Monday, 1 October 2012

Ishawar Vaani....*3* **maanav jivan**


"Ishwar ne hume ye maanav jivan apne pichhle janmo ki galtiya sudharne aur Ishwar ke bataye gaye marg par chal kar moksh prapt kar ussi Ishwar mein vileen hone hetu diya hai, jaane anjane humse kitne paap hote hai, agr ek phool bhi yadi hum todte hain to wo peedah uss nirdosh pedd ko hoti jiska kasur sirf ye tha ki usne ek sundar pushp ko apni tehni par khilne diya, jaate jaate raaste yadi perr k
niche ek nanhi c chinti bhi aa jaye jo pidah usse hoti hai, sach to ye hai hum jane anjane kitno ko dard aur peedah dete hain, dekhne bhale lage ki ye to sirf ek falaa jeev ki peedah par sach to ye hai ki hum yadi kisi ek ko bhi dukh dete hai to uss Ishwar ko peedah hoti hai, Ishwar ne hume yaha sabhi praniyo k dukh dard dur krne hetu ye maanav jivan diya ha na ki swaarth sidhhi hetu dusro ko kasht aur aansu dene hetu, jo maunshya dusro ko dukhi kar sirf apni khushi k baare me sochte hain wo kabhi Ishwar ki kripa k paatra nhi bante aur na hi moksh ko prapt hote hai, wo sadev iss sansar ki janm-maran ki maya mei ulajh kar reh jate hai.."

No comments:

Post a Comment