aaya
ek khyaal zahan mein ki kuch likhu main, badalte waqt ke haalat likhu
main ya fir mausam ke badlte mizaaz likhu main, aaya ek khyaal zahan
mein mere ki kuch likhu main, toote huye dil ki baat likhu main ya fir
apne dard bhare ahsaas likhu main, aaya ek khyaal zahan mein ki kuch
likhu main, apne tanha zindagi ki daastaan likhu main ya fir logon ke
badalte armaan likhu main, aaya ek khyaal zahan mein ki kuch likhu main,
namm hoti apni aakhon ki uss wazah ko likhu main ya fir apni jhoothi
muskaan ke pichhe chhipi uss bebasi ko bayan karu main, aaya ek khyaal
zahan mein ki kuch likhu main, apni har daastan likhu main ya fir iss
duniya ki baat likhu main, nahi aa raha kuch samajh mein mere par ye
naadan dil kahta hai mujhse kuch likhu main, aaj fir kuch likhu main,
No comments:
Post a Comment