Saturday 16 May 2015

jiya nahi jata

"Tujh bin jiya nahi jata, ye zahar aur nahi piya jata, rooth kar chala gaya hai kyon tu mujhse,
Ek talak mud kar to dekh ae mere hamdam,
Tere bin jala ye dil ka diya (deepak) nahi jata,
Tere bin jiya nahi jata

Sunday 10 May 2015

oo ma

'Tujhpe na koi aanch main aane dungi oo ma, chot lage tujhko to marham main banungi oo ma,

Duniya chhod De saath bhale tera, ban kar sahara saath tera pal-pal main dungi oo ma,

Tu bhale na chahe mujhe sabki (bhaiyo)  tarah, par tujhpe lutaungi pyaar apni tarah oo ma,

Ho jaungi ek din parayi main nazaro mein Teri, par juda ho kar bhi sada rahegi dilme oo ma"


ishwar Vaani-76 satyug ke devta

Ishwar kahte hain "jaisa ki sabhi manushyon ne yug pratha ke bare mein suna hai, maine bhi aadi satyug aur praani utpatti ke vishya mein bataya, Maine bataya samast manav evam praniyo ke janm data WO jeev hai jinhe duniya karodo varsh poorva mrit samajhti hai, unhi se aaj ke samast jeevo ki utpatti hui, us yug mein manav aur pashu-,pakshhi mein koi bhed-bhaaw nahi tha, sabhi prani mil jul kar ekta se rahte the jiska udhaaran tretaa yug mein bhi milta hai jab vanar aur reechh bhi raja hua kar shashan karte the,

Kintu isse poorva satyg ke madhya aur ant kaal mein jab un jeevo se manav jaati ka uday ho chuka tha, us samay ko swarnim samy kaha jaata hai, kuch dharmik sansthaye ye bhram felaati hai ki tab (satyug ke aadi se) ant tak dharti par devi-devta ka niwaas tha, manavo ki bhaati Lakahmi-Narayan raha karte the,

Kintu ye tathya mithya hai, us yug ko ishwariye yug isliye nahi kahte ki tab dharaa par ishwar rahte the apitu isliye kahte hain ki tab manav jaati mein kisu bhi tarah ki vikrati nahi thi, koi bhed-bhaaw raag-dwesh burai nahi thi, .manav ishwariye niyam ka palan kar prakati aur prani ka khyaal rakhta tha, us yug ka manav mujhe nahi janta tha kyonki wo mere bataye niyamo ka palan suchaaru roop se kar raha tha isliye use meri aavshyata na ho kar apne mein mujhe hi nihit kiye huye tha,

Kintu wakt ke saath yug badla aur manav vyavhaar bhi Jo mujhe use door le gaya, aur manav jaati mein aayi burai ko khatm karne hetu mujhe shrashti mein janm Lena pada"


Ishwar kahte hain "kuch dharmik sansthaye kahti hai tumhe satyug ki bhaati manav se devta banna hai, kintu WO ye nahi jante agyaani devta kaun hai, satug mein kaun rahte the aur kinhe aur kyon devta kahte the, devta arthaat paak-pavitra, har prani ke hit ke liye tatpar, Prani evam prakati ka rakshak,

Ek abodh balak jaisa bhola, kapat heen aur masoom wohi hai dewta dewiye gun wala sachha manav aur aaj ka maha purush aur devta,

Pakhandi log aadhyatm ke naam par galat seekh de kar logo ko behka rahe hain, unhe jaroorat hai sahi gyaan ki Jo kisi naami sanstha ki apeksha khud apne bheetar ishwariye kripa se mulegi ya fir in mere vachano se"



Saturday 9 May 2015

ishwar vaani-75, ishwar ka roop swaroop

Ishwar kahte hain "aksar manav mere roop aur swaroop ke vishay mein charcha karte hain kintu vastav mein mera roop swaroop kaisa hai koi nahi janta,

Main JAL (paani) jaisa bhaar yukt, vaayu jaisa paardarshi, Kali se adhik komal hoon, pathhar se bhi adhik sakt hoon

Mera rang vaayu jaisa mera bhaar JAL jaisa aur meri sharirik rachna Kali se bhi adhik komal hai aur paashad se bhi adhik kathor hoon,
Iske atirikt  bhakto ki ichhanusaar mera roop-swaroop banta rahta hai,bhakt mujhe jaise chahe main vaisa hi ban jata hoon

Thursday 7 May 2015

ishwar vaani-74

Ishwar kahte hain "manav jaati ko shreshth manav banne ki oor agrsar hona chahiye, ek shrashth manav hi manav dharm ka nirman kar manav jaati ka udhhaar kar sakta hai, jis kaarya ke liye manav ki utpatti maine ki hai usse poorn kar meri kripa pa kar apne jivan ka udhhar kar sakta hai"

gila shikwa aur shikayat nahi hoti

"Dosti mehaz chand alfaz nahi hoti,
Dosti kisi khubsurati ki mohtaz nahi hoti,
Ye to ek khubsurat sa rishta hai dilo ka,
Jisme koi gila shikwa aur shikayat nahi hoti

Friday 1 May 2015

meri har yaad mein hai tu

"Meri har yaad mein hai tu, meri har baat mein hai tu, dilki ki gehraiyo mein bhi rahta hai sirf tu, aur kya kahu tujhse ae mere hamnashin, mere to har zazbaat mein basta hai sirf tu"