Monday, 13 January 2014

Kyon tum aaj kuchh khoye khoye se ho

"Kyon tum aaj kuchh khoye khoye se ho, kyon tum aadhe jage aur thode soye soye se ho,
nazare chura rahe ho mujhse par dikhta hai raat bhar bahut roye roye se ho,
mil kar mujhse anjan jo ban rahe ho tum lagta hai shayad abhi tak mujhse yu tum ruthe ho,
paas ho kar bhi dur ja rahe ho jaise alwida bol rahe ho,
mohbbat ka diya dil mei jaga kar aakhir kyon bhujha ke tum mujhse dur ja rahe ho,
kyon tum kal ki baat dil se lagaye baithe ho,
kyon tum yu khafa khafa se ho,
kyon tum abhi tak juda juda se ho,
kyon tum aaj yu khoye khoye se,
kyon tum aaj khoye khoye se ho, kyon tum aadhe jage aur thode soye soye ho.. "

No comments:

Post a Comment