Sunday, 19 February 2012

Dosti pe ab bharosa na raha

Dosti pe ab bharosa na raha, dosto ne di hassi, usse chhinte mujse unhe der na lagi, kare wade jhoothe unhone par usse todte unhe ek pal ki bhi deri na lagi, dil roya mera, bahe ashk meri aankho se, par bedard dosto ko apni khushi k aage meri dard bhari aah bhi besuri lagne lagi, kahte the kabi zindgi k uss mukam pe sath nibhaynge hm, jahan sab chhod denge sath tera waha tere liye haath badaynge hm, par jab jarurat padi muje to meri fariyad unhe mazak lagi, auro k saath wo chhod chale muhh apna mod k,door gaye wo muje tanha chhod k, dil unhe har pal mera pukarta raha, bas wo the jinhe mera na dard dikhai diya aur na sunai di meri pukaar, aur isliye mera ab dosti pe bharosa na raha....

No comments:

Post a Comment