Namskaar doston aaj hum apni Ishwar Vaani mein Ishwar dwaara banayi gayi iss duniya mein uske vibhinn rangon ki charcha karenge, hum aapko bataynge ki Ishwar ne iss shristi mein vibhinn rangon ko banaya arthaath inn rangon se humara aur shristi ka kya sambhandh hai..
Ishwar kahte hain, "maine iss duniya mein vibhinn rangon ka nirmaan vishesh uddeshyon se kiya hai,
Pratham : yadi sansaar mein har jagah ek jaisa hi har jagah nazar aaye to srishti mein aur jeevan mein neerasta utpann ho jaaygi, issi neerasta ko khatm karne ke liye maine rangon ka nirmaan kiya,
Dwityaa : inn rangon ka sambhandh praani ke vyavhaar, vikaas aur avasthao se bhi hai, jaise praani ka vyavhaar sada ek sa nahi rahta, jaise praani kabhi prasann to kabhi krodhit rahta hai waise hi ye rang bhi sada badlte rahte hain,
jaise maanav ki avastha aur vyavhaar mein pareewartan aata hai waise hi inn rangon mein sada pareewartan aate rahte hain,
Ishwar ne praani kee avasthao ke aadhar par hi satrangi Indadhanush ka bhi nirmaan kiya hai, ye satrangi indradhanush maanav ki saat avasthao ke anuroop rangon ka bakhaan karta hai,
Ishwar kahte hai jaise praani ki avastha, vyavhaar, vikaas, soch, samajh, unnati, aavshyaktaye, ichhaye sada ek jaise nhi rahtee sadaa pareevartit hote rahte hain, ussi ke anuroop uske jeevan ke rang bhi badlte rahte hain, jaise usse bachpan mein khelono se khelne par jeevan ke aanand ka anubhav praapt hota tha, ussi mein usse jeevan ke rangon ke darshan hote the kintu bade hone par uski aavshyakta badli aur jeevan ke rangon mein bhi pareevartan aaya,
Ishwar kahte hain ye sab aavshyak bhi hai kyon ki yadi aisa na ho aur samay samay pareevartan na ho to ye samast shristi neeras lagne lagegi, Ishwar kahte hain isliye unhone praaniyon ko bhi srishti ke vibhinn rahsyon ke baare mein jaankari nahi di kintu usse samajh avashya di hai taaki wo kuch had tak apne mann ki jigyaasa ko shaant karne hetu praayas kare aur safalta prapt kare taaki shrishti mein aur praani jeevan mein neerasta na sake aur praani sada kuch na kuch naya karne kee ichha se sadaa kisi na kisi kaayra mein vaysht rahe aur praaysrat rahe jo uski budhhi aur samajh ke anukool ho,
Ishwar kahte hai praani ke ye hi prayaas aur jigyaasa hi usse jeevan ke vibhinn rangon ke darshan karati , aur issi liye unhone kai vishesh uddeshyon se inka nirmaan kiya hai, ye rang aur inka sambhandh praaniyon ke vyaktitwa se hota hai athwa vyaktitwa nirmaan mein bhi inki aham bhoomika hoti hai, bina rangon ke ye duniya neeras aur adhoori c lagti hai, iss adhoorepan ko poora karne ke liye hi Ishwar ne inka nirmaan kar srishti ko ek anmol tohfa diya hai.."
Jara soch kar dekhiye bina rango ke ye duniya kaisi lagti....
wish you a very happy holi to all of you my dear friends
Jara soch kar dekhiye bina rango ke ye duniya kaisi lagti....
wish you a very happy holi to all of you my dear friends
thanks and regards
Archu
No comments:
Post a Comment