2014 me kisi k liye likhi mere dwara likhi kuchh lines...
"mujhe kal mili meri saheli sabita(changed name),
uski khidmat mein likhi ek kavita,
par jane kyon badla-2 uska mizaz tha
shayad isliye ki uske pati ka naam bajaj tha,
saath jahan wo unke nikli akeli thi,
raah mein barso baad mili uski ye saheli thi,
dekh usse jahan pukara maine 'Sabita',
ud gaye uske hosh kyonki saath uska pati tha,
karte nahi thkti thi jahan tarif apne pati ki wo,
aaj saamne khada shakhs wo hi tha,
footi thi ek aankh uski aur har ek daant bhi nakali tha,
dekh uss hasin shakhs ko dil se bas ye hi nikla
'arre wah ri sabita,
kya issi ka intezaar tune barso kiya tha',
yaad kar un dono ke ishk ki daastan hamne likh daali khidmat mein unki bas ek kavita,
wah ri sabita wah
No comments:
Post a Comment