gerro se kya shikwa kare galtiya to humse hui, kisi aur se kya ruswa ho nadaniya to humse hui, chalte chalte raah me humne hi apna rukh aise badla, k kahan tha jana mujhe ye soche bina faisla jo badla, mili thokar uss raaste par hume jab hosh aaya, wo kaaton bhara raasta bhala tha isse pahle jis par pahle main chala tha ye aawaz dil se aayi aur door kahi se fir muje meri mazil di dikhlai, raaste ab b 2 the mere saamne, ek tha jispar chal kar mujhe thokare mili aur doosre par thi kaanto bhari wo zindagi, par na milti thi usme thokar aur na kisi bhatkaaw ka tha darr, fir faisla kiya dil ne mazil tak jaana hai muje par uss raaste se hi jana hai jahan derr se par kaanto k kaalin se ho kar hi sahi par bina kisi thokar k uss manzil tak pahuchna hai, aur uss raaste par chal main chala jaa raha hoon , ummid iss dil me rakh kar ki kabi na kabi apni mazil tak pahuch hi jaunga, ek na ek din apni mazil to jarur paunga, mazil tak pahuch kar apni galtiyon se ye sabak to paunga ki bhale chalna pade kaanto bhare rashte par agar mazil tak pahuchna hai to ussi par chalo, chhota raasta dhoonda jo mazil paane ka, milegi thokar aisi ki na to dikhegi koi mazil aur na mil sakega koi raasta, jo giroge thokar lagne par tum fir na sambhal jo paoge, toot kar aise bikhroge ki ki wapas kabhi na jud paoge, aur bas yaad kar issi sabak aage bada main hoon ab ja raha, hui jo galtiya mujhse unhe ab sudhaar raha,..................
No comments:
Post a Comment