Ek baar ki baat hai, jangle mein jaanwaro ki ek sabha ektrit
hui, mudda tha insaano dwaaara jo samast jaanwaro pe atyaachar ho rahe hain
unse kaise mukti paayi jaaye, iske liye na sirf samooche jangle se balki har
gali aur nukkad k jaanwaro ne uss sabha mein hissa liya aur apnee apnee
samashyayein aur unke samadhan k bare mein vichaar bataye, kintu ek bhi vichaar
jaanwaro aur jangle k raja sher khan ko achha nahi laga, wo kuch aisa vichaar
chahte the ki insane ko akal aaye aur wo jaanwaro pe atyaachar na kare aur
duniya mein insaan aur jaanwar mil jul kar ekta k saath rahe,
Sabha mein iss
vishaya pe vichaar karte karte subah se sham aur sham se raat ho gayi par koi
upaaye na soojha, ant mein raja sher khan ne apne sabse kareebi miitra lomad singh
ko koi upaye sujhane ko kaha,
Lomad sing kaafi
suljha huaa tha, usne raja ko salah di ki sabse pahle hmare yaha se koi jaanwar
hmara doot ban kar insaano k paas ja kar uss sabse shaktishaali shakhs se
milega jiska samanst maanav kahna mante hain, hmara doot unhe humari samashya
batayega aur humare vichaar batayega, fir dekhte hain ki insaan humra kitna aur kaise saath dete hain,
Raja jo uski baat bha gayi, doot ban kar chinku kharghosh ko
insaano se vaarta karne ko bheja gaya, kaafi din beet jaane k baad bhi chinku
kharghosh ka kuch pata nhi chala to uski khoj mein beenu Bandar ko bheja gaya,
par kaafi samay ho gaya uska bhi kuch pata nhi chala ant mein raja ne apne kuch
insaano k saath galiyon mein rahne wale kutte mahashay aur billi mausi se unki
soochna dene ko kaha, to unn logon ne kaafi khoj been kar bataya ki jis
khargosh ko unhone insaano se vaarta karne bheja tha use to insaan apna bhojan
bana kar kha chuke hain aur jis Bandar ko unhone bheja tha use kisi
chhidiyaghar mein bhej diya gaya hai aur wo begunah ho bhi jail mein saja kaat
rha hai,
Ye khabar pa kar
sher khan ka khoon khaul utha, usne fir se samast jaanwaro ki ek sabha bhulai
aur kaha bas bahut ho chukka insaano ka hum pe atyaachar, hum ab aur nahi sah
sakte, hum sabi jaanwro ko apne aapsi manmutaaw mita kar dharti pe sabse
shaktishaali samajhne wale insaan naam k jaanwar pe humla kar dharti ko aur
samast jaanwar biraadari ko use mukt karana hai, iske liye hume jald se jald
maanav jaati pe humle krna hai, Raja ne sabha mein sabhi janwaro ko ye bhi bataya
ki kis tarah maanavo ne unke priya doot khargosh ko apna ahaar bana daala aur
uki khoj mein gaye Bandar maharaj ko bhi bewazah jail mein daal diya, ye sun
kar sabhi jaanwaro ka bhi khoon khaul utha, aur sabhi jaanwar maanavo pe humla
karne k liye aage badne lage,
Jangle mein rahne
wale jaanwaro ne sabse pahle jangle k kareeb maanav nagaron mein humle bol diya
iske saath hi insaano k beech rahne wale samast kutte, billi, gaaye, bhains,
bhaind , bakri ityaadi ne nagar mein utpaat machana shuru kar diya, itnaa hi
kaafi nahi tha, dharti pe chaltne wale inn jaanwaro ki harkat dekh kar paani
mein arthaat samandar mein rahne wale jeev bhi kahan rukhne wale the unhone bhi
samandar ki seema laanghna shuru kar diya aur unhone bhi maanav jaati pe humla
kar diya,
Bechaare insaan
