Friday 30 September 2016

ishwar vaani-152, sachha sukh

Ishwar kahte hain, "hey manushyo tum aksar bhautik vastuon mein sukh dhoondte ho, kintu sachha sukh in me nahi milta, 

Praniyo ki ichhaye nirantar badalti rahti hai, jis ke kaaran manav sada atrapt rahta hai jisse usse santushti nahi milti aur WO dukh ko prapt karta hai,

Hey manavo sachha sukh kewal aatm santushti se milta hai, aur aatm santushti bhakti se,  evam bhautik sukh ko tyaag kar hi milti hai,

Yadhapi tum bhautik sukho ko hi sachha sukh maano lekin tumne dekha hoga jis bhautik vastu ko tum paana chahte ho aur prapt bhi kar lete ho tumhe sukh milta hai kintu agle hi pal koi vastu kisi ke pass  dekhte ho Jo tumhare pass nahi hai to tum usse paane ki chahat rakhte ho aur yadi na mile WO vastu tumhe to tum dukhi ho jaate ho,

Kintu yadi aatm santushti ki bhaawana tum viksit kar kar lo aur Jo tumhare pass hai usme khush rahne ki aadat viksit kar lo to kabhi dukhi nahi hoge,

Sachha sukh kewal bhakti aur aatm santushti se hi prapt kiya ja sakta hai"


Kalyan ho

Wednesday 17 August 2016

ईश्वर वाणी १५१, शिव लिंग का अर्थ

ईश्वर कहते हैं, "हे मनुष्यों यु तो तुमने शिव लिंग के विषय मैं अनेक लोगों की टिप्पणी सुनी होगी, कुछ ने तो अश्लीलता की सीमा ही पार कर दी इस पवित्र शिव लिंग की व्याख्या करने मै किंतु सत्य क्या है उन्हे पता नही, पता कैसे हो भला जो काम वासना वाली अपनीअपनी विचारधारा भगवान पर भी थोपते हो,


हे मनुष्यौं शिव लिंग तुम्है निराकार ईश्वर के विषय मैं बताता है, साथ ही तुम्हारी श्रध्धा के अनुसार एवं ईश्वरीय लीला के अनुरूप वो स्त्री और पुरुष का रूप रख कर देवी या देवता बनते है, लेकिन वास्तविक रूप वही निराकार ही है,

है मनुष्यौ साथ ही शिव लिंग ये बताता है प्राणी जाती के जन्न एंव उत्थान के लिये पुरुष एंव नारी दोनो ही आवश्यक है, साथ ही शिव लिंग भगवान शंकर के अर्ध नारीश्वर रूप का ही एक अंश है,


है मनुष्यौं यदि कोई तुम्है इस विषय पर भरमाये तो उस अग्यानी को ये तथ्य बता कर उसकी अग्यानता दूर कर ईश्वर के वास्तविक निराकार सत्य रूप का प्रसार करना,


तुम्हारा कल्याण हो "

Monday 8 August 2016

ईश्वर वाणी-१५०, ईश्वर का प्रसाद

 ईश्वर कहते है, "हे मनुष्यो यध्यपि मै तुम्हारी सच्ची प्रेम पूर्वक की गयी अराधना, स्तुति को स्वीकार करता हू, किन्तू मेरी पूजा मैं दीप, धूप, पुष्प आदि का क्या वास्तिक अर्थ है अर्पण करने एवं प्रज्जवलित करने का तुम्हे़ बताता हूं,

सुगन्ध चाहे पुष्प की हो या धूप अगरबत्ती की, वास्तविकता यही है इनके जैसा तुम्हारा जीवन महकता रहै, चाहे जीवन मै तुम्हैं जैसी भी परिस्तिथी का सामना करना पड़े लेकिन तुम्हारा विश्वास, यकिन न कभी डगमगाये,तुम्हारा विश्वास कायम रहै, तुम्हारा विश्वास ही तुम्हारे जीवन के सभी कष्ट हर कर तुम्हारी ज़िन्दगी महकायगा, कष्ट रूपी दुर्गन्ध को ये विश्वास ही खुशियों की सुगन्ध से महकायेगा,

हे मनुषों यु तो अनेक व्यकति जो खुद को महाग्यानी कहते है दीप जलाने मोमबत्ति जलाने के हज़ार कारण बताते है लेकिन वास्तविकता क्या है वो भी नही जानते,

हे मनुस्यों इनका प्रज्जवलन इसलिये किया जाता है ताकि तुम्हारे जीवन से अग्यान का अन्धेरा दूर हो, तुम्हारे भीतर की सभी बुराई का नाश हो, सत्य एंव सत्कर्म रूपी उजाला तुम्हारे जीवन को रोशित करे,

हे मनुष्यों यही कारण है जो  मुझे ये अर्पित किया जीता है,

मनुस्यों मुझे भोग लगाया जाता मेरी पूजा मैं कुछ न कुछ जिसे प्रसाद रूप मैं तुम सब ग्रहण करते हे, तथा प्रसाद अधिक से अधिक व्यक्ति को देने का प्रयास किया जाता है,

हे मनुष्यों ऐसा इसलिये किया जाता है ताकि तुम्हारे यहा भोजन की कभी कमी न हो, तुम्हारे द्वार से कोई भूखा न जाये, अनाज़ सदा प्रसाद मेरा बनकर तुम्हारे पास रहे, साथ ही तुम्हारे भीतर भी देने की भावना जाग्रत रहे"

