maine apne god se duniya k uss gyaan k baare mein pucha jo param satya hai, aur unhone mujhe wo sab kuch bataya jo param satya hai, wo baate jo sirf shaashtro mein aur vaidon mein hi likhi hai unhone mujhe wo sab bataya, ye wo gyaan hai jo insaan ko janm maran k bandhan se mukt kar usse bhagwaan ki sharan mein le jata hai agar koi bhagwan dwaara diye gaye inn niyamo palan kare to....,
yaha god ne mujhe kuch scienticif baate b bataii hai jinhe aaj tak duniya bhar k scientist b nahi jaan paye aaj wo sab baate hum yaha likh rahe rahe wo isliye taki main kud unki baato ko na bhul jaau, wo baate jo mujhe nahi pata ki maine kis punya se payaa hai ye gyaan,

1: god se maine pucha ki bhagwan ye bataiye ki chandram (moon) ko prithvi (earth) ka bhai aur mangal (mars) ko prathvi (earth) ka beta kyo kahte hai aur unhone mujhe bataya..
"jab dharti ban rahi thi aur jab wo puri tarah nahi ban paayi thi tab isme ek bahut bada blast huaa jo ab moon kahalata hai, aur isliye prithvi ka bhai kahlaata hai,
aur jab dharti puri tarha ban gayi thi aur usme jeevan panapne wala tha usme fir ek jordaar blast huaa aur fir iskaa ek hissa toot kar alag ho gaya jo mars kahlata hai, isliye usse dharti ka beta kaha jaata hai, aur fir maine pucha ki iska kya proof hai to unhone kaha iska proof bas ye hi hai ki tabi aisa lagta hai jaise Mangal mein jeevan ki ummid hai, dharti jaise hi kaafi baate waha dekhne ko milti hai,
2: iske baad maine god se pucha ki bhagwan iss pure brahmaand mein sirf dharti par hi jeevan kyo hai aur kisi planet pe kyo nahi hai to unhone mujhe bataya .....
praaniyo ko janm to ek maa hi deti hai aur ye dharti maa hai, ye samast saur mandal mein eklauti aisi grah hai jo stree hai, jo iss duniya mein praaniyo ko janm deti hai unko paalan poshan korti hai, aur ant samay aane par unke bhotik shareer ko apne mein hi sama leti hai,
3: fir maine pucha ki bhagwan ye bataiye ki agar dharti maa hai to humare pita kaun hai, to unhone ans diya...
ki dharti maa hai aur dharti waasiyo k pita soorya dev (sun) hain kyo ki jaise dharti apne wasiyo ko palan poshan karti hai bina soorya (sun) k ye sab mumkin nahi hai, sooraj ki garmi k bina ye sab mumkin nahi hai, soorya dev ki garmi se hi samasht bhotik swaroop ko vikaas hota hai, jeevan k shuraat se ant tak sab kuch unki daya se hi hota hai,
4:fir maine pucha ki god ye sab to samjh aa gaya bt ye sab baaki jo planets hai wo kya hai, humari aakash ganga (galaxy) kya haii, inka humare jeevan mein kya kaam hai aur fir god ne kaha...
ye sabi planets humare yaani ki sammpurn dharti aur uske waasiyon ka vaastavik aur sarv pratham pareewar hai, guru, padosi, mitra hai, jo vibhinn tareeke se dharti wasiyon ki zindgi ko niayantrit karte hain, maine pucha kaise to unhone bataya....
jaise dharti sabki maa hai, aur chandrma dharti se alag ho gaya aur isaka bhai bana,iska matlab hai ki wo sabi dharti wasiyo ka mama huaa,
iske saath kai aur scientific baaten isse judi huii hai jo bina moon k possiblne nahi ho sakti, ye humare jeevan mein b bahut hi imoportnt bhumika nibhata hai,
god ne mujhe bataya ki mars jo ki dharti ka beta hai wo hum sab dharti wasiyo ka bada bhai hai, aur sab mein bada hone k naate hum sab k jeevan ko nayantrit karta hai,
bhagan ne bataya ki brahsapati grah k baare mein, unhone bataya ki ye sabi grahon k guru hain aur sabi gyaan aur ko budhdhi dete hain, hum dharti waasiyo ko b ye gyaan aur budhdhi dete hain, humari janm kundli mein kahan maujud hain iska bahut assar padta hai,
fir god ne grah budh, shani, aur anya graho k baare mein baataya,aur ye kis tarah hume prabhavit karte hain avam ye kaise humare pareevar ka sadasya hai ye bataya..
ishwar ne bataya ki ye sab grah humare padosi aur sarv pratham humara pariwaar hai kyon ki ye humari prithvi ka pareevar hai jo samast prithvi waasiyon ki maa hai,
ishwar ne bataya ki ye sab grah humare padosi aur sarv pratham humara pariwaar hai kyon ki ye humari prithvi ka pareevar hai jo samast prithvi waasiyon ki maa hai,
5: maine god se pucha ki bhagwan ye bataiye ki maine suna hai ki sammpurna grha paani se nikle hai shaashtro mein to kuch aisa hi likha hai, kya ye sach hai agar hai to iska kya proof hai kaise main maanu ye, aur maine ye suna hai ki shristi nirmaan se pahle yaha ek bahut bada samundar tha iska kya pramaan hai, to unhone kaha ki ye sach hai aur iska proof ye hai.....
