Sunday 28 June 2015

saath nibhati hai tu


Sooraj ki saheli hai tu, fir bhi kitni akeli hai tu,

Baith akele sochta hai man, bas ek paheli hai tu,

Hole-hole chali aati hai tu, har darwaza khatkati hai tu,

Meethi nidiya se jaago pyaro, hui bhor utho dularo khati hai tu,

Davey paaw se aa kar,chidiyo sang gun gunati hai tu,

Sapno se jaga kar, ho gayi hai subah ye batlati hai tu,

Chadta hai sooraj falak par, roop sunhara dikhlati hai tu,

Hoti hai jab sardi, aati hai har kisi ko bas teri baaho mein masti,

Jab banta hai sooraj aag ka gola, Teri baahe lagti bedardi,

Chahe tujhe koi ya na chahe, har mausam saath nibhati hai tu,


Roop sunehara madmast teri chaal, dekh tujhe hoye har koi behal
,
Karti jaati ghayal har kisi ko, kabhi dikhati adaa kabhi satati hai tu,


Nakhre dikha sardi mein, door khadi muskuraati hai tu,

Karna chahe aalingan tera, door ja kar itna kyon ithlaati hai tu,




pauranik katha-7, Bhishm ka aathwa janm

"Mahabhart mein jab Bhishm baan-shaiya par kasht bhog rahe the tab Shri Krishna unke paas aa kar bole "tumhe pata hai kis poorva janm ke karm se tumhe ye kasht praapt hua hai?"

Bhishm bole "main apne pichhle saat janmo ko jaanta hoon, par unme maine aisa koi bhi kaarya nahi kiya jisse mujhe ye dand mile",

Bhagwan Shri Krishna bole " kya tumhe aathwe janm ke vishy mein gyaat hai?"

Bhishm bole "nahi ye mujhe gyaat nahi hai",

Shri Krishna bole "apne aathwe janm mein tumne ek saanp ko ghaayal kar kaanton mein faink diya tha, jiske kaaran uska shareer kayi jagah se lahoo-luhaan ho gaya, kayi jagah se uski chamdi utar gayi, is prakaar usse asahniya peeda prapt hui, ussi ke kaaran tumhe ye dukh prapt hua hai"

Saturday 27 June 2015

pauranik katha-6, Abhimanyu Arjun ke pita

"Mahabhatat ke yudhh mein Abhimanyu ki mritu ke baad Arjun bahut dukhi rahne lage, ek baar ati vyakul ho kar WO adhir ho kar gir pade, tab bhagwan Shri. Krishna ne unhe swarg le ja kar abhimanyu se milane ka nirnay kiya,

WO unhe swar le kar aaye, swarg mein Abhimanyu ko dekh Arjun bhaaw-vibhor ho gaye aur use gale laga liya, iske baad Abhinanyu ne Arjun se kaha "aap dukhi kyo hote ho, hamne isse poorv bhi anek janm liye hain aur mritu ko prapt huye hai, aap to mere is janm mein pita bane the kintu isse poorva kitne hi janmo mein main apka pita bana tha,"

Ye sun jar Arjun ki vedna aur moh khatm ho gaya aur wo dharti par wapas laut aaye"

Friday 26 June 2015

pauranik katha-5, crodh ka gulaam

"Ek baar ki baat hai, jab Sikandar ki behad thaki hui senaa ne ghar wapas chalne ke liye sikandar se kaha, WO bhi iske liye maan gaya, lekin apne saath wo  ek saadhu ko le Jana chahta tha, us saadhu ki waha badi hi charcha thi,

Sikandar saadhu se Milne aur apne saath chalne ka nivedan karne unke pass pahucha, saadhu nirvastra ho kar dhyaan kar rahe the, sikandar saadhu ke dhyaan se bahar aane ka intzaar karne laga, jaise hi saadhu dhyaan se bahar aaye sikandar ne unhe apne saath chalne ka nivedan kiya, is par saadhu maharaj bole tumhe jana hai jao main nahi jaunga, is par sikandar ke senik bhadak uthe aur bole tujhe pata hai tere samne kaun khada hai, is par saadhu bole mujhe pata hai, par mujhe kaha jana hai kaha nahi meri ichha par nirbhar karta hai na ki kisi aur ki,

Ye sun kar sikandar bhadak utha, usne talwar nikaali aur saadhu ke gale par rakh ke bola an chaloge ya nahi, sadhu ka jawab tha nahi, sikandar aag babula ho gaya, aur saadhu ka sarr dhad se alag karne ke liye jaise hi talwaar uthaayi wo saadhu bole, tum mujhe bhale maar mujhe aaj do par iske baad khud ko sikandar mahan mat kahna, sikandar ne kaha matlab kya hai tumhar?

