Tuesday 12 January 2016

'Meethi' ne bhi haan mohabbat ki thi-kavita

"Zindagi mein bas ye himakat ki thi,
'Meethi' ne bhi haan mohabbat ki thi,

'Khushi' se bas ek ye hi shrarat ki thi,
'Meethi ne bhi haan mohabbat ki thi,

Din raat bas 'Khushi' ki ibaadat ki thi,
'Meethi' ne bhi haan mohabbat ki thi,

Har lahma 'khushi ki ik kawayad ki thi,
'Meethi' ne bhi haan mohabbat ki thi,

Monday 11 January 2016

Kar kurban ye zindagi tanhaiya hi milti hai- kavita

"Bahte hai ask din-raat ye aankhe roti hai,
Kar kurban ye zindagi tanhaiya hi milti hai,

Luta di har  rishte pe apni ye zindagi saari,
Fir bhi aankho se girte pal pal ye moti hai,

Aakhir hua kya gunah tujhse meri 'meethi',
'Khushi' har pal ye mujhse hi puchhti hai,

Bahut dhunda jawab fir dilse ek awaz aayi,
Bas ek ladki hone ki saza hi tujhe milti hai,

Tu nibhaati hai har rishta jinhe apna maan,
Ladki hone ki ek khata jisse nahi suhati hai,

Ger mein dhunda pyar Jo tune mili bewafai,
Apno ka wo pyar ger mein kya dhundti hai,

Tadap kar 'meethi' ke dilse ye pukar hai nikli,
Har rishta jhootha 'Khushi' sabse ye kahti hai,

Bahte hai ask din-raat ye aankhe roti hai,
Kar kurban ye zindagi tanhaiya hi milti hai"

Saturday 9 January 2016

aazad Bharat mein nari ki Dasha-ek lekh

'Bade dukh ki baat hai Bharat ko aazad huye 70 saal  hone ko aaye par yaha ke logon ki soch wahi purani rudiwadi purush pradhan hi hai, kahawat hai is desh ki "yatra nariyantu pujyante ramante tatra devta" yani ki jaha naari ki puja hoti hai devta waha rahte hai, aur is desh mein kewal mandir mein hi uski puja hoti hai,

Waise to nari ka shoshan sadiyo se aaj tak har desh aur sampradaye mein hota raha hai aur ho raha hai, par aaj baat kewal Bharat ki karenge kyonki naari ko pujne ki baat kewal ye hi desh karta hai par hakikat se koson dur hai,

Aaj bhi chahe pariwar ameer ho ya gareeb beti ke janm par khush nahi hota, haan kuch log jarur kahi kahi dikhane ke liye jarur mithai aadi beti ke janm par dete hai par dilse rote hai aur dua karte hai agli santan beta ho,

Mere Bhi kuch friends hai, relatives hain and meri family bhi hai, jaha bete beti mein bhed bhaaw sareaam kiya jata hai, friends to meri umar ke hai wo aisa karte hai to herani hoti hai ki aaj ke modern time mein aisa WO karte hai, rishtedar unki kya kahu aakhir hamare pujniye mata-pita wahi se to nikle hai, aur family hame WO hi to degi jo pichhali peedi ne unhe diya hai bhed-bhaaw,

Apne pariwar mein sabse chhoti santan hone ke naate maine apne pariwar ke liye kya kuch nahi kiya,
Maine apni shaadi ke liye bhi apni cousins ki tarah zid nahi ki, par is pariwar ne mujhe hurt karne ke siwaaye kuch nahi diya, manovigyan kahta hai jab hame apno se apekshhit prem nahi milta to ham wo hi prem dusre mein dhundte hai fir chahe wo normal insaan ho, lengik samlengik ho, ya fir pashu pakshi,

Meri taraf se bhi wohi hua, par kahte hai na jab apne hi hamari izzat nahi karenge to gerr kya hai, natiza fareb, par fir bhi khud ko sambhala aur family ke liye jine ka faisla kiya, shayad ye bhi ek galti, ek ladki ki family parents nahi uska pati aur sasural hi hoti hai shayad ye hi kuch feel kiya maine,

Bachpan se ab tak Jo ban saka WO kiya maine, haan ye baat aur hai agar ek purush kuch kar de pariwar ke liye ya pariwar ki stree ke liye kuch to sab uska hi gungaan karte hai aur ladki usse kahi guna jyada bhi kar de to koi uska naam nahi leta, wahi purush ke liye kahte hai aisa bhai aisa beta nasib se milta hai,

Rahi baat meri to mera pariwar Jo mere bare mein kuch nahi sochta aur jiske upar main ek anchaha bojh hu mujhse bachpan se nakhush hai, kaaran maine stree-purush bhed bhaaw ka jam kar virodh kiya, ma-baap se barabari ka hak maanga, ye baat aur hai mujhe wo mila nahi, maine dekha hai waise to sabhi ko mere aandolan se problem hai par ma ko jyada hi hai, kahte hai na "aurat ki dushman aurat hi hai",

