Sunday, 13 December 2015

maar do ma mujhe.................

Aadhunik samaj mein ek ajanmi bachhi ka dard

"Maar do ma mujhe, main nahi duniya mein aana chahati,
Gero ki kya kahu apno ke bhed-bhaaw nahi sahna chahati,
Maar do ma mujhe..............

Main nahi dekhna chahti naaritva ko har din yu lutte huye,
Main nahi dekhna chahati stritva ko ghutke yu marte huye,
Maar do ma mujhe..............

Teri bebasi main dekh rahi hoon, ghar ki garibi bhi dekh rahi hoon,
Tujhe chinta hogi mujhe padane ki, tujhe chinta hogi dahej jutane ki,
Maar do ma mujhe..............

Tere dil ka bojh ban main nahi iss dhara par ab aana chahati,
Mat-pita ki dohari ye prem reet main nahi ab sahna chahati,
Maar do ma mujhe..............

Dansh umar bhar beti ka main nahi aur ab sahna chahati,
Ghar bahar har jagah barabari ka ek adhikar hi main chahati,
Maar do ma mujhe..............

Jo de na sake adhikar samaan samman ka, 
aise samaj mein fir main nahi aana chahati,
Maar do ma mujhe..............

Kya hoga jo ek din naari nahi duniya mein kahi dikh payegi,
Vilupt ho chuke jeevon mein uski gadna bhi yaha ki jayegi,
Maar do ma mujhe..............

Shayad tab samjh aane lage jag ko naari ki ye ahmiyat,
Badal jaaye sabka nazariya shayad badal jaaye niyat,
Maar do ma mujhe..............

Tab tak main nahi fir ab janm yaha lena hoon chahati,
Apmanit hoti naari, begunahi ki saza nahi pana chahati,
Maar do ma mujhe, main nahi duniya mein aana chahati"

Friday, 11 December 2015

ishwar vaani-114, nakshtron ka aakar

Ishwar kahte hain: "is pure brahmand mein sabhi grah nakshatra gol hain, iska abhipraye hai shoonya, is shrashti ki shuruaat hi us shoonya se hui, shoonya arthaat kuch nahi,

Is kuch nahi se hi sampurn brahmand ka nirmaan hua, aur uska praman dene hetu hi maine inka aakar bhi shoonya rakha, mera apna aakar aur prakar bhi shoonya hai in graho ki tarah arthaat kuch nahi, par kuch na ho kar poorn sampoorn jaise ye grah shoonya ho kar bhi sampoorn hai,

Aatma ka aakar bhi yahi hai shoonya arthaat kuch nai aur ishwar ke lok ka bhi yahi hai shoonya aakar arthaat kuch na ho kar bhi sampoorn, shoonya ek aisi kriya hai Jo baar dohrati hai jaise koi gola banao aur usme bhaago, tum jaha se shuru karoge wahi aa jaoge par koi shira na paoge,


Waise hi brahmand ki utpatti ki kriya hai, jeev aatmao ki kriya hai, jo nasht hoti fir banti fir nasht fir banti, aisa ananat kaal se ho raha hai aur hota rahega, aur grah nakshtra apne aakar se iska ullekh karte rahenge"

ishwar vaani-113, aatma aur shareer ka rishta

Ishwar kahte hain: "yadhapi aatma shareer ke bina adhuri aur shareer aatma bina apurn hai, fir bhi aatma ko ek nishchit samay ke baad shareer tyaag naye shareer mein pravesh karna padta hai kaaran: jis shareer mein rah kar uske pichhale karm anusaar is janm mein rah kar karm karne ka avsar usse diya iske upraant usse ab agla janm le kar athwa naya shareer le kar apne uddeshyon ki purti karni hoti hai,

Hey manushyo tum Jaan lo ki tum yaha pahli baar nahi aaye ho, tum jab se ho jab se maine praani jaati ki utpatti ki, tumne maanav se phle kitne hi roop dharan kare isse phle aur aakhir tumhe manav jeevan prapt hua, taki tum satkarm kar moksh ki prapti Karo, ye manav jivan karodo varsho mein hi kisi aatma ko milta hai taki wo aatma moksh pa sake, kintu iska anuchit upyog tumhe hi janm janmo ke is jaal mein ujhata rahega aur tum dukh ke bhaagi banoge"

Tuesday, 8 December 2015

Bharat ki baala

"Main Bharat ki baala hoon,
Shaktihin nahi balshala hoon,
Mat kahna mujhe ab tum abla,
Ban chuki ab main sabla hoon,

Main Bharat ki baala hoon,
Gyaan ki paathshala hoon,
Mat samjhna agyani mujhe,
Ved--paath ki jwaala hoon,"

Sunday, 6 December 2015

mit raha aaj insaan hai

"Dharm ke naam par mit raha aaj insaan hai,
Fela kar dehsat har taraf bik raha insaan hai,
Khatm ho gayi manavta kho chuki insaniyat,
Adharm ki ye ibaadat likh raha aaj insaan hai,

Bebas aur mazlumo ko maar raha aaj insaan hai,
Baha lahu nirdosho ka kya fitrat uski mahan hai,
Nahi sunta cheekh pukar mazlumo ki ye cheetkar,
Apne swaarth ke liye bana raha jag shamshan hai,

Baat chuki usne dharti saari baat raha aasmaan hai,
Baat diya insaan ko usne ab baat raha bhagwaan hai,
Hindu-muslim karte karte dekho ham aaj bhi ladate,
Nafrat ki is aagse nit roz ban rahe Bharat-Pakistan hai-2"

Bharat ko jaati dharm k naam se baatne walo k naam meri chand lines:

Bharat ko jaati dharm k naam se baatne walo k naam meri chand lines:
'sabse pahle main insaan hoon, Hindustan ki main shaan hoon,
na puchhna tum jati dharm mera,
is dharaa ka main samman hoon..'

Saturday, 5 December 2015

bhartiye samaj me nari ki sthiti-ek lekh

"Maine Amar Ujala akhbar me ek lekh pada tha jisme likha tha logo ki dharna h: gaaye abhagi ki marti h aur patni aur beti saubhagyashali ki, maine bhi apni ma ke muh se suna hai beti bhagyashali ki marti h,

Kitni vichtra vidamna h stree ki samaj me ek pashu se bhi doyam atithi h, aur dukh is baat ka bhi h aisi stithi me naari ko dhakelne me nari ka hi purush jitna yogdan h, tabhi to vivah ke naam uska daan uaki daas pratha ko darshata h, vivah stree purush dono ka hota h fir stree ka daan kyon?? Kya wah nirjiv vastu ya pashu h jiska daan hua aur pati uska swaami, issi pratha ne naari ko pashu se bhi neeche pahucha diya,

Haal hi me TV pe dekha ek ladki ne shani ki puja kya karli utpaat ho gya, waha ki lok parampra tut gyi, lok patampara bnai purush aur kuch naari virodhi istreeyo ne , WO b us samay jab nari aur b dabi kuchli avastha me thi, aaj thoda sa samay badla aur nari ne waha puja karli to parampra tutne ka dram logo ne kar diya,

Kul mila ka sakte h Bharat abhi bhi dharm k naam par naari virodhi parampara par chal raha h, isme badlaaw ham aur aap aaj ki peedi kar sakti h tabi aane wali peedi ko ham shresh Bharat de paynge"



Macks Archu(Archana)