Sunday, 13 December 2015

maar do ma mujhe.................

Aadhunik samaj mein ek ajanmi bachhi ka dard

"Maar do ma mujhe, main nahi duniya mein aana chahati,
Gero ki kya kahu apno ke bhed-bhaaw nahi sahna chahati,
Maar do ma mujhe..............

Main nahi dekhna chahti naaritva ko har din yu lutte huye,
Main nahi dekhna chahati stritva ko ghutke yu marte huye,
Maar do ma mujhe..............

Teri bebasi main dekh rahi hoon, ghar ki garibi bhi dekh rahi hoon,
Tujhe chinta hogi mujhe padane ki, tujhe chinta hogi dahej jutane ki,
Maar do ma mujhe..............

Tere dil ka bojh ban main nahi iss dhara par ab aana chahati,
Mat-pita ki dohari ye prem reet main nahi ab sahna chahati,
Maar do ma mujhe..............

Dansh umar bhar beti ka main nahi aur ab sahna chahati,
Ghar bahar har jagah barabari ka ek adhikar hi main chahati,
Maar do ma mujhe..............

Jo de na sake adhikar samaan samman ka, 
aise samaj mein fir main nahi aana chahati,
Maar do ma mujhe..............

Kya hoga jo ek din naari nahi duniya mein kahi dikh payegi,
Vilupt ho chuke jeevon mein uski gadna bhi yaha ki jayegi,
Maar do ma mujhe..............

Shayad tab samjh aane lage jag ko naari ki ye ahmiyat,
Badal jaaye sabka nazariya shayad badal jaaye niyat,
Maar do ma mujhe..............

Tab tak main nahi fir ab janm yaha lena hoon chahati,
Apmanit hoti naari, begunahi ki saza nahi pana chahati,
Maar do ma mujhe, main nahi duniya mein aana chahati"

No comments:

Post a Comment