Tuesday, 2 October 2012

Kahani


meri itnee umar to nahi ki maine duniya dekhi ho, par meri umar jitnee bhi hai isme kaafi kuch dekha aur samjha hai, humari zindagi mein kai log aate aur chale jaate hai, jo chale jaate hain ya to hum unhe bhool jaate hain ye fir wo ek kahani ban kar humari yaadon ka ek hissa ban jaate hain, aaj aisee hi ek yaad ya fir kahe kahani ya fir ek kissa mujhe aap sabse share karne ka mann kar raha hai, mujhe nahi pata ki umar meri kitnee rahi hogi jab wo ghatna ghati par badti hui umar k saath kaafi kuch dekha aur fir mann mein kai sawaal uthe........


          Kiran k ghar mein khushiyon ka maahol tha kyon ki unke ghar mein  teen betiyon k baad ek beta jo paida hua tha, kiran unn teen bahano mein dusre no ki thi  jiski umar lagbhag 5 saal ki rahi hogi, ghar mein iss tarah khushi ka maahol dekh kar usne apni maa se puchh liya ki maa aisa kya huaa hai jiski wazah se ghar mein aisa jashn ka maahol hai, uski maa ne kaha ki tu didi ban gayi hai, to uss nanhi bachhi ne kaha maa wo to main pahle se thi apni chhoti bahan Aashta ki, par uske janm par to aisa maahol nahi bana tha fir aaj aisa kya ho gaya jo har taraf khushi ka maahol hai, uski maa ne kaha wo ladki thi isliye har taraf murdai chhai hui thi, badi mannato k baad humare ghar mein beta hua hai, tu badi kismat wali hai jo tujhe bhai ka sukh mila hai, to Kiran ne kaha maa bhai k paida hone pe aisa kya ho gaya jo Aastha k paida hone par nhi hua tha, kya bahan ka saath badnaseeb walo ko aur bhai ka saath naseeb walo ko milta hai, agar aisa hai to bhai to janm se hi badnaseebi apne saath laaya hai kyon ki iskee to janm lete hi 3 bahane iske saath hai, isse jyada badnaseeb kaun hoga,  ye sun kar uski maa ne usse daant kar waha se bhaga diya,


      waqt beetta gaya Kiran dekhti thi ki ghar mein uske bhai ki sab achhe se khoob dekhbhaal karte the, uski har baat ghar mein maani jaati thi, jo wo kahta tha ghar mein wahi hota tha, par ghar ki ladkiyon ko bade hone k baad bhi humesha bhai se dab kar hi rahna hota tha, ghar mein khaana bhi ladkiyon ko bhai k khaane k baad hi milta tha, agar koi cheez baahar se khaane k liye aati to pahle bhai ko milti agar usse bachh jaati to hi bahano ko milti anyatha nahi milti, 


        jab Kiran ka bhai school jaane k laayak hua to usse shahar k ek naami school mein daakhila dilaaya gaya jabki ladkiyon ko sarkari school hi bheja jata tha ye kah kar inki padai kaun sa humare kaam aane wali hai, inhe achhe school mein bhejne ka kya faayada, ek din to ye kisi aur k ghar chali jaayngi, aur waha ja kar choolha chauka hi to sambhalna hai, achhi padai likhai kar k ye kya karengee,


       apne aur apni bahano k saath ho rahe atyaachaar ko kiran dekh rhi thi aur ab uski umar bhi 10 saal ki ho chuki thi, ab wo kaafi kuch samjhne lagi thi, ek din ki baat hai uske bhai ne ghar se kuch paison ki chori ki, ghar mein khalbali mach gayi, sabse pahle ladkiyon se pucha kya tumne chori ki hai ladkiyn ne mana kar diya ki na to unhone chori ki hai aur na chor ko dekha hai, fir uske baad bhai se puchha gaya to usne bhi saaf inkaar kar diya, iske baad ghar k bachhe apne apne kamre mein chale gaye, fir achaanak kisi kaam se Kiran apne bhai k kamre mein gayi to wo waha paise gin raha tha, to usne puchha tumhare paas ye itne saare paise kahan se aaye, kya tumne chori ki, aur agar ki to jhoot kyon bola, bhai hadbada gaya, Kiran apni maa se bhai ki shikaayat karne chali gayi, to maa ne ulta usse hi daant diya, kaha wo iss ghar ka hone wala maalik hai, iss ghar ki har cheez pe uska hak hai, kya hua jo usne chori ki, tum to abhi se jugali karne lagi ho, bade ho kar to logon k gharon mein aag lagaogi, itna hi nahi usse iske liye peeta bhi, iski shikaayat usne apne pita se ki par unhone bhi maa ka hi paksh liya, badi bahan se ki to usne bhi ye hi kaha ki hum ladkiyon k naseeb mein to ye hi likha hota hai, hume to har kadam pe kewal balidaan hi karne padte hain, humara to koi astitwa hi nahi hai,

       itna sunne k baad kiran se raha nahi gaya aur usne ghar chhodne ka faisla liya, ek din wo bina kisi ko kuch bataye ghar chhod kar challi gai, ghar walon ne thodi bahut koshish ki usse dhoodne ki par naakamyaab rahe, jyada wo karna bhi nahi chaahte the wo dil se bhi ye hi chaahte the ki Kiran na mile to achha kyon ek ladki ki shaadi ka kharch to bachh jaayga, aur unki uppar wale ne sun li, unhe Kiran ka koi suraag nahi mila,