Kherr ye kahani mere akele ki nahi meri ek friend Ritu ki bhi yahi kahani thi aur bhi kai saheliyo ki yahi kahani hai par WO iska virodh nahi karti aur is kupratha ko aage badaati hai, sach to ye hai is kupratha ko rokne ke liye har ladki ko ghar mein hi aandolan chala ma-baap se barabari ka hak mangna chahiye, 

yaad rahe bahar hamare upar anaachar hota hai kyonki aisa karne wale apne ghar ki streeyo ko daba kuchla dekhte hai, yadi stree purush bhed khatm pariwar Kare, ladki kewal naukarani aur choolha-chauka sambhlane wali hi na maan kar har chiz mein barabri ki hakdar hai ye samajh samaj ko aa jaye, stree purush dono ki ahmiyat aur izzat karne ki aadat tatha Samanta pariwar mein  sthaan le le, aurat surakshhit raat ko ghar aa ja sake nidarta se tab samjhna wakai bharat ek aazad mulk hai, anyatha ham gulam hai apni pichhadi aur shoshankari dohari bhed bhaaw purn mansikta ke..




































Thursday 7 January 2016

kavita- meethi khushi

"Meethi-khushi ke dilme ye baat aayi hai,
Mann se ye hi aawaz di mujhe sunayi hai,
Abse pahle anjan thi mohabbat se main,
Ishk ki padi mujhpe wo hi to parchhai hai,

Yad mein unki ye aankh bhi bhar aayi hai,
Ishkme ashko ki nadiya maine bahayi hai,
Rah-rah aata hai ek ye khyaal zahan mein,
Kya door baitha sanam mera harzayi hai,

Mohabbat ki di maine to usse duhaayi hai,
Kyon imtihan har mod par zindagi layi hai,
Kar di maine naam apni zindagi jise ye hi,
'Meethi-Khushi' ne bewafai usise payi hai,

Ye kismat kyon mujhe yaha le kar aayi hai,
Kyon mili meri bhalayi ke badle burayi hai,
Jo jaga deep mohabbat ke dur chala gaya,
Aas usiki hai jisne ye aag dilme lagayi hai, 


Meethi-khushi ke dilme ye baat aayi hai 
Mann se ye hi aawaz di mujhe sunayi hai,
Abse pahle anjan thi mohabbat se main,
Ishk ki padi mujhpe wo hi to parchhai hai"


Monday 4 January 2016

naam kar du- kavita

"Aa baith mere paas ye pegaam main aaj likh du,
Tu kahe to tere naam ye subah aur shaam kar du,

Saagar se falak tak ek tera hi chehra dikhta hai,
Tu kahe to Saara aasman ye tere naam kar du,

Meri har dhadkan mein aaj rahti hai tu 'Meethi',
Teri muskan pe 'Khushi' se jaan tere naam kar du,

Chhod chali gayi mujhe tum ek martba yu tanha,
Aa mere paas har saans aaj ye tere naam kar du,

Zindagi ne milaya maut ne zuda kiya hame 'Meethi',
'Khushi' se har janm main aaj ye tere naam kar du,


Aa baith mere paas ye pegaam main aaj likh du,
Tu kahe to tere naam ye subah aur shaam kar du"


beete huye lamhe-chand panktiya us dost ke naam

"Beete huye lamhon ki har baat mujhe satati hai,
Chalte huye in rahon par teri yaad mujhe aati hai,

Jhalak aate hain ye ashk aaj bhi meri aakhon se,
Dilme uthati hai tis juban se ek aah nikal aati hai,

Wo tera hasna muskurana yu baahon mein lena,
Aaj tu dekh to teri har baat kitna mujhe rulati hai,

Kabhi diya aur baati jaisa tha saath hamara,
Aaj mere is jivan ko tanhaiya hi khaaye jaati hai,

Sagar se gehra tha kabhi rishta hamara 'Meethi',
'Khushi' apne rishte ki har ye baat bas batati hai,

Tufano se kitna lade ham fir bhi na kabhi hare,
Wakt se hare ashko ki ladi ye gatha sunati hai,

Ek dusre par mitne wale ham dost the kabhi,
'Meethi-Khushi' dosti ka geet fir gungunati hai,

Beete huye lamhon ki har baat mujhe satati hai,
Chalte huye in rahon par teri yaad mujhe aati hai,"


Saturday 2 January 2016

2016 ki sardi par meri kavita

'padi re padi ye garmi padi,
December mein padi
January mein padi,
dilli mein padi u.p mein padi,
uttar bharat mein padi,
padi re padi badi garmi padi,
dakshhin ki dhoop yaha khili,
 pashchim ki hawa yaha chali,
padi re padi badi garmi padi,
WO alaaw ki aag ab na jali,
WO sheet lahar na chali,
kohare ki maar bhi na padi,
muh se bhaap bhi kaha nikli,
padi re padi badi garmi padi"