Wednesday, 3 February 2016

ishwar vaani-120, aatma se prem

Ishwar kahte hain "hey manushyo tum kabhi kisi jeev ke saath durvyavhaar mat karo, na hi manav mein bhed bhaaw rakho,

Hey manushyo sabhi praniyon ko unki dehh dekh kar nahi kewal aatma samajh kar samman karo, kyonki dehh to mithhya hai aur aatma satya hai, isliye na to dehh ka abhiman karo aur na kisi ki deh ka tiraskar,

Jaise JAL (paani) jis bartan mein daal jama diya jaata hai waisa hi barf ka roop WO le leta hai, waise hi ye aatma hai, Jo us JAL ke saman hai sharir us bartan ke saman aur karm us Jami hui barf ke saman,

Jaise JAL (paani) us bartan mein jam kar ussi aakar ki barf ban gaya kintu isse iska mool tatwa arthaat paani tatwa nasht to nahi hua, aadhar to wahi raha, waise hi aatma chahe jis roop mein rahe, sharir mutabik karm kare kintu rahegi to wahi aatma,

Isliye pratek jeev ki aatma se prem kaho, sabhi ko aatma maano, jab bhi milo kisi se usse aatma hi kaho, aisa isliye bhi aavshyak hai aatma amar hai, yadi ham kisi se aatmik prem karte hai to tumhara priye sadda tumhare saath rahega kintu dehh se prem ek din usse juda kar dega,

Hey manushyo isliye na to jeebh ke swaad ke liye kisi jiv ki hatya karo na kisi ka shoshan, sabhi ko aatma kah prem karo, meri drishti mein sabhi jiv barabàr hai, main shoshan nahi karta kisi ka fir tum kaun hote ho aisa karne wale,

Hey manusyo ye yaad rahe aaj tum jiska bura kar rahe ho bhale is janm mein tumhe tumhare pichhle karm anusaar adhik na bhogna pade par aane wale aur janmo mein uchid dand milega, isliye meri har rachna ki raksha karo, sabhhi jivo se prem karo"

No comments:

Post a Comment