"Apne bahte huye ashkon mein teri hi chhavi dikhti hai,
Har taraf har pal mujhe to sirf ik soorat teri hi dikhti hai,
Bas tujhe hi pukarata hai har lamha ye nadan man mera,
Kaash sun sakta tu ye pukar tadapte dil ki ye chitkar,
Bhulana chaha tujhe apne zahan se har lamha maine,
Ik harzaai ko hai aaj bhi chahta bhola ye mann mera,
Apne bahte huye in ashko mein teri hi chhavi dikhti hai,
Apne bahte huye in ashko mein teri hi chhavi dikhti hai,
mere sine ki har dhadkan ko bas pyas ik teri hi rahti hai,
yad mein teri in ankhon se ansuo ki nadiya Hi bahti hai,
Teri hi yaad mein har ghadi meri to aankhiya roti hai,
Phir bhi saanson ko bas ik teri aas har pal hi rahti hai,
Dil ki gehraai mein moorat mujhe to teri hi dikhti hai,
Har taraf har pal mujhe to sirf ik soorat teri dikhti hai"
No comments:
Post a Comment