Monday 28 September 2015

ishwar vaani-103

Sadguru shri Archana Ji ke anusaar:

Priye paathakgan jaise ki aap sabhi prani jaati ke shareer ko panch tatvon se bana hua jaante hain (jal, prithvi arthaat mitti, agni, vaayu, aakash), ye satya bhi hai kintu kya aap apne shareer mein mauzood un panch tatvon ko pahchante hain? Aaj ham aapko un panch tatvon ke vishay mein aapko batate hai jinse is bhautik shareer ka nirman hua hai,


Sabse pahle Jo bhautik shareer ka aadhar hai wo hai JAL yani paani,
Bhautik shareer mein behta rakt evam vibhinn taral hi jo shareer mein vidhmaan hai JAL hai,

Bhautik shareer koshika, khaal, haddiya hi mitti hai,

Bhautik sharrer mein behti swaas hi vaayu hai,

Bhautik shareer ka taap hi agni hai,

Bhautik shareer ko sanchalit karne wali aatma athwa wo sookshm shareer hi aakash hai"

ishwar vaani-102

"aksar log devi-devta aur us parmeshwar ko ek hi maan lete hain kintu inme bhed hai,
devi-devta un tamam vikratiyo, buaraiyo, kamiyo se dur Jo Jan sadharan mein hoti hain unse dur hote hain, unka jeevan prani aur samaaj kalyan ke liye samarpit hota hai, unka janm hi iske liye hota hai, log unhe iske atirikt saint, mahatma, farista, saadhu jaise naamo se bhi pukarte hain, unki pavitrata ke karan hi ishwar ke behad karib hote hain, inki araadhna karne par ishwar prasann hote hain aur manoradh poorn karte hain jisse inka yash felta hai, kintu ye ishwar nahi kitu unke saman hi pujniye hain, moorti poojak inhi mein ishwar ke darshan kar inhe ishwar maan puja karta hai, ye galat to nahi hai kintu ye hi ishwar hain ye dharna galat hai,
ishwar to wo hai nirakar, nashwar, jatat aur prani ka malik, sabhi aatmao ka swami hone ke karan hi usse paramatma kaha jata hai. parmatma yani param aatma Jo param hai, pratham hai, aatmao ki janni hai, palak hai, wo hi parmatma hai,
devi-devta desh/kaal /paristithiyo ke anurup ishwar ka sahi aur sachha sandesh le ke aate rahe aur shrashti ko ishwar ki mahtta batlate rahe"

Wednesday 23 September 2015

mera bhajan- mere shyam

"Chidya chahaki har Kali Kali,
 Koyal kooki har gali gali,
Banke baawri main chali chali,
Aaj shyaam se mili mili,

Shyaam roop chaal hanswaali,
Dekh usse dilki kali khili khili,
Murat mohak Surat sawali sawali,
Dekh jise main na hili hili,

Mere prabhu shyaam sawale,
Unhi se nazre hain mili mili
Krishna ne jab hai bansi bajai,
Lok laz tyag Main daudi chali aayi,

Sun kar dhwani main muskai,
Har raag ragni se aaj mili mili,
Dekh apne sawale ko kuch na boli boli,
Sawle rang mein rang kar,
har sans shyam naam boli boli,

Chidiya chahki har Kali Kali
Koyal kooki har gali gali-3"



Saturday 19 September 2015

kavita- pahle nazre milti hain

"Pahle nazre milti hain,
fir dil dhadkta hai,

Fir aahe hoti hain,
badi becheni hoti hai,

Kisi ki yaad hoti hoti,
kisi ki chahat hoti hai,

Fir ikraar hota hai,
kisi se pyaar hota hai,

Kabhi ajnabi milte hain,
fir wo saath chale hain,

Kuch wo baat karte hain,
mulakat karte hain,

Apne zazbaat rakhte hain,
ye ahsaas rakhte hain,

Ishq ki baat karte hain,
mohabbat ki aas karte hain,

Zindagi ki baat karte hain,
umarbhar saath chalte hain,

Hamesha paas rahte hain,
Jo dilse pyaar karte hain,

Pahle nazre milti hain,
Fir dil dhadkta hai....- 4"






maine bhi kabhi pyaar kiya tha-geet

"Dheere dheere dil mera bhi bekarar hua tha,
Nazre mili thi kabhi, dil bhi ye tadpa tha,