Sadhu maharaj bole tum khud ko mahan raja kahte ho par asal mein tum mere gulaam ke tum gulaam ho, Sikandar ne kaha abhipraaye kya hai spasht kahe, saadhu maharaj bole Maine crodh ko apna gulaam banaya hai, jab tak main nahi chahta WO mujhe nahi aata kintu tum uske gulaam ho WO jab chaahe tumhe apne vash mein le letaa hai,


Saadhu maharaj ki baat sun kar Sikandar unke perro par gir pada, aur shhama magne laga, saadhu ne usse maaf kar diya aur sikandar bina unhe liye waha se chala gaya"





Wednesday 24 June 2015

mili hai mujhe ye saza-Geet

"Mili hai mujhe ye saza, mohabbat mein mili hai daga,
Tha ye dil jis par fida, di hai usine mujhe ye saza,

Toot kar yuh bikhare hain arman mere, toot kar bikhra hai dil ye mera,-2

Mili hai mujhe ye saza, mohabbat mein mili hai daga,

Do palki khushi ki mili hai saza, mera hamdam to hai bewafa,-2

Rooth kar yuh kyon tu door ho gaya, de kuch to wazah-2,

Toot kar yuh bikhare hain arman mere, toot kar bikhra hai dil ye mera,


Hai aaj bhi tu meri yaado mein, saanso se door kyon nahi tu gaya,-2
Meri dhadkan mein rahta hai aaj bhi tu, kyon door dilse tu nahi gaya,-2

Meri wafa ki di tune kyon ye saza, ki thi bhala maine khata-2

Mili hai mujhe ye saza, mohabbat mein mili hai daga-4






na samjhe wo

"Dilki baat na kahna  aaya hame jhuki palko ka raaz na samjhe wo,

Apne zazbaat na kahna aaya hame khamosh juban ki baat na samjhe WO,

Bekari is dilki na samjhana aaya hame khamoshi in labon ki na samjhe wo,

Sharma kar yuh na gale lagana aaya hame laachari is dilki na samjhe wo,


Dilki kitaab ko kholna na aaya hame band kitab ke panno ko na samjhe wo,

Dhadkano mein naam dikhana na aaya hame mohabbt ka Sar na samjhe WO,

Dilki baat na kahna aaya hame jhuki palkon ka raaz na samjhe wo-2"

pauranik katha-4, bhakti ka marg

"Ek baar ki baat hai Chetanya Mahaprabhu Ji ne jangle ke raste kisi nagar mein Jane ka nirnay liya, us jangle mein bhayank pashu-pakshi aur jeev-jantu rahte the, isliye Mahaprabhu Ji ke sadhako evam shishyon ne us marg se unhe na jaane ki salah di,

Par mahaprabhu Ji ne nagar ke liye WO hi marg chuna, is tarah Mahaprabhu Ji us marg se nagar ki oor jaane lage, lekin jaise hi WO beech jangle mein pahuche to waha bhayanak jaanwaro ne unhe gherr liya, prabhu ki bhakti mein leen Mahaprabhu Ji bhajan-keertan karte ja aage bad rahe the, fir unhone dekha ki WO to chaaro taraf se in bhayanak janwaro se ghir chuke hain,

Lekin bina kisi bhay ke WO bhajan-keertan karte aage badte gaye, fir kuch chhad baad unhone dekha ki WO bhayanak jeev bhi unke saath bhakti may ho kar jhooom rahe hain, is prakar shri Chetanya Maha Prabhu Ji ne na kewal maanav ko bhakti ka maarg dikhaya apitu bejubaan in bhayanak jeev-jantuo pashu-pakshiyon ko bhi bhakti ka maarg dikhaya...
"