Wednesday, 2 September 2015

ateet ka tarana bahut yaad aata hai

"Ateet ka tarana bahut yaad aata hai,
Ghar wo purana bahut yaad aata hai,

Wo gaaw se shahar tak mitti ka rasta,
Raaho pe daudna bahut yaad aata hai,

Karachi ke in jharokho se unka jhakna,
Wo hasin chehra bahut yaad aata hai,

Lahore ki fizao mein unka gungunana,
Unki awaz ka jadu bahut yaad aata hai,

Salma ka Seeta sang Ram leela jana,
Sath yu nibhana bahut yaad aata hai,

Ram ka Rahim ko bhai kah kar bulana,
Hind hai ham bahut yaad aata hai,

Ghar wo purana maati ka aashiyanaa,
Ruksana ka aana bahut yaad aata hai,

WO aam ka pedd wo bagiya mein Jana,
huddang machana bahut yaad aata hai,

Sookhe patto par karr karr karte chalna,
Fasaado pe hasna bahut yaad aata hai,

Pandit ka mulla sang ek saath chalna,
Mohlle par btiiyana bahut yaad aata hai

Batwaare ne baat diye masjid gurdware,
Sang tyohar mnana bahut yaad aata hai,

Wo aam ki bagiya amrood ki daliyaa,
Amiya churana bahut yaad aata hai,

Bharat ke veer hain ham ye batlana,
Beeta wo zamana bahut yaad aata hai,

Ateet ka tarana bahut yaad aata hai,
Ghar wo purana bahut yaad aata hai"








No comments:

Post a Comment