Haan maine bhi kabhi pyaar kiya tha,
Muskura kar ye gunah ek baar kiya tha,

Kisi ke liye ye mann bechen ek baar hua tha,
Ek bewafa se mujhe bhi kabhi pyaar hua tha,

Samajh kar usse apni zindagi ye dil diya tha,
Haan maine bhi kabhi pyaar kiya tha,

Jod kar usse hi har khushi maine pyaar kiya tha,
Bas zindagi mein ye gunah ek baar kiya tha,

Haan maine bhi kabi pyaar kiya tha,
Muskura kar ye gunah ek baar kiya tha,

Dheere dheere dil mera bhi bekarar hua tha,
Nazre mili thi kabhi, dil bhi ye tadpa tha,

Haan Maine bhi kabhi pyaar kiya tha,
Muskura kar ye gunah ek baar kiya tha."


Monday 14 September 2015

meri shayri

"hain Jo raaz zahan mein unhe raaz rahne do,
hain zazbaat Jo dilme unhe tum sone do,
hai Jo jwalamukhi hriday ki is preda mein,
na chhedo isse na iska lawa tum bahne do"

"Boond boond tarsa hai man mohabbat ke liye,
Pal pal tadpa hai dil kisi ki chahat paane ke liye,
n roko mujhe mohabbat ki barish mein bhigne do,
Har din tarsa hai dil is barish mein bhigne ke liye"

"mehandi rachai mohabbat mein teri,
Bindiya lagai mohabbat mein teri,
Par tune ki bewagai chahat mein meri,
Zindagi gawayi mohabbat mein teri"

"Ishwar ka roop kabhi samjha tha mohabbat ko apni,
Duniya mein kya khub samjha tha mohabbat koapni,
Loot kar le gaya wo mere laboon se har khushi,
Ek Bewafa ko samajh liya tha mohabbat ko apni,"


ishwar vaani-101, viprit pratikul paristithyo ka maatvah

Ishwar kahte hain "yadi tumhe kayi mushkil aur viprit parishtithiyo ka samna karna pade, ek ke baad ek nayi mushkil apni baahe felaaye tumhara aalingan kare, tum ghabrao mat,

Ye hi mushkil aur viprit parishtithiya tumhe ek din shresht aur safal banayngi, har yug mein jitne bhi mahanayak huye in sabne aise hi anek viprit haalato ka na sirf saamna kiya apitu apne hausle se unme vijay paayi,

Hey manushyo isliye hey manushyo yadi tum ye dekho ki tumhare mitra ananat sukh bhog rahe hai, tamam aishvarya ki ki samagri ka WO upbhog kar rahe hai kintu tumhare paas aavshyakta ki cheezo ka bhi abhaaw hai, aise mein tum unse irshya mat rakhna, bhale apni vartman stithi par ahankaar kar WO tumse mitrata tod de athwa tumne unke bure wakt mein unka saath diya ye wo bhul jaye, kintu unhe agyani maan unpe crodh mat karna kyonki yadi WO agyani nahi hote to aisa vyavhar swam na karte,


Iske viprit apni pratikool parishtithyo ko ishwar Ji vishesh kripa maan kar haste huye isse sweekar kare kyonki ye jaan lo ishwar ne tumhe vishesh kaarya ke liye chuna hai, aur ye viprit pratikul halat isliye tumhe diye taki tum in kaaryo ko kar sako jinhe WO sukh bhogne wale nahi kar sakte,

Isliye dukh kasht aur sankat ki stithi mein ghabraye nahi apitu ishwar ko dhanyawad dein ki unhone tumhe iske kaabil samjha jaise ek eent ko mazbut banane ke liye usse aag mein pakaya jata hai waise hi ishwar manushya ko virit haalat dekar achhe wakt ke liye taiyar krta hai kintu yadi sukh mile zindagi mein to samjhna ishwar ne tumhe apne vishesh uddeshyo ke liye nahi chuna hai kitu agar zazba hai to apne poorva janmo ke karm anusaar samaj ke liye kuch kar sakte ho, kintu ahakar ki bhawana she nhi ishwar ki ichha maan kar samaj ke liye kaarya kare,


Tumhara kalyan ho.."