Saturday, 23 April 2011

God Said...........Ishwar Vaani *2* **samast grah nakshatra aasmaan mein kaise thehre rahte hain**

Dear Friends, aaj fir hum aapko god dwaara achchi achchi  baate yaha  batane ja rahe hain...
1. humne god se pucha ki ye samast grah nakshatra aasmaan mein kaise thehre rahte hain????
God ne ans diya,
Ans. Aasmaan mein jo samandar hai ye sab usme terte rahte hain, uss samandar ko hi sheer sagar kahte hain jisme ye sara brahmaand samaya hai,

2. humne god se pucha ki aap bhagwaan vishnu ban k kya issi samandar mein rahte ho ya dharti pe jo samandar hai usme aap rahte hain??
God ne kaha,
Anas. hum sheer sagar mein hi rahte hain, jo kisi bhi maanav ko apni bhakti heen aur paapi aankho se najar nhi aayega, ye wo hi saagar hai jisme samasht grah nakshatra terte hain..

3. humne unse pucha kya sheshnaag bhi usme hi rahte hai??? 
God ne kaha,
Anas. haan wo bhi sheer sagar mein hi rahte hain, aur batane k liye hi maine prithvi k saagar mein naagon ka  sthaan kiya hua hai,

4. humne usne pucha ki samudra manthan kahan isse saagar mein huaa tha ya jo dharti pe hai usme huaa tha aakash mein hai??
God ne kaha,
Ans. aakashiye saagar mein,

5. humne god se pucha ki jitne bhi dharti pe atyaant prachin dharmid jagah hai waha pe aap niraakar roop mein kyon hai???
God ne kaha,
Ans. mera vaastavik roop niraakar hi hai, main apne bhakto ki ichcha anusaar hi roop banata hoon, sabhi dharmik sthalo pe mera niraakar roop iss baat ka pratik hai, main hi mata hoon, main hi pita hoon, jis roop mein mujhe pukaaro mein wo hi hoon,

6. humne unse pucha ki shirdi mein aap sai baba k roop mein aaye the, par aap sirf wahi kyon aaye???
God ne kaha,
Ans. atyant praachin kaal mein shirdi walo ne ghor tapashya ki thi, tab maine khush ho kar unhe vardaan diya tha ki kalyug mein main shirdi mein avashya padharunga, wo ek dharmik nagri kehlaaygi,

7. humne unse pucha ki aap kya hai, kya aap hindu hai ya muslim, aap chtristian hain ya sikh??? aapka mazhab kya hai, jaati kya hai??
God ne kaha,
Ans. main na to hindu hoon na muslim, na chtirstian hoon na sikh, ye to insan hai jo mera naam le kar dharm aur jaati bana baithe hain,maine to iss duniya ki dekhbhaal karne k liye insaan banaye the, par insaano ne na jaane kay bana diya, insaano ne mujhe hi baant k rakh diya..

8. humne pucha insan kyon banaye the aapne??
God ne kaha,
Ans. iss duniya ki dekhbhaal, prkrati ki surakhsa, sabhi praniyo ki bhalai hetu hi maine iss duniya mein insaan banaye par insaano ne apni shakti ka galat upyoog kiya hai,

9. God ne hume aakash mein vidhymaan inn Black holes ke bare mein bhi kuch bataya????

Ans. Aakash mein vidhyaman wo kale gufaa ya fir wo kale chhed yani ki black hole ussi aakashiye saagar se utpann bhanvar hai, tatha ye iss satya ka bhi bodh karata hai ki shristi nirmaan se poorva samast jagat mein issi prakaar ka andhaar vyaapat tha, shrisht vinaas ke samay samast grah-nakshatra dheere-dheere issi mein sama jaaynge, yani jahan se shrishti ka nirmaan hua tha wahi uska ant hoga, sansaar mien rah jaayga to sirf aur sirf Shoonya taaki fir se ek nayi shrishti utpann ho sake..


so dear friedns mujhe god ne bahut kuch bataya hai to wo hum aapko next mail mein likhenge...

3 comments:

  1. Bahut achche...
    Mai vishnu bhagwaan ka bhaqt hu..
    Or
    Apke is blog in muje unke baare me jaan ne kaafi shahyta ki...
    Dhnyawaad
    Keep going..

    ReplyDelete