Tuesday 31 March 2015

mere dil ki baat aapke saath

Ab jab maine puri tarah se sanyaas le kar ishwar ki sewa karne ka mann bana liya h to log mujhe mere is faisle ko jaldbaazi ka faisla kah kar peechhe lautne ko kah rahe hain,

Par ye log nai jante aakhir main bhi to insaan hu, Maine bhi kabhi sapne dekhe honge, aam insaano ki hu tarah jeene hasrat ki hogi, Jo hasin pariwaar aur career ko le kar sab khwaab dekhte h Maine bhi dekhe honge,

Par aaj Jo faisla Maine kiya h na to WO kayartapoorn h aur na apni samsyao se bhagna h, samasyaye to jab tak h tab tak ham jivit h, isliye ye kahna galat hoga ki apne karmo aur samasyaao se ghabra kar ye faisla kiya h,


Bachpan se hi mujhe auron se alag kaha jata that shyad mere vichaar alag the, pariwaar ki galat aur ladka-ladki ki bhed-bhaaw poorn neeti iske saath hi naari virodhi prachin paramparao ka khul kar virodh kiya, iske liye daant aur maar bhi khub padi, us wakt neri umar 10 saal se kam hi rahi thi,

Shayad tabi mujhe log kahte main alag hu, bahut buraa bhi lagta ye sun kar, iske baad mere school time hi 3rd standard ki baat hogi mere face par kuch ajib si pimples aa gayi, 2 saal tak pas bhare in pimples ne mera chehra puri tarah khrab kar diya, jab ye thik hui to gehre daag chhod gyi face par, aur inhi ki wazah se school/Ghar har jagah mera pura shoshan hota raha, mujhe duniya ki sabse badsurat ladki kah kar log meree seerat dekhe binaa mujhse duri banate rahe aur achhooto jaisa vartaav karte rahe,

Par un halato main bhi Maine khud ko dhaal liya aur  apni padai par dhyaan de kar badne lage, par shayad ye meri innocence thi jo logon ko na jaan saki, umar ke saath sabne mera shoshan bahut kiya, jis shakhs se galat bardast nai kuch hota tha kadam kadam pe apna kahne walo ne galat kiya,


Isliye jivan k har dard aur apne kuch priyejan ko khone k gam ko seene me le kar ye faisla kiya aur yakin h mujhe ye sahi h, ishwar ne mujhe aaj apnaya h jaha sabne thukraya h, main alag hu isliye usne mujhe apne kadmo me jagah di h, main uske sath khush hu, apne liye khush hu,



Dhanywaad





Monday 30 March 2015

aaj bhi yaad aati hai

Jab bhi ye barkha ki boonde dhara par girti hai, dil mein mere you halchal si hoti hai, beete lamho ki WO baate mujhe kitna satati hain, you tera meri zindagi mein aana, wo tera khushi ka mujhe khwaab dikhana, chalte huye in raaho par girte huye mujhe yu sambhalna, tera you hasna tera yu mushkurana, bahut yaad aata hai tere sang jiya har lamha, in barkha ki boondo mein sang tere bheegne ki WO tamanna, khwaaish umar bhar sang tere chalna, aaj ye barkha ki boonde bhi wahi hai din-raat bhi ye wahi hai, bas nahi hai to sirf aaj zindagi mein meri nahi hai, hai tu bewafa ye malum tha mujhe ye jaankar bhi tujhse mohabbat Maine ki thi, dega daga aur dard bewfai ka ye jaankar bhi tujhse chahat Maine ki, har ummido se pare tujhse aashiki Maine ki, in barkha ki dhara par girti boondo ke saath mere bhoole huye kal WO yaade aaj bhi kitna tadpati hai aur meri aankhe jhalak aati hai, meri aankho se girte ashk mujhse kahte hai milti hai yaha saza sachhi mohabbat ko par yaar bewafa se dil yaha har koi laga hi leta hai, milti hai mohabbat unko jinhe dilo se khelna aata hai, sachhi aashiki karne walo ke dil mein tees aur aankhe roti hain....

