khwaab
Kal
raat ek khwaab dekha, usme dekhi kismat ki rekha, sitare the buland
mere, tamam hauslon k saath maine khud ko badte dekha, khud ko aasman
mein aur duniya ko neeche dekha, chhut gaya hai saath jinka mujhse aaj
unhe bhi maine raat khwaab mein saath dekha, ya allah ye kaisa mazak
tune kiya, h pta tuje na hoga koi khwaab mera poora, fir q tune muje
kal raat ye khwaab dekhaya, hai pata kismat mein meri hai likha sirf
khona, hai kismat mein meri bas yu zameen pe rahna, na milega kabhi
saath kisi mujhe kabhi, sooni rahegi meri ye zindagi har pal har kahi,
rahegi sada dil me tees kisi ki bewafai ki, rahega dard seene mein kisi
ki ruswai ka, ya khuda fir q tune mujko buland hauslon k saath aage
badte iss khwaab mein dekhaya, bhoolna chaahte hai jisse hum ab ya allah
q tune mujhe raat khwaab mein fir unse milaya....
No comments:
Post a Comment