Friday, 25 March 2016

ishwar vaani-131, ishwar us vraksh ke samaan

Ishwar kahte hain, "main us vraksh ke samaan hoon jiski anek jad tatha shakha hai, koi meri kisi bhi jad par JAL arpan kare mujhe hi milta hai issi prakar meri kisi bhi shakha par pushp khile wo bhi mujhme hi hota hai,

Hey manushyo tum chaahe jis naam ka smaran karo aur meri aaradhna karo mujh tak hi pahuchne ka marg hai, 

Ye sampoorn sansaar mere us vraksh roopi dehh par lage pushp ke saman hai, sansar mein pratek jeev jahan bhi janm le, jis roop mein janm le wo mera hi to pushp hai, mujhse alag ho uska kya astitwa,

Hey manushyo maine tumhe sansaar mein bheja, satyug mein tum ek saath ek sthaan par rahte the kintu main treta yug aate aate tumhe dharti ke khando ke saath alag sthaano par bhej diya, taki desh/kaal/paristithi ke anuroop anek naam aur roop mein tum mