Wednesday 18 November 2015

har khushi mil gayi hai-kavita

"Tumhe kya bataye kitna chahte hain tumko
Apni har khush mein bas paate hain  tumko,
Kaise toot kar bikharte hain ham zamin  par,
Kya tumhe bataye dilme basate hain tumko,


Meri khushi ka sahaara  tumhi   ho,
Meri Is zindagi ka aasra  tumhi   ho,
Nahi guzarta ek lamha bhi ab mera,
Meri khwaaisho ka kinara tumhi ho,

Tum bin hamari ye tanha thi zinadagi,
Tum bin hamare na dilme thi bandagi,
Suni si in raho pe akele raahi the ham,
Tum bin hamare  na koi thi bulandagi,

Tum Jo mile ho har khushi  mil   gayi  hai,
Kho chuki in labon pe hasi  mil   gayi   hai,
Jo akele mein rote the din  aur  raat   ham,
Tum jo mile ho har madhoshi mil gayi  hai



Tumhe kya bataye kitna chahte hain tumko
Apni har khush mein bas paate hain  tumko,
Kaise toot kar bikharte hain ham zamin  par,
Kya tumhe bataye dilme basate hain tumko"

Tuesday 17 November 2015

ek lekh-shoshankari tyohaar

Mere mann mein bahut baar ye baat uthti hai ki hamare samaj mein jitne bhi tyohar hai lagbhag kaafi saare purush pradhan hai aur jinhe streeya bade hi chaaw se manati hai, yaha in tyoharo ka naam le kar unki manyta ko thess pahuchane ka uddeshya mera nahi hai par hint kaafi hoga batane ke liye,

Jane kab se mahilaye pursho ke liye kabhi patni ban vrat upwaas rakhti taki unki umar lambi ho aur WO jeete Ji suhagin rahe, kabhi bhai ke liye bhooki pyaasi rah puja karti hai taaki bhai ki aayu lambi ho aur WO uski raksha kare to kabhi putra ke liye mahilaye vrat upwas karti hai taaki unki aayu lambi ho,

Jaane kisne ye parampra banayi aur kabse mahilaaye isse manati as rahi hai WO bhi khushi khushi, par sawal ye hai mahilao ke liye koi tyohar kyu nahi bana aaj tak ya hua aaj tak, Jo aalochak hai mere vichaaro ke WO kahenge aakhir navtatri hai na mahilao ke liye par usme chhoti bschhiyo ka pujan apne swaarth sidhhi hetu log karte hai na unki lambi aayu aadi ke liye saath hi ek ms ek bahan ek patni ki lambi aayu aadi ke liye purush dwara koi anushthan wala koi tyohar nahi hai,

Agar dekha jaaye to iske peeche sadiyo pahle ki purush pradhan soch aur un par nirbharta rahi hai, jise dharm aur aastha ka naam le kar streeyo ko moorkh bana tyohar ya utsav ka roop de diya gaya, aur vidambna dekhiye aaj ki aadhunik aur padi likhi mahilaaye bhi is shoshankari riwazon ko khushi khushi aage bada ek nayi dabi kuchli peedi taiyaar kar rahi hai, aur is prakar ye sadiyo purani parsmpara aage bad rahi hai,

Par Jo bhi ho, bhale aaj ki naari har kaarya mein shashakt ho par in riwazo dwara wo nari ko 21vi sadi mein bhi peeche thakel rahi hai, mujhe lagta hai ab in tyoharo ka purana uddeshya tyaag kewal ek saath khushi manane ka uddeshya yaad rakhna chahiye tabhi shayad nari jaati ka paaramparik shoshan kam ho sakega aur samaj ko naya sandesh milega kyu ki is rudiwadi samaj se shoshankari tyohar to ruk nahi sakte, kam se kam shoshankari tatva kam ho sake ..


dilki sogaat layi hai..

"Aaj fir mere is dil ne li angdai   hai,
Aaj fir chalte chalte teri yad ayi hai,

Barso se akeli hoon  in raaho  mein,
Fir kyu udaasi mann mein chhai hai,

Kahne ko hoon akeli is bheed   mein,
Par saath mein meri hi ye tanhai hai,

Tu samajhta hai dur mujhse khudko,
Par Sang mere teri hi parchhayi   hai,

Zakhmo ke ye tohfe diye   tune  bahut,
Har sitam par maine muskan sajai hai,

Kabhi rahta tha tu hriday mein hardam,
Aaj beech apne kaisi  milo ki  khayi  hai

Tu bhula chuka hai meri ye   mohabbat,
Par Archu tere liye dilki sogaat layi hai"

Monday 16 November 2015

geet... geet gaata hoon

"Geet gaata hoon geet gaaunga geet hi main gun gunaunga,
Saath nibhaata hoon saath nibhaunga saath hi rah main jaunga,

Mohabbat karta hoon karta jaaunga nahi tujhko tanha kar jaunga,
Pyaar mein tere marta hoon umar bhar ke liye fana ho jaunga,

Dil ek tujhko diya maine, hamsafar bas tujhko chuna maine,
Jeevan ka rahi maana tujhe maine, apna hamrahi banaya tujhe maine

Geet gaata hoon.............................................

Mann mein rahti hai tu mann mein basaunga mann ke mandir mein tujhe sajaunga,
Saanso mein tahti hai tu dhadkan banaunga tujhse juda ab na ho paunga,

Teri hi mohabbat ki ek pyaas hai mujhko bin tere pyaasa rah jaunga,
Door tujhse ja kar bahut jiya hoon par ab door tujhse rah kar na Ji paunga,

Tere liye hi to aaya hoon tera saath hi nibhaunga tujhe sang apne le jaunga,
Bahut akela raha hoon is mehfil mein bin tere ab har lamha tujhe saath apne paunga,

Kitna rota tha kitna roya hoon tujhe kya pata kya main khoya hoon,
Bas ibaadat teri karta tha main to ibaadat teri karta jaaunga,


Geet gaata hoon geet gaaunga geet hi main gun gunaunga,
Saath nibhaata hoon saath nibhaunga saath hi rah main jaunga-2"









banti hai kavita

"Wakt Milne se nahi shabdo se banti hai kavita,
Khushi Milne se nahi ashko se banti hai kavita,
Yu to likhne wale bahut hai duniya ki mehfil mein,
Ahsason ko shabdo mein pirone se banti hai kavita"

Sunday 15 November 2015

mit rahi zindgi hai

"Sisak rahi maanavta ro rahi bandagi hai,
Dharm ke naam par mit rahi zindagi hai,

Bhula insaniyat shetaniyat aaj bikhari hai,
Dekh ye duniya-daari ro rahi bandagi hai,

Behta rakt dekh rota hai rab mera aur tera,
Apno ko marta insaan ro rahi bandagi hai,

Khoon ki holy khelta insan bada abhagi hai,
Dekh zakhm masumo ka ro rahi bandgi hai,

Na baati rabne duniya baat diya insano ne,
Dard bhari duniya dekh ro rahi bandagi hai,

Sisak   rahi maanavta ro rahi  bandagi  hai,
Dharm   ke  naam par mit rahi zindagi  hai"

Monday 2 November 2015

mombatti- kavita

"Jalti pighalti hoon tab ujiyara hai hota,
Dekh mujhe aise chiraag sada hai bolta,

Jalti pighalti andhere mein roshni karti,
Dekh Teri ye kismat dukh mujhe hai hota,

Nahi sochti apne liye mit ti sabke liye,
Dekh Teri ye kurbani man mera hai rota,

Mitaati haste haste apni is hasti ko tu,
Mita ke tujhe ye zamana chen se hai sota,

Tu to khoti hai apni ye zindagi saari yaha,
Bhula kar tujhe ye sansaar kya hai khota"



एक स्पेलिंग मिस्टेक की वजह से एक किताब की 10 लाख कॉपी दो दिन में ही बिक गईं।

 दरअसल, ये गलती उस किताब के टाइटल में हो गई थी।

 किताब का नाम था-
'एक आइडिया जो आपकी Life बदल दे'

और गलती से हो गया-
'एक आइडिया जो आपकी 'Wife बदल दे'
😄😄😄😄😄😄😄😄😄