Friday 5 August 2016

kya pehnawa mahilao ke rape ka zimmedar hai-ek sawal aapse

Badi vidamna ki baat hai Bharat ko aazad huye 69saal ho gaye par aaj bhi hamari mansikta kitni puchhadi iska andaza desh mein berok tok ho rahe rape ke aakdo aur khatao se pata chalta hai,

Hamare neta police karmi aur bhi gadmaanya log iske liye mahilao ke pehnawe ko dosh dete hai, pashchimi sanskriti ko dosh dete hai,

Mera sawal hai kya bharat ke purush itne kamjor hai, kya bharat ke purush itne kaami hai, WO desh jaha naari ki pooja hoti hai, waha ka purush itna kamjor hota hai Jo apni kaamna par niyantran nahi rakh rakta aur jara sa kahi kisi mahila/yuvati/balika ka khulapan dekh liya uska kaami swaroop bahar aa jaata hai aur vaasna shaant karne ke liye kisi bhi had tak chala jaata hai,

Bharat desh jaha kaam vaasna ki vibhinn mudrao ko darshati gufaaye hai. Sabse adhik rape wahi hone chahiye, kyonki unhe dekh kar bharat ke purusho ka mahakami asayami roop unhe dekh kar hilore marne lagega, par aisa nahi hai, jaha par khule taur pe kaam mudra mein mauzood moorti hai waha rape kam ho rahe hai wahi jara sa apni pasand ki poshaak pahne koi aurat nikal jaaye to bhaybheet rahti hai kahi rape ki shikar na ho jaaye,

Purush ko adhikar hai bina vastra ghoomne ka wahi aurat thode kam kapde kya pahan le pursho mein hawas chha jaati hai,

Isse achhe to paashchatya desho ke purush hai, jaha mahilaaye apne hisaab se kapde pahni hai aur rape Ku shikar kam banti hai, iska matlab yahi hai Hindustani purusho ke mukable wo adhik sanyami hai sabhya hai, unke mulk mein na kaam-vaasna darshati gufaye hai aur na mahilao ko Devi man puja jaata fir bhi waha rape kam hote hai, mahilaye apne hisaab se kapde pahnti hai apne hisaab se jivan jiti hai, fir bhi waha aisi ghatnaaye kam hoti hai,

To kya iske liye videshi sanskriti aur jivan shelly ko zimmedar maane ya apni pichhdi purush wadi soch ko Jo hamesha naari ko apni hawas mitane vaasna tripti ka saadhan maatra samjhti aayi,

Maine kahi pada tha bharat ke aazad hone ke baad balatkar ki ghatnao mein tezi aayi hai, iska seedha matlab yahi hai bharat ke pursho ko kewal bahana aur dosh naari pe thop kar usse aaj bhi apni vaasna shanti ki chiz se atirikt kuch nahi samjhta,

Iske zimmedar mata pita bhi kah na kahi hai, Jo be to ko kahte hai tum kuch bhi karo tumhara kuch na jayega, jaayega jinki beti hai, tabi har pariwar beta chahta hai taaki WO samman ke saath sarr utha ke chal sake chaahe beta balatkari kyon na ho,

Is dharna aur soch mein badlaw jab tak ghar se nahi aayga tab tak rape jaise ghinone sangin apraadh hote rahenge aur kah nahi sakte agla number aapka ya apke kisi apne ka ho..


  Copyright
Archana Mishra



Thursday 28 July 2016

my beta

'meri har nazm mera har nagma hai tu,

 ishwar ka koi anmol karishma hai tu, 


dil mein rahta hai kuch tu yu aise, 


dekh to jara meri aarju har armaa hai tu"

Saturday 23 July 2016

ishwar vaani_-149, hamare karm janmo janm

Ishwar kahte hain, "hey manushyo tumhe ye manav jivan pichhle janmo ke punyo se prapt hua hai taki Jo bhi tumne apne iss janm aur pichhle janmo mein tumne Jo bhi paap kare hain unka prayshchit kar prani jaati ki sewa kar, prakrati ki raksha kar mere dwaara bataye marg par chal kar moksh praapt kar sako,


Hey manushyo yadi tum manav jivan ke ahankar mein aa kar anetik kaarya karte ho, nirdosh, nirih ko sataate ho, galat evam ghranit karya karte ho, dhokha dete ho, kisi bhi tarah ka paap karte ho, kisi nirih nirdosh ka apne swaarth ke liye ahit karte ho, to tum apne is janm ke hi nahi balki pichhle janm ke punyo ko ka bhi naash karte ho, jiske falswaroop na sirf is janm mein dukh paate ho apitu ananya janmo tak dukh paate ho,

Hey manushyo yadhhapi tum sochte hoge aur tumhe tumhare pichhle janmo ke punyo ke kaaran bhale is janm mein adhik kasht na mile kintu tum apne sukh evam samradhi ke din avashya kam lete ho, tumhe jitne adhik din sukh milna chahiye tha tumhe uski jagah kasht praapt hota hai_"

Monday 11 July 2016

kavita

"Tumse mil kar mujhe ye zindgani mil gayi,
Tumse mil kar prem ki ye kahani mil gayi

Adhoori si zindagi thi isse pahle ab talak,
Tumse milkar prem ki har nishani mil gayi,

Dhoondti thi nigahe jise har taraf har kahi,
dekho to jara tumhe tumhari rani mil gayi,

Intzaar mein tere beete Jo din mahine saal,
Tumse mil kar khoyi fir ye jawani mil gayi,

Toot kar bikhar gayi thi 'Meethi' bin tere,
'Khushi' ki ye bandgani mujhe mil gayi,

Tumse mil kar mujhe ye zindgani mil gayi,
Tumse mil kar prem ki ye kahani mil gayi-2"