Thursday, 28 January 2016

ishwar vaani, saadhu, saint, sanyasi mein bhed-115

Ishwar aaj hame batate hain: "hey manushyo aksar tumne teen naam 1-saadhu, 2-saint evam 3-sanyasi suna hai, kintu inme bhed aur antar kya hai tumhe ya tumme se kinhi ki ye pata hai, aaj vistar se tumhe main inka bhed batata hoon,

Sabse pahle baat karte hai saadhu ki, saadhu wo hai Jo sadhna karta hai, jiska aachar vichaar satvik hai, kintu saadhu grahasth bhi ho sakta hai aur nahi bhi, kintu apni apni saadhna ka prayog wo apne niji swaarth ke saath samaj ke kalyaan ke liye bhi karta hai, niji swaarth aur samaj ka kalyan kaise karna hai ye uski budhhi aur vivek par nirbhar karta hai, kayi baar saadhak sadhna karta hai apni shakti badane hetu, iske saath samaj ka kuch had tak wo kalyan bhi karta hai. Kintu inhe ham saint nahi kah sakte,

Ab baat karte hai saint ki, saint wo hota hai Jo grahasth ho kar bhi sada ishwar ki araadhna karta ho, iske saath apne kartavyo ka palan karne wala, praani jaati ke liye daya, prem, sahanubhuti rakhne wala, dusre ki peeda mehsoos karne wala, nihswarth sewa karne wala hi sachha saint hai, saint ki baat kare to saint sudama ka naam pramukh hai Jo grahsth ho kar apne samast kartavyo ko nibha kar bhi nirantar ishwar ki aaradhna mein lage rahe, sahi artho mein wehi sachhe saadhu aur saint the,

Yadi koi vyakti ishwar ki upasna na kare kintu apne samast kartavyo ka nirwah karta rahe, jisme daya, prem, sahanubhuti, bhauchara, samast jivo ke liye saman prem bhavna evam nimn varnit gun hote hai WO saint ki shtedi mein gina jaata hai,

Ab baat aati hai sanyasi ki, sanyasi wo hota hai jisne samaj se naata tod khud ko ishwar par aprpan kar diya ho, aise vyakti kabhi apne swaarth ke bare mein nahi sochte, pura brahmand hi inka ghar aur samast jiv hi inka pariwar hote hai, ye samaj sudharak aur margdardhak hote hain,

Kabhi kabhi saadhu saint aur sanyasi ek hi hote hai arthat ek hi gun ek vyakti mein aa jaate hai jaise Jesus aur sai baba,
Kintu kuch log naatak karte hai nimn guno ka, aise mein unhe apna guru banane se pahle unki satyata parakh le, aur saadhu, saint evam sanyasi ka bhed thik se jaan lein"

Kalyan ho

No comments:

Post a Comment