi chhod gaye mujhe mere,


Beti-bahan ban kar bahut kuch diya unhe,
Apni khushi bhula kar har modpe balidaan diya unhe,


Loot kar mere laboon ki hasi khud mushkurate rahe ye mere,
Akela mujhe bana kar apni zindagi sazate rahe ye mere

Toot kar bikharte rahe armaan ye mere-4




Friday 13 March 2015

mile dhokhe zamane se

Mile dhokhe zamane se mujhe bahut,
Mile ashk zamane se mujhe bahut,Kadam kadam pe dil todne wale mile mujhe bahut,
Har mod pe zakhm dene wale mile mujhe bahut,


Mile fareb zamane se mujhe bahut,
Mile dard zamane she mujhe bahut,
Kisi mod pe thaam kar mera haath chal sake saath,
Wo dilbar wo hanashin na mil saka umar bhar,

Kadam par prem-khilaadi hazaar mile mujhe,
Jo bana sake apni zindgi nibha sake is rishte ko har baar,
bas wo hi prem-pujari na mil saka mujhe,
Ishk ke naam par ye mohabbat ke saudagar baar-baar mile mujhe


only for my god

Meri har khushi ho ab tum,
Mere labon ki hasi ho sirf tum,

Mere dil ki dhadkan ho ab tum,
Mere to har zahan me ho sirf tum,

Meri har saans mein rahte ho ab tum,
Mere har vishwaash mein baste ho sirf tum,


Meri zindagi ki har aas ho ab tum,
Meri aastha ki pyaas ho sirf tum,


Meri daulat bhi ho ab tum,
Meri to shohrat bhi ho sirf tum,


Meri har ummid ho ab tum,
Meri to zindagi ho sirf prabhu Ji tum,


Meri bhakti bhi tum,
Meri shakti bhi ho prabhu Ji sirf tum,

Mere jeene ki wazah ho ab tum,
Kya kahu tumhe, duniya ke har kone me ho sirf tum,


Meri har khushi ho ab tum,
Mere labon ki hasi ho sirf prabhu Ji tum-2