Friday 9 October 2015

dil ye bekarar hai-geet

"Dil ye bekarar hai raja tujhse hi to pyaar hai aaja,
Dil ye bekarar hai raja tujhse hi to pyaar hai aaja,


Guzar na jaaye ye zindagi fir kahi
 dhal na jaaye ye shaam fir kabhi,

Aakar chupke se in dhadkano mein samaja,
Thaam le haath mera dil mein tu aaja,

Dil ye bekarar hai raja.......................

Guzri hain kitni shaamo shubah bin tere,
Rahi hu tanha raat aur din main to bin tere,

Nahi hote meri zindagi ke tum bin ab savere,
Rahti hu khoyi khoyi jaise na ho koi sath mere,

Dilko teri hi aas hai aaja kitna tu khaas hai raja,
Teri hi to pyas hai raja ab to paas mere aaja,

Dil ye bekarar hai raja tujhse hi to pyaar hai aaja,
Dil ye bekarar hai raja tujhse hi to pyaar hai aaja-2"



meri shayri

"Meri wafa ka rang na bhaya zamane ko,


Diya imtihaan har pal  unhe azmane ko,


Aaj ye meri bhalai ka hi natiza hai,


Duniya hai saath mere pal dil par tanhaiyo ka pahra hai.."

Wednesday 7 October 2015

do lines

"Dilki baat batana na aaya hame, jhuki palko ka raaz wo samajh na sake,

Apni mohabbat ki gehrai jatana na aaya hame nam aankhon ki baat wo samajh na sake"

Tuesday 6 October 2015

yaad mujhe aati hai-kavita

"Beete guzre lamho ki yaad mujhe aati hai,
Un  lamhon ki har   baat mujhe satati   hai,
Ek khata mohabbat ki hamne kya kar    di,
Meri  aashiqi hi aaj yuh mujhe rulati      hai,

Uski chhavi har taraf mujhe nazar aati  hai,
Dhadkano se uski hi aawaz bahar aati   hai,
Hai WO to bewafa mujhe hai ye khoob pata,
Fir bhi yaad uski ashq ban kar chali aati hai,

Kismat se mili daga ye baat bahut rulati hai,
Kabhi kahte the wo ki ham diya aur baati hai,
Har khwaab tod tanha kar gaya ek pal   mein,
Apne is soonepan mein koi baat na suhati hai,

akele hu ya rahu bheed mein uski yaad aati hai,
Chalte-chalte fir meri aankhen nam ho jaati hai,
Sochta hai kitna ye dil us farebi ko aaj bhi mera,
Yad mein us bewafa ki dhadkan bhi rukti jati hai,

Dilse har lamha bas ye hi baat nikal ke aatee hai,
Ek bewafa se dil lagane ki  khata tujhe satati hai,
Main to thi nadaan na jani us bewafa ki pahchan,
Ab Ye hi baat pal-pal mujhe to bas tadpaati hai,

 Beete guzre lamho ki yaad mujhe aati  hai, 
Un lamhon ki  har baat mujhe   satati hai,
Ek khata  mohabbat ki hamne   kya kar      di,
Meri aashiqi    hi aaj yuh   mujhe rulati     hai,"

Sunday 4 October 2015

bhajan-hey prabhu dayanidhan

Hey prabhu dayanidhan, karta hai kalyaan,
Dhanya tu, teri mahima badi mahan,

Jo jan nit dar tere sheesh nawaye
Dukh pareshani sab harr jaaye,

Hriday se jo teri katha sunata,
Paap karm se mukti paata,

Teri leela ka karu gurgaan,
Tu sarvshakti, tu hai mahan,

Sab rajaon mein ek raja tu,
sab daas tumhare ek maalik tu,

Daaniyo mein mahadani tu,
Sab hai bhikshuk ek data tu,

Jo jan nit teri pooja karta,
Jis roop mein bhi tuje yaad karta,

Kasht uske sab harte jaawe,
Shatru bhi mitra ban jaawe,


Teri shakti aprampar,teri daya se mile pariwar
Teri kripa se mile dhan-dhanya aur satkaar,

Ye hai ishwar ka hi vidhaan,
Uski daya se mile bhojan aur paridhan,


Hey prabhu dayanidhan, karta hai kalyaan,
Dhanya hai tu, Teri mahima badi mahan-3

Thursday 1 October 2015

sadguru shri Archana ji ke anusaar

sadguru shri Archana Ji ke anusaar..
'kisi ka vishwaas khona aasan hai paane ki apeksha, isliye uss cheez ko na kho jise tum pa na sako, vishwaas ek amoolya dharohar hai Jo ek baar chala jaaye zindagi bhar ki aur zamane bhar ki daulat usse lauta nahi sakti, isliye Jo tum par bharosa karte hai, apna samjhte hain unka hriday tod kar vishwasghaat mat karo, aisa karne se unhe to kewal peeda hi hogo Jo chand Dino mein ek seekh de kar kam ho jaygi lekin tum usse kho doge sada ke liye Jo tumhare liye anmol tha'

ishwar vaani 104, ishwariye satta

Ishwar kahte hain "yadhpi is shrishti aur prani jaati ka swaami main hi hoon, mera roop-swaroop nirakar hai, Maine hi apne is nirakar roop se sakti ko utpann kiya aur usne Brahma-Vishnu-Mahesh ko janm diya jinhone meri hi aagya se nimn kaarya shrishti evam brahmand aur prani jaati ke nirman mein sahayak bane,

Yadhpi prani jaati ke ishwar aur devi-devta wo kahlaaye kyonki vibhinn aur moort roop mein unhone prani jaati ki sahayata ki, aur is prakaar jab jab logon ko ishwariye sahayta ki aavshyakta hui  unhone unhe hi yaad kiya is prakaar wo prani jaati ke ishwar kahlaye, kintu wo mere upasak hai, meri hi aagya anusaar wo kaarya karte hain, jab jab dharti par ishwar ki shakti ko chunoti di in devi-devtao ne vibhinn roopon mein desh/kaal/paristithi ke anusaar janm le kar ishwar ki satta sthapit kar ishwar ki mahhatta ko chahu oor felaya hai,

Isliye hey manushyo tum jis roop mein mujhe pukaro main tumhare saath hoon,

Bhrahma, Vishnu, Mahesh sahit shakti Jo ki samast brahmand mein virajit ho uska sanchalan karti hai, mera hi ek roop ho kar devi-devtao ka roop hai, vibhinn yugon mein inke avtaar issi ka pratiroop hai,

Yadhapi main nirakar hoon evam in samast devi-devtao sahit Maine hi brahmand ke kan kan ka nirman kiya hai, main hi unke dwara desh/kaal/paristithiyo ke anusar janm le kar shrishti  ko ishwariye satta chaaro oor felaa kar prani jaati ka kalyan karta hoon.."