Monday, 26 March 2012

Hain q gam itne zindgi me meri




Hain q gam itne zindgi me meri, hai q nam itni aankhe meri, q thamta nhi logo ka muje har lamha drd dene ka ye silsila, q rukta nhi ashko ka kaafila mera, kya ho gayi mujse koi gila jo ye zindgi q aaj aise ban chuki h dushman meri, dekhe the khwaab aankh ne kabi meri, hogi kahi khushiyo bhari duniya meri, tod k khwaab unhe mila kya mujse, tabah kr k zindgi meri dil puchta h mera ye sawal unse ki aakhir kya khushi unhe mili hogi, hai logon kee har lamha mujhse ki gayi  bewafai se hi namm ye aankhe meri.....

Sunday, 18 March 2012

jinhe tumhari jarurat tumse bhi jyada hai.....................

apne liye to sab jeete hain, kabi unke liye jee kar dekho jinhe tumhari jarurat tumse bhi jyada hai, kabi apne zindagi se mayus ho to kabi unke dard ko dekho jinhe tumhari zindagi ki jarurat tumse bhi jyada hai, uss rab ne di zindagi tumhe kuch haasil karne ki, tumne socha jahan ki har khushi haasil kar lu,
par na kar sakte to zindagi se hatas huye, par uss rab ki marzi ko to ek baar dekho, di aakhir usne tumhe ye zindagi kisliye, shayad tum hi wo unn sabake maseeha jinhe tumhari zarurat tumse bhi jyada hai, aaj lagta hai dil me dard sirf tumhare hai, tumhare apne hi tumse door chale gaye hai, jara unke liye socho jo har tarah se bebas, unke liye badao aage haath jinhe tumhari jarurat tumse bhi jyada hai.....................

sad shayri


Q sirf nasib me muje aansu h har waqt mile , q dard itne muje bewazah yu sahne pade, thamta q nhi ye gam ka silsila ab, q mayusiyon k saaye har waqt muje rahte h aise ghere huye, ji chahta h kahi chhip jaau mai, na kahi muje meri parchhai mile aur na bina gunah k mili muje zindgi bhar ki koi saza mile,
ji chahne laga h q ab mera ki chhod du daaman ab zindgi ka, gale lag k maut ko chhod ab du ashko ka ab ye silsila, tootne laga h ye ab jeene ka hausla mera, dil mein toofan ban ye sawal uthta hai har bar q sirf nasib me muje aansu h har waqt mile q dard itne muje bewazah yu sahne pade....

Sunday, 11 March 2012

mere aas paas aaj bhi tu h .."


"inn hawao k jhoke me tu h, iss fiza me felly har khushbu me tu h, din k ujale se lekar raat ki gehrai me tu h, zindgi ki ummid se le kr akhiri sans me tu h, kahte h kahne wale mujse ki tune chhod diya h sath ab mera, duniya me kahi nhi h ab astiva tera, fir q har pal lagta h muje ki mere aas paas aaj bhi tu h .."

Saturday, 10 March 2012

aaj fir mujse milne aayi ha....


Dil ki gehrai me teri hi surat samai ha, meri har pachhai tujse hi to aayi ha, berang thi meri ye zindgi bin tere, mehak utha jeevan mera  aane pe tere,
aaj inn badalo me kahi ha tu gum par lagta ha har aahat par tu aaj fir mujse milne aayi ha....

maut ki gehrai

Log kahte h marne k baad sada k liye apno se juda ho jate h, aur ye hi soch kr log bar-2 rote ha, hm unse kahte h ae yu rone walo, poch do apne aansu, maut ki gehrai ko samjh, iss zindagi me jo unse pal do pal ki khushiyo ka milna to uss rab ka bahana tha teri unse pahchan krane aur pyar badane ka, aur rab ne maut likhi ha kismat ki lakiro me taaki sharir roopi bandhan se mukt ho kr ek din sada k liye unka jo ha ban jana, ye jiwan to kewal hme unse milane ka bahana ha jinse janm se le kr mratu tak kabi na kabi anjan hote ha, par maut hme unse milati ha jo sharir k bandhan se mukt ho bhi apne hote ha, jo kabi ajnabi the par aaj apno me shamil ha, ae mere dost to ab rona chhod q ki ek tuje b aisi nind aaygi, jisme rah jayga tera sharir yaha aur aatma uss parmeshwar k pas jaygi, aur tuje tere apne bichhdo se tuje milaygi..

Wednesday, 7 March 2012

dost...........

dosto ka wo saath bahut yaad aata, saath jiya wo lamha bahut yaad aata hai, ek waqt tha jab saath rahte the hm sab, aaj door hai  ek doosre se, yaado mein hi sahi iss chhoti c zindagi mein ek doosre ka khyaal to aata hai............