Sunday 28 February 2016

for my sweet baby

"Aa tere kadmo mein do zahan main rakh du,   

                            aa tere naam apni ye jaan main kar du,  

     muskurata rahe tu  sada yuhi 'gulab' ki tarah,

      teri ik hassi par khudko kurban main kar du"

Friday 26 February 2016

meethi-khushi

"Dard bewafai ka aur ab sahaa nahi jaata,
tere bin akele aur ab rahaa nahi jaata,
tod diya waada Jo tumne kiya tha kabhi,
'Meethi' ko 'khushi' se yu juda kiya nahi jata"


"Sab hain saath mere bas Teri hi kami hai,
sab hain paas mere bas ankho mein nami hai,
hai duniya ki bheed mein kitni tanha ye 'meethi',
'Khushi' ke bina na aasma na ye zamin hai"

Tuesday 23 February 2016

shri ram tumhi ho

"Meri to har shaam tumhi ho,
Mere to ghanshyam tumhi ho,

Mera to hai ye maan tumhi se,
Mera to har samman tumhi ho,

Mere har armaan tumhi se,
Meri to har shaan tumhi ho,

Meri hai ye pahchan tumhi se,
Mera dil aur ye jaan tumhi ho,

Mere dilki ye dhadkan tumhi se,
Mere to bas shri ram tumhi ho''

Monday 22 February 2016

ishwar vaani-126, ishwar aur devta

Ishwar kahte hain "hey manushyo tum moorti puja karte ho karo, kyonki ye tumhe mujh tak pahuchane ka maarg hai, kintu ye jaan lo jinki tum upaasna kar rahe ho WO ishwar nahi devta athwa bhagwan hai,

Bhagwan WO hota hai jisne kisi samaaj ke kalyan hetu swam kasht sah kar samaaj ka uthhan kiya ho tatha prem days sahanubhooti ke saath netikta ka bhi jisne pura dhyaan rakha ho,

Ek devta athwa bhagwan ko sharir dhaaran evam nishchit samay baad tyagna padta hai kintu ishwar na janm lete na mrityu paate hai jabki bhagwan ki aatma mujhse aagya le naye kaarya ki purti hetu nikal jaati hai'

ishwar vaani125-aadhyatm kya hai_?

Ishwar kahte hain "hey manushyo main tumhe aaj aadhyatm shabd ke vishay mein batata hoon, aadhyatm shabd ka arth hai aatma dwaara parmatma aur uske divya evam param satya ke gyaan ka adhyan, aisa gyaan Jo ved aur saashto se bhi aaj kahi chhooth gaya hai, aisa param satya ka gyaan hi aadhyatm hai'

Ishwar aage kahte hain "chooki anek ved puraan likhne walo ko aadhyatm ki anubhuti hui aur unhone apne anubhav evam baate isme likhi kintu sadaa hi desh kaal aur paristithi ke anusaar isme pariwartan hota rahta hai, kintu jisko bhi aadhyatm ka gyaan athwa bodh hua hai WO iska prachaar prasaar karre taaki iske gyaan ki roshni se ek uchh samaj ka nirman ho sake"


ishwar vaani-124, shakti ka swaroop

Ishwar khte hain "hey manushyo you to main ajanma aur niralar hoon, na main paida  hua aur na hi mrityu mujhe aayegi,

Maine hi shrishti nirman hetu tridev (desh/kaal/paristithi ke anurup bhinn naam se log unhe jante hai) ko banaya evam unki sahayta hetu trideviyo ko banaya, tridevi yaani shakti,

Hey manushyu deviyo ka shrishti nirman mein sahyog tumhe anek baat sikhata hai, sabse pahle koi bhi purush stree ke bina adhoora, ye stree kisi bhi roop mein kyon na ho usse poorn banati hai ek stree sadaa hi shakti ka roop rahi hai, jiv ke janm ka aadhar rahi hai, bade she bade shaktishali log bina stree ke sansaar mein aa hi nahi sakte,

Log kanya pujan karte hai unhe mata yani shakti maan kar kintu unhi ke saath agle pal vyabhichar bhi karte hai,

Hey nirlajj manushyo ye na bhoolo tumhare bheetar bhi ek stree tatva virajit hai WO hai tumhari shakti, ek stree ko hi maine santaan janne ka adhikaar diya taaki jab ko kisi stree ya purush ko janm de to ek hissa stree tatva ka sadaa usme samahit rahe, ek purush chahe khud ko kitna hi stree se door rakhe ya durbhaawna rakhe kintu apne andar shakti roopi stree tatva ko WO kaise mitaa sakta hai, athwaa uspar kaise kudrishti daal sakta hai, kyonki agar usne aisa kiya to uska ant turant ho jayga,

Hey moorkh manushyo is prakaar anya stree ke vishay mein bura karne athwa vyabhichar karne se pahle apne andar ke us stree tatva ke vishay mein avashya vichar kar lena, kyoki Jo apne bheetar ki stree ko samman dega WO anya stree ko bhi dega, aur Jo stree ko samman dega WO mujhe maan de meri kripa paayega"








Saturday 20 February 2016

kavita-yu aise mile

"duniya Ki mehfil mein ham yu aise mile,
banzar si zamin par jaise gul ho khile,
behte akele dariya sa jivan tha hamara,
nadiyo ki do dhaar jaise aaj ye dil mile

Apne milan se shuru huye ye fir silsile,
Na rahe dil mein koi shikwe aur ye gile,
Har baat bhula karib aaye yu ham aise,
Mit gayi har duri aur dilo ke ye faasle"