Tuesday, 23 August 2011

zindgi to ek rail gaadi hai



zindagi to bas ek rail hai, jiska har ek lamha to bas ek khel hai, chalti rahti hai ye bina ruke, apni mazil tak badti rahti hai ye bina ruke, milte hain musafir iss rail mein b, dete hain saath kuch der iss safar mein b, fir unka platform aa jata hai aur wo uttar jaate hain, apni manzil pa jate hain(manzil hai zindagi ka ant)


kuch log sochte hain jindagi ki iss rail k platform pe wo kabi nhi utrenge, zindagi ki iss rail gaadi ko wo aise hi kheechnge, par wo nadan nhi jaante ki wo to bas iss rail gaadi k sirf ek saadharan se musafir hai, iss rail gaadi ka chaalak to wo parmeshawar hai,

hum nhi jaante ki kab humara pahla station aaya, kab se humari rail gaadi chalne ki shuruaat huii, aur kab aayga humara antim station,

parmeshwar ne zindagi ki iss rail gaadi mein hume bahut se musafiro se milwaya, kuch ne diya saath  pal do pal ka to kuch ne jeevan bhar nibhaya, kisi ne diye dhoke to kisi ne beinthaa pyaar de kar iss safar ko suhaana banaya.......parmeshwar hi hai iska sanchalak, zindgi ki rail par uska hai poora haq...


so enjoy this journey


wish u a very happy life to all of my frds...



No comments:

Post a Comment