din raat pukaru tujhko

Din- raat pukaru tujhko din-raat yaad karu,
Ek tera hi naam ho laboon par na kisiko ab pukaru,

Rahu sada bhakti mein Teri na kisi ki mansha ho,
Chhoote Jo sansaar mujhse nahi kisi ki chinta ho,


Chahe mile ab kaante pag-pag na phoolo ki raahe ho,
Mile mujhe ab aansoo jitne na khushi ki chhaya ho,

Mil jaaye mujhe Jo tu prabhu na kisi ki khwaish ho,
Din-raat pukaru tujhko din-raat yaad karu,


Din-raat pukaru tujhko din-raat yaad karu,
 Ek tera hi naam ho laboo par na kisi ko ab pukaru





na main kavi hu

"Na main kavi hu, na main shayar hu,
Na main lekhak hu, na main parichayak hu,

Na main vicharak hu, na main sahayak hu,
Maine to likhe hain bas apne zazbaat yaha par,


Par hai nahi budhhi mujhme, isliye na to budhhimaan hu main, na hi samajhdaar hu main

Sunday 29 March 2015

prabhu vandana

'Kar liya aitbaar jagat ka ab prabhu ka kar tum,
Jee liya jivan apna ab prabhu ke ban lo tum,-4


Chhod jagat ki maya ko moh prabhu ke bandhlo-2 tum,
Kar liya aitbaar jagat ka ab prabhu ka kar lo tum-2


Japa naam din raat jinka(rishte-naate)ab prabhu ka jap lo tum,-2
Kahi ram kahi rahim mukh se to ab bolo tum,-2


Chhod duniyadaari ab to usse pukaro tum,
Kar liya aitbaat jagat ka ab prabhu ka kar lo tum,-2


Na dange na fasaad karo, pal pal use pukaro tum,
Kabhi ishwar kabhi Allah kah kar bas use pukaro tum-2



Ban kar insaan na hewaniyat se haaro tum,
Kar liya aitbaar jagat ka ab prabhu ka kar tum,-2


Dukh mein yaad sab karte hain sukh mein bhi use pukaro tum,-2
Dard mein yaad sab karte hain dise (nihswarth) kabhu pukaro tum,-2

Raho akele ya ho duniya ke mele pag-pag use pukaro tum,-2
Chahe ho saath ye rishte-naate chahe bane kitni baate ab to bas use pukaro tum-2

Kar liya aitbaar jagat ka an prabhu ka kar lo tum,
Ji liya jivan apna ab prabhu ke ban lo tum-4


Tuesday 24 March 2015

kis oor ye duniya aaj ja rahi hai

"Insaan par ye kaisi insaniyat chha rahi hai,
Dur khadi hewaniyat bhi sharma rahi hai,
Pyasa hai insaan in nirdosho ke lahoo ka,
Dekh tamasha duniya ka dharti bhi karah rahi hai,


 kis oor ye duniya aaj jaa rahi hai,
Har taraf dard bhari ye aawaz aa rahi hai,
Hai ashk mein doobi aaj har ek aankh,
Kyon har ek Ghar se in masumo ki arthi ja rahi hai,

Aakhir kyon duniya ye dehsat fela rahi hai,
Har kone se aatank ki baat aaj aa rahi hai,
Sukoon se jeena chahta hai har koi yaha,
Mazhab ka naam le kar insaniyat bhula rahi hai,



Sunday 22 March 2015

meri jaan hai tu

"Meri jaan hai tu, mera abhiman hai tu,
Mera ghumaan hai tu,mera imaan hai tu,-2


Mera swabhiman hai tu, mera arman hai tu,
Mera jahaan hai tu, mera samman hai tu,-2

Meri shaan hai tu, meri pehchaan hai tu,
 Mera ghumaan hai tu, mera imaan hai tu,-2

Meri jaan hai tu, mera abhiman hai tu,
Mera ghumaan hai tu, mera imaan hai tu-4"





These lines for my sweet one year old baby named Boss, uuuuummmmaahh love you beta