Ishwar ne kaha ki samandar tha nhi balki hai, ye samast grah nakshatra jo tumhe dekhne mein lagte hai ki aasash mein thehare huye hain, par sachh to ye hai ki ye iss samandar mein hi terte rahte hain, inki ek seema aur inke aapas k gurutwakarshan k kaaran aakash mein idhar udhar bhatak nahi sakte bas ek jagah rah kar hi terte rahte hain, par uss samadar ko koi bhi saadharan praani nahi dekh sakta, uske liye divya drashti chahiye, aakash k samandar k bare mein kuch had tak dharti k samandar se jaan sakte hain, jaise dharti k samandar k neeche jeevan hai, waha pe samandar k prani rahte hain, aur iske upar nauka ityaadi chalti hai jaise waise hi aakash k uss vishaal samandar k neeche dharti pe praani rahta hai, jaise samandar mein nauka ityaadi chalti hain waise hai aakash k samandar mein ye grah nakshatra terte rahte ha, aur rahi baat samast grahon k paani k dwaara banne ki to iska pramaan ye hai ki sabi planets par paani kisi na kisi roop mein paya jata hai, kahin ice ban kar to kahi guess ban kar to kahi kisi aur roop mein ,ek baat bhi satya hai ki paani ki maujjoodgi k baad bhi waha kabhi jeevan nahi panpega, kintu ye param satya hai ki ye sabi planets paani se hi nikle hai tabi yaha paani kaii roopo mein maujud hai..
fir maine puchha ki prabhu paani se bhala ye kaise bane, hume bataye to jara...
Ishwar ne kaha, uss vishaal samandar mein badi joordaar leharein uthi, aur wo lehare aapas mein takrai, unke gharshan se rasaaynik pratikriya hui, unn rasaaynik pratikiyraon se paashaad jaisa padaarth ektrit hone laga, aur dheere dheere bahut bade aakar mein aa gya, fir ek din inhe lehron se usme vishaal vishfot hua, aur wo kahi jagah bikhar gaya, fir iske baad aisi rasaaynik kriya kai baar hui, kai baar waisa hi paasad ikathha hua fir toot kar bikhra, aur issi se humare samast grahon ka nirmaan hua, ye halchal aakash mein tab tak hoti rahi jab tak ki samast grahon ka poorn nirmaan nhi hua, aur jab dharti ka ant hoga iss vishaal saarag mein fir se aisi lehare aaynge jo samast bhrahmaand ko apne mein sama lengi aur samast jeevan aur iski sabhyata ka ant kar dengi.....

So friends God ne mujhe aur b bahut saare gyaan ki baate batayi hai wo bhi hum aapko batayehe but next part mein..
byee
love you my friends
Gr88888888888888
ReplyDeletethanks Chetan ji
DeleteVyarth ka vakhan maat karo, apko om darshan kyu denge apani kalpana batane ke liye jhoot bolna uchit nahi hai. Suno
ReplyDeleteadoora gyan agyant se uttpann hota hai.
To apni lekh apitu jibh par niyantran rakho ye samast manusy jati ko ek agyan koop me samahit kar sakti hai
ap to nari hai nari jati ko jootha bolna ashobya hai yaad rakhiye ga agar is samast shirsti ke purush dharm ko tyag de aur stri agar pavitr hai or dharmic to sakshat shakti avatarit hongi kalyan karengi. Naari shakti hai iss vakya ko atmshat karlo
pranam!
&Aryan¤
kyon ishwar par apka copyryt h, aapko aur apke shashron ko ishwar k un
Deleterupon ki gehrai ka b pata nai jo unhone anek desh me janm liye aur
unke gyan ka anusharn kar ek naye dharm ka nirman hua, aur rahi baat
stree-purush pashu-pakshi ki to god ki nazar me sab barabar h, wo sbse
saman prem rakhte h aur wo dil me rhte h, agr dil me jhank kar porn
pavitrta k sath usse hm dhundte h to wo hme darshan dete h otherwise
dhundte raho unhe dharmik jagaho par
aur rahi baat adhure gyan ki to purn gyan to gyani ko b nai h q ki
purn gyan god k siwa kisi k paas nai, so muje kuch kahne se pahle khud
ko jano q ki dusro ki ninda ya dusre ki shradhha pe avishwas karna
ishwar nai sikhate kya apko gyaat nai, aur jb apko ye gyaat nai to
kisi ko jane bager kuch kahnaa dharm shashro k virudhh h undrstand..................
and aapko meri abi tak ki sabi ishwar vaani padnee chaahiye ok