this is not only a hindi sher o shayri site, there is also u can see short stories, articals, poetry in ur own language yes off course in hindi......
Saturday, 27 August 2011
kuch pal chale saath mere tum
kuch pal
chale saath mere tum, fir chhod gaye mujhe beech majhdhar mein tum, fir
bhi na ki koi gila shikwa tumse humne, karte rahe intzaar tumhare laut
aane ka haste haste, tum na aaye par,fir ek din mil gaya hume koi
ajnabi ek din yu hi rah mein, di kuch pal ki khushiya hume usne apne ek
tarfa pyaar mein, kab kho gaye hum b uske pyaar mein, bhool gaye ye ki
hum to hain abi tak kisi k laut aane k intzaar mein, sochne lage na
aaoge tum ab kabi humare paas, jhooti hai hmare dil mein tumhare laut
aane ki aas, soch kar ye hum chale uss ajnabi k paas, doob gaye hum b
uske pyaar mein behisaab, waqt ne fir aisi karwat badli, bhool gaye the
hum tumhe par iss dil ne fir se tumhari aahat thi sun li, tum aaye
laut k ek din, di duhaai apne pyaar ki, sab kuch ab to hai bekaar,
kyon ab nhi karte hum tumse pyaar, pyaar mein tumne di hume ye doori,
ye dooriya ban gayi humari mazboori, thaam liya haath humne kisi aur ka
aaj, kar liya humne dil ko paththar ka aaj, tumhari yaad mein ek pal b nhi
ji sakte the aur aaj poori zindagi tumhare bin hai jeene ka faisla hai
humne kiya......
jaan se bhi jyada chaha tha
jaan se bhi jyaada chaha tha tumhe, iss dil mein bas basaya tha sirf tumhe, khuda ki jagah poojte the hum tumhe, kyon kar diya khud se juda tumne hume, kyon di ye saza tumne hume, kar na sake hum wafa ya fir bewafa kahe hum tumhe, tum ho gaye ho aaj bhale bewafa par aaj apni aakhiri saans bhi de di humne sirf tumhe....
Friday, 26 August 2011
ishwar vaani-3
God kahte hain, unhone har kisi vyakti ko kisi uddeshay se bheja hai,
unhone insaan ko kamjor, asahaay, nirbal, durlabh aur jarurat mand
praniyo ki raksha k liye bheja hai, issi liye unhone insaan ko aur
praniyo ki apeksha adhik budhhi aur sharirik shakti pradaan ki hai,
God kahte hain, duniya ki bhalai k liye yadi apni sabse priya vastu ka
bhi yadi tyaag kiya jaaye to kar dena chahiye kyon ki wo vastu yadi
duniya ki raksha k kaam aati hai to isse uska samman badta hai aur
saath hi wo swaym prabhu mein vileen ho jaati hai,......
God nirabal, nireeh praniyo ki bali ka virodh karte hai, kyon ki isse
sansaar k samast paap nast nhi honge, god ka bali se matlab apne apndar chupe huye
papo ki, apne andar ki samast buraiyo k ant karne se hai, afsoof ki log iss baat ko jaan kar bhi nhi maanne ko tairyaar baithe hai,
God kabhi kisi k jeevan chheen lene ki baat ki manav dwaar kar hi nhi sakte, kyon jeevan lena aur dena iss par hak sirf unhi ka hai...
God kabhi kisi k jeevan chheen lene ki baat ki manav dwaar kar hi nhi sakte, kyon jeevan lena aur dena iss par hak sirf unhi ka hai...
Tuesday, 23 August 2011
zindgi to ek rail gaadi hai
zindagi
to bas ek rail hai, jiska har ek lamha to bas ek khel hai, chalti rahti
hai ye bina ruke, apni mazil tak badti rahti hai ye bina ruke, milte
hain musafir iss rail mein b, dete hain saath kuch der iss safar mein b,
fir unka platform aa jata hai aur wo uttar jaate hain, apni manzil pa
jate hain(manzil hai zindagi ka ant)
kuch
log sochte hain jindagi ki iss rail k platform pe wo kabi nhi utrenge,
zindagi ki iss rail gaadi ko wo aise hi kheechnge, par wo nadan nhi
jaante ki wo to bas iss rail gaadi k sirf ek saadharan se musafir hai,
iss rail gaadi ka chaalak to wo parmeshawar hai,
hum
nhi jaante ki kab humara pahla station aaya, kab se humari rail gaadi
chalne ki shuruaat huii, aur kab aayga humara antim station,
parmeshwar
ne zindagi ki iss rail gaadi mein hume bahut se musafiro se milwaya,
kuch ne diya saath pal do pal ka to kuch ne jeevan bhar nibhaya, kisi
ne diye dhoke to kisi ne beinthaa pyaar de kar iss safar ko suhaana
banaya.......parmeshwar hi hai iska sanchalak, zindgi ki rail par uska
hai poora haq...
so enjoy this journey
wish u a very happy life to all of my frds...
dekho fir aaj....
dekho fir aaj chaand hai nikla, dekho fir aaj hai chandni felaayi,
dekho aaj ye fool hai fir se khila, dekho aaj ye kali fir iss ped pe aayi,
dekho iss patjhad ka mukhda,dekho aaj basant ritu fir se aayi,
dekho aaj fir sooraj hai nikla, dekho fir wahi suhaani shaam hai aayi,
dekho aaj fir ye aasman neela, dkho fir nasheeli raat hai aayi,
jab dekha ye mausam rangeela, dekh isse kisi ki yaad hai aayi...
Sunday, 21 August 2011
Subscribe to:
Posts (Atom)