kya kare unhe to kuch samajh hi nahi aa raha tha, wo jitna adhir jaanwaro pe
atyaachar kar unhe mar kar bhagate use jyada samkhya mein ye jaanwar unpe humla
kar dete, maanavo ki ek se ek vegyaanik taknik bhi asafal hoti dikh rahi thi,
maanav yadi khud ko bachane samandar mein panah lete to waha k jeev unhe apna
graas bana lete, dharti pe bhi jamast thalchar jaanwaron ne unhe apna ahaar
banana shuru kar diya tha, aur yadi wo aakash mein panah lete to waha chhidiya,
gidhh ityaadi waha bhi nahi rahne dete, dheere dheere dharti se insaano ka
naamo nishaan kam hone laga, aisa lagne laga ki shayad ab dharti se insaan
naamak jaanwar humesha k liye lupt ho jaayga,
Aise mein ishwar
ko maanav jaati pe raham aaya, usne samast maanavo tak apne dooton ki sahayta
se ye sandesh pahuchya ki yadi maanav jaati dharti pe apne astitva ko bachaana
chahti hai to use samast jaanwar jaati se maafi mangni hogi, iske saath unhe ye
bhi vachan dena hoga ki wo kabhi kisi bhi jaanwar ko koi bhi aage se nuksaan
nahi pahuchayenge, unhe kisi bhi bahane apne ahaar nahi banaye jaise abhi tak wok
arte aaye hain kabhi dharm k naam par kisi nirdosh janwar ki bali de di ye fir
kabhi apni jeebh k swaad k liye unhe maar kar kha gaye ya kabhi doosro mein
apni paith dikhane k liye kisi nirdosh ki jaan le kar use apna ahaar bana liya,
iske saath hi bhagwaan ne insaano se ye bhi kaha ki insaan apni bastiya waha
nahi basayga jahan pahle se hi jaanvaron ka aashiya hai, maanav kisi bhi
jaanwar pe kisi bhi tarah ka atyaachar nahi karega, parmatma ne kaha yadi tum sab maanav ye karne
ka waada yadi jaanwaro se karonge aur apne wade ko nhi todoge to dharti se
tumhara astitwa bach sakta hai anyatha main bhi kuch nahi kar sakta,
Dharti pe bache kuche jo maanav rah gaye the
unki sabha hui, aur unhone apne astitwa ki raksha aur dharti ko maanav viheen
hone se bachane hetu ishwar dwaara bataye path par chal kar samast jaanwaro se
maafi mange hetu aur iske saath hi unhe kisi bhi tarah ka koi bhi nukasaan na
pahuchane ka waada kiya, insaano ne tay kiya jaisa bhagwaan ne kaha hai hum
waisa hi karenge kabhi kisi bhi jaanwaro
ko saataynge nahi, unke jangle k paas apni bastiya nahi basaynge, jaisa bhagwan
ne kaha hai waisa hi hum karenge,
Iske baad
bhagwaane jaanwaro k paas ja kar unhe samjhya aur maanav jaati se fir se ek
baar dosti ka haath badane ko kaha, par janwar maanavon se kaafi khafa the par
bhagwan dwaara samjhane par wo maan gaye, fir unn donon ki bhait hui, iswar
dwaar samjhane par dono dharti pe ek ho kar rahne lage, aur iss prakar dharti
maanav viheen hone se bach gayi…….
Note: tab to dharti
maanav viheen hone se bach gayi kintu hum insaan isi tarah se jaanwaro pe
atyaachar karte rahenge, apne dharm aur apni jeebh k shwaad ki khatir unhe apna
ahaar banate rahenge to nishchit roop se
ye janwar insaano k atyaachar se tang kar unpe humla jaroor karenge aur tab
insaanon ko na dharti pen a aakash aura na hi samadar mein jagah milgee aur tab
bhagwaan bhi unka saath na dega, isliye abhi bhi waqt hai sudhar jao aur insaan
ho ye fir jaanwar sabhi se prem poorvak raho…….
No comments:
Post a Comment