Saturday 31 October 2015

nafarat ki aag.....

"Nafarat ki aag mein aaj ye jal raha insaan hai,

Baha rakt nirdosho ka ye duniya desh mahan hai,


Jaati-dharm se naata jinka iska hi ye parinam hai,

Dwand ki is agni mein duniya bani shamshan hai,


Behte ashko ki peeda na puchhe koi ab to yaha,

Rote-bilakhte mazloomo ka hi ab to ye zahan hai,


Mar chuki insaaniyat yaha chhayi to shetaniat hai,

Hridayhin is duniya ka aaj devta hi bana shetan hai,


Kabhi zindagi bhi mahakti thi yaha gulshan mein,

Aaj dikhte nahi yaha aise kahi wo nishaan hai, 


Lut rahi khushi kahi to lut rahi yaha insaaniyat hai,

Lutera in bebasi ka wo shakhs kya yaha nadan hai,


Feli har taraf ye cheetkar behti rakt nadiyo ki dhaar,

Har taraf ashruon ka fela pada yaha ye saaman hai,


Maar kar aaj apno ko kaise fakra karta khada hai jo,

Kuchal dharaa ko perro tale muskura raha insan hai,

Nafarat ki aag..............."

aaj hi ka din hai jab tum-kavta

Archu
"aaj hi ka din hai jab tanha tum kar gaye the,
aaj hi ka din hai jab akela tum kar gaye the,
roti bilakhti din-raat tadapti tumhare intzar mein,
aaj hi ka din hai jab dil tum mera tod gaye the,
aaj hi ka din hai jab tum dur mujhse ho gaye the,
aaj hi ka din hai jab tum khwab mera tod gaye the,
khushi ki ik hasrat hi to maine tumse bas ki thi,
aaj hi ka din hai jab tum rula kahi chale gaye the"

Thursday 29 October 2015

do alfaz

"ek teri hi aas hai dil mein
bas ek Teri hi pyas hai dilme,
tujhe kya pata ae hamdam,
har pal tera hi ahsas hai dilme,"


"Tumse milan ki aas hai dime,
Ek tere  ishq ki pyas hai dime,
Dur   raho yà   raho   tum  paas
Har lamha tera ahsas hai dime"



ishwar vaani-110, ishwar aur devta

Ishwar kahte hain ''yadhhapi mera koi roop rang aur aakar nahi hai, bhakto ki ichha anusar evam desh/kaal/paristithyo ke anurup main roop leta hoon,

Kintu main hi shrishti nirman hetu vibhinn roop mein sarvapratham utpann hua jinhe log bhinn bhinn naamo se log desh/kaal/paristithyo ke anusar jante hain,

Mere yahi roop bhi ishwar aur devta mein bhed ka pratik hai,

Main tumhe aaj fir saral shabdo mein ishwar aur devta mein bhed batlata noon,

Ishwar usse kahte hain Jo sarvashaktiman to hai kitu uska apna koi aakar nahi hai, jisko kisi ne janm nahi diya na uska ant hoga,

Devta yadhhpi usme mere saman hi shaktiya hoti hai kintu meri ichha anusaar hi uska sansar mein janm hota hai aur nishchit samay baad uske bhi bhotik swaroop ka ant,

Kintu isme do raaye nahi hai ki sabkuch meri ichha se hota hai, kahi na kahi ye sab mujhse juda hai, isliye tum chahe jis roop aur jaise bhi mujhe ya mere kisi bhi roop ko yaad Karo par karo jarur, ishwar ya devta jise pukaro par pukaro WO hi tumhara kalyan karenge, ye WO vibhinn maarg hain jin par tum chal kar mujhe prapt karte ho,

Jesus Jo mera arthaat ishwar ka putra kahlaye unki bhakti tumhe mujh tak hi pahuchati hai, iske saath hi ishwar aur devta mein Jo antar hai WO darshati hai yadhapi jesus mein mujhse kam shaktiya nahi thi kintu wo ishwar ka putra hi rah, usi tarah mere anya roop hai, tum chahe jiski aaradhna karo par mujh tak hi pauchoge, aisa nahi hai log 33 karod mere roop mante hain aur unke alag lok, priye bhakto lok to ek hi hai WO hai mera kintu jiski bhakti karte ho WO mujh tak tumhe laane ka mere dwaara hi banaya gaya marg hai"


Tumhara kalyan ho






ishwar vaani-109, ishwar ke grahasth hone ka pratik

 Ishwar kahte hain "hey manushyo yadhapi tumne mere adhiktar grahasth jeevan ke darshan kiye hain, kintu shayad hi iska abhipraaye aur pratik pata ho,

Aaj main tumhe iska abhipraye aur pratik batata hu,
Mere grahasth aur shadishuda is baat ka sanket hai sansaar mein stree-purush dono hi behat mahatwapurn hain evam sansar mein utpatti ke liye inki kitni aavshyakta hai,

Iske saath hi ye is baat ka pratik hai ki main hi tumhara evam srashti samast ka janak palak aur sanharak hoon"


Tumhara kalyan ho

Saturday 24 October 2015

muktak-ek masoom si kali

'ek maasoom si   kali ho  tum,
mujhse kabhi na  mili ho  tum,
samai par ho mann  mein aise,
banke pushp dilme khili ho tum"

Friday 23 October 2015

dhokhe hazar hain-rachna

"Mohabbat ki mehfil mein dhokhe hazar  hai,
Dur talak dikhne par ye lagti kitni gulzar  hai,

Ishk ki chahat liye har dil kaise  tadaptaa  hai,
Mohabbat ke liye aaj saje jismo ke bazar  hai,

Mohabbat   ke to aaj saudagar hai  beshumar,
Sachhi chahat ki aaj ye dekh bani mazar   hai,

Ishk ke naam  par aaj jismo ke hai  karkhaane,
Kisi ko marne ka ishk ab ek behtarin auzar hai,

Mohabbat   ki mehfil  mein dhokhe   hazaar  hai,
Dur talak dikhne par ye lagti kitni gulzaar hai,-2"