Friday, 30 September 2016

ishwar vaani-152, sachha sukh

Ishwar kahte hain, "hey manushyo tum aksar bhautik vastuon mein sukh dhoondte ho, kintu sachha sukh in me nahi milta, 

Praniyo ki ichhaye nirantar badalti rahti hai, jis ke kaaran manav sada atrapt rahta hai jisse usse santushti nahi milti aur WO dukh ko prapt karta hai,

Hey manavo sachha sukh kewal aatm santushti se milta hai, aur aatm santushti bhakti se,  evam bhautik sukh ko tyaag kar hi milti hai,

Yadhapi tum bhautik sukho ko hi sachha sukh maano lekin tumne dekha hoga jis bhautik vastu ko tum paana chahte ho aur prapt bhi kar lete ho tumhe sukh milta hai kintu agle hi pal koi vastu kisi ke pass  dekhte ho Jo tumhare pass nahi hai to tum usse paane ki chahat rakhte ho aur yadi na mile WO vastu tumhe to tum dukhi ho jaate ho,

Kintu yadi aatm santushti ki bhaawana tum viksit kar kar lo aur Jo tumhare pass hai usme khush rahne ki aadat viksit kar lo to kabhi dukhi nahi hoge,

Sachha sukh kewal bhakti aur aatm santushti se hi prapt kiya ja sakta hai"


Kalyan ho

No comments:

Post a Comment