       udhar kiran bhatakte bhatakte bhookhi pyaasi na jaane kis shahar mein pahuch gai thi, badi badi buildings, motor gaadiya, aalishaan ghar the, aisa usne apne shahar mein nahi dekha tha, bhookh pyaas se wyaakul Kiran beech sadak par chakkar kha kar ek gaadi k aage gir padi, uss gaadi wale ne gaadi roki aur iss bachhi k ghar walon k aawaz lagai, par koi kahi se jawab nahi mila, thak haar kar wo isse apne ghar le aaya, Dr. se ilaaz k dauraan pata chala ki iss ladki ne kai dinon se kuch nhi khaya aur piya hai, ye to ek chamtakaar hai jo ye ladki abi tak zinda hai bina kuch khaaye aur piye,  Dr. k ilaaz aur uss aadmi aur uski patni ki behtar dekhbhaal se Kiran jald hi theek ho gayi, fir unhone Kiran se uske ghar k bare mein puchha, ki wo kaun hai, kahan se aayi hai, uske maata pita kaun hai aur kahan rahte hain, kya karte hain, aise wo yaha kyon chali aayi, kya wo apne pareewar se pichhad gayi hai, Kiran ne unse kuch nahi chhipaaya, sab kuch sachh sachh bata diya,, wo log bade hi bhale log the, uss shahar k naami raish the, uppar wale ne unhe sab kuch diya tha par jo nahi diya tha wo tha santaan ka sukh, unhe iss bachhi ko dekh kar laga shayad uppar wale ne ye bachhi sirf humari sooni duniya ko bharne k liye di hai,



         unn logon ne Kiran ko apne paas hi rakh liye aur kisi  tarah Kanooni taur par bhi usse godd le kar kanoonan uske maata pita ban gaye, unhone uski apni sagi beti jaisee parwarish ki, achhi padai likhai k saath uski har ichha puri ki, padai poori hone k baad Kiran ne hi apne godd liye huye mata pita ka wyaapar sambhaala aur usse aur bhi jyada bulandiyon tak pahuchaaya,

         kismat ka ferr dekhiye ek din uski Company ko Sarkaar ki taraf se bahut bada contract mila uss shahar mein Vikaas karne ka jaha Kiran ka janm hua tha aur jahan uske janm dene wale maati pita rahte the, Kiran ko barson baad waha apne kaam k silsile mein jana pada, ek din wo apne majdooron k kaam dekhne achaanak waha apne gaadi se jaise pahuchi to ek soorat usse badi jaane pahchaani c lagi, wo nazdik gayi aur dekha ek vradh aadmi aur ek vradh aurat jin se theek se khada bhi nahi hua ja raha hai wo yaha kaam kar rahe hain, usne apne Manager se puchha ki ye kaun hai, yaha inhe kisne rakha hai, inke naam aur pate batao, to usne kaha ki inhone badi mannat ki thi ki hum kaam de do, humne kai dino se kuch nahi khaya hai, humare bete aur bahu ne bhi hume ghar se nikaal diya hai, hum bekhar hai, kaam saath saath hume yaha inn tambu mein rahne ko bhi kuch din mil jaayga, manager ne kaha inki dasha ko dekh kar maine inhe kaam par rakh liya,


       Kiran ko unki dasha par bahut dukh huaa, wo unke paas gayi, aur unhe aaram karne ko kaha, usne unke bete bahu aur betiyon k bare mein pucha, to unhone bataya ki kaise unke bete aur bahu ne unhe gha se nikaal diya, sab kuch unse chheen liya,
 fir kiran ne unki betiyon k bare mein puchha ki unhone koi madad nahi ki, to unn logon ne kaha unse jitnaa ban sakta tha ki, fir usne unki uss beti k bare mein puchha jo barson pahle kahi chali gayi thi aur aaj tak nahi mili, wo heraan usse dekhte rah gaye, unhone puchha ki tum ye kaise jaanti ho, to kiran ne kaha main aapki wahi beti hoon jo barso pahle aapse door chali gayi thi, ye dekh kar wo achambhit rah gaye, iske baad kiran ne unhe apne saar kahani batayi aur puchha aap logon ne mujhe dhoonda kyon nahi, agar mujhe dhoond kar tab ghar le aaye hote to aaj aap log yu beghar nahi ghoom rahe hote, yu daane daane ko mohtaaz na hote,  Kiran k maata pitaa ki aanhon mein sharmindi aur pachhtaawa saaf jhalk raha tha, unhone kaha hum jaante hai beti hum maafi k kaabil to nahi hai par hume ho sake to maaf kar do,


   iske baad Kiran unhe waha se door apne ghar le aayi aur apne godd liye huye mata pita k saath hi apne janm dene wale mata pita ka bhi budape ka saha bani..................





  ek sawal jo mere zehan mein baar baar uthta hai iss kahane k baad  aur wo ye hai ki aaj k daur mein jab ladkiya ladkon k saath mil kar, kandhe se kandha mila kar baahar aur ghar donon jagah ko behatar tareeke se sambhal rahi hai to aaj bhi bete aur beti mein fark kyon, kyon betiya budaape ka sahara nhi maanti jaati, kyon unki shaadi hone pe unhe paraya kar dya jaata hai, kyon sirf unke ladki hone pe mata pita aur ye samaj unse unka hak chheen leta hai kyon ki wo ek ladki hai isliye??????? 

--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

1 comment: