Ishwar kahte hain "main us kumbhaar ki bhaati hoon Jo nit roh miitti ke sundar bartan banata hai, kintu yadi unme koi kami ho jaati hai to punah unhe ya to nasht kar ya yadi sudharne layak koi bartan hai usme sudhar karta hai,
Hey manushyo issi tarah samast brahmand evam sabhi prani mere liye us bartan ke samaan hai jise main banata hoon, kintu jab jab isme kami aane lagti hai ya bartan purana ho khrab hone lagta hai tab main desh/kaal/ paristithi ke anuroop prakat ho usse sudharta hoon kintu yadi kami aisi hai jo thik hone ke layak nahi tab us bartan arthaat pralay la sab kuch nasht kar deta hoon,
Kintu jaisa ki vibhinn pavitra shaastro mein likha hai us wakt bhi bahut saari jagah desh/kaal/ paristithi ke anuroop hai WO bach jayngi Jo mere paas surakshit rahengi kintu nayi shrishti nirman ke baad unhe punah waha sthaapit kar diya jayega taki pavitra shaastro par manav ka vishwas bana rahe aur unka kathan satya saabit ho"
No comments:
Post a Comment