Thursday, 23 July 2015

ishwar vaani-90, ishwar ne atirikt kuch nahi banaya

Ishwar kahte hain "hey manuahyon jis prakaar maine tumhe do aankh do kaan diye hain, jis prakaar maine tumhare shareer par atirikt ang pradaan nahi kiye hain, usi prakar shrishti mein maine kuch bhi atirikt nahi banaya hai,

Tum swaarth vash, jihwa ke swaad hetu athwa manoranjan hetu kisi nirdosh ke praan har lete ho kintu ye adhikar tumhe diya kisne, jab maine tumhe do ki jagah teen aankhe do ki jagah chaar haath nahi diye fir mere dwaara shrishti pe janme kisi bhi jeev ko maarne ka atirikt adhikaar tumhe diya kisne,

Jis prakaar tunhare shareer par atirikt ang pradaan nahi kare hain maine waise hi na koi jeev-aatma, nadi-naale, sagar-bhoomi, jharne-van(jangle), brahmand ka kan kan maine atirikt aur bina uddeshya ke nahi banya hai,

Ishliye hey manushyo in me se kisi ko bhi haani pahuchana band kar sampoorn manav bano, ek sachha aur sanpoorn manav hi saint kahlata hai kyonki WO sada jagat ke  hit ke vishya mein kriyasheel rahta hai aur is kaar deviye gun prapt kar sabka kalyan karta hai, kuch pakhandi log manav ko devta banane ki baat karte hai, par WO nahi jante devta aur saint aur ishwar mein kya bhed hai, devta chhodo tum pahle maanav to manushya ko bana do,

Ek manav apne satkarmo se saint ban ishwariye kripa pa deviye gun dhaaran kar devta ki shredi mein aa pahuchta hai, devta nishchit kriya ko poorn kar us parmeshwar mein vileen ho jate hain, sansaar mein sabki mratyu nishchit hai siwaaye ishwar ki, samast jeev aatma, samast Brahmans, Brahma, Vishu, Mahesh, samast maha shaktiya jisme ek din vileen ho jayngi WO ishwar yani ki main hi hoon, Jo shoonya arthaat kuch na ho kar bhi San kuch hoon, sabka janak, palak, sanharak aur khud mein samane wala main hi hoon, swarg-narak, khushi-gam ka data main hi hoon,

Hey maanavo abhi bhi wakt hai manav dharm ki rah par chal mujhe apna lo anyatha aage apne vinaash ke tum khud hi zimmedar hoge"







No comments:

Post a Comment