"Aaj fir mere is dil ne li angdai hai,
Aaj fir chalte chalte teri yad ayi hai,
Barso se akeli hoon in raaho mein,
Fir kyu udaasi mann mein chhai hai,
Kahne ko hoon akeli is bheed mein,
Par saath mein meri hi ye tanhai hai,
Tu samajhta hai dur mujhse khudko,
Par Sang mere teri hi parchhayi hai,
Zakhmo ke ye tohfe diye tune bahut,
Har sitam par maine muskan sajai hai,
Kabhi rahta tha tu hriday mein hardam,
Aaj beech apne kaisi milo ki khayi hai
Tu bhula chuka hai meri ye mohabbat,
Par Archu tere liye dilki sogaat layi hai"
Aaj fir chalte chalte teri yad ayi hai,
Barso se akeli hoon in raaho mein,
Fir kyu udaasi mann mein chhai hai,
Kahne ko hoon akeli is bheed mein,
Par saath mein meri hi ye tanhai hai,
Tu samajhta hai dur mujhse khudko,
Par Sang mere teri hi parchhayi hai,
Zakhmo ke ye tohfe diye tune bahut,
Har sitam par maine muskan sajai hai,
Kabhi rahta tha tu hriday mein hardam,
Aaj beech apne kaisi milo ki khayi hai
Tu bhula chuka hai meri ye mohabbat,
Par Archu tere liye dilki sogaat layi hai"
No comments:
Post a Comment