Saturday, 30 March 2013

ae kaash ab to mil jaaye wo mujhe kahi.......

kyon zindagi mein kisi ki kami si lagti hai, kyon chalte huye raah mein akele zindagi sooni si lagti hai, chaahta hai ye dil mera kaash mil jaaye koi mujhe bhi aisa jo le kar apni baaho mein mujhe duniya se chhipa le, behte huye mere ashko ko apne haathon se ponch daale, jo na aane de inhe kabhi meri aankhon se baahar meri berang zindagi mein wo itne rang bhar daale, karu mehfooz khud ko uske seene lipat kar main, duniya ki har nazar se mujhe wo bachaa le, ho uska saath meri zindagi ke ant tak, thaam ke rakhe mera wo haath jab rahe dil mein dhadkan aur chalti rahe saans tab tak, chhod na jaaye wo fir mujhe kabhi tanha, tod na jaaye fir wo ye rishta, chaahta hai dil kahi mil jaaye wo mujhe ab, aakar sambhaale mujhe wo jo ho mera hamsafar, kaash mil jaaye kahi wo, chalte huye raah mein akele ye zindagi ab sooni si lagti hai, zindagi mein ab kisi apne ki kami si lagti hai, ae meri kismat din beete beeti kai raat ab to mujhe ye to bata ki kab hogi meri unse mulaakat, kab meri sooni zindagi mein bahaar aaygi, kab unse milne ki wo raat aaygi, khalne lagi ab ye zindagi unke bin, ae kaash ab to mil jaaye wo mujhe kahi.......


No comments:

Post a Comment