"Beete guzre lamho ki yaad mujhe aati hai,
Un lamhon ki har baat mujhe satati hai,
Ek khata mohabbat ki hamne kya kar di,
Meri aashiqi hi aaj yuh mujhe rulati hai,
Uski chhavi har taraf mujhe nazar aati hai,
Dhadkano se uski hi aawaz bahar aati hai,
Hai WO to bewafa mujhe hai ye khoob pata,
Fir bhi yaad uski ashq ban kar chali aati hai,
Kismat se mili daga ye baat bahut rulati hai,
Kabhi kahte the wo ki ham diya aur baati hai,
Har khwaab tod tanha kar gaya ek pal mein,
Apne is soonepan mein koi baat na suhati hai,
akele hu ya rahu bheed mein uski yaad aati hai,
Chalte-chalte fir meri aankhen nam ho jaati hai,
Sochta hai kitna ye dil us farebi ko aaj bhi mera,
Yad mein us bewafa ki dhadkan bhi rukti jati hai,
Dilse har lamha bas ye hi baat nikal ke aatee hai,
Ek bewafa se dil lagane ki khata tujhe satati hai,
Main to thi nadaan na jani us bewafa ki pahchan,
Ab Ye hi baat pal-pal mujhe to bas tadpaati hai,
Beete guzre lamho ki yaad mujhe aati hai,
Un lamhon ki har baat mujhe satati hai,
Un lamhon ki har baat mujhe satati hai,
Ek khata mohabbat ki hamne kya kar di,
Meri aashiqi hi aaj yuh mujhe rulati hai,"
No comments:
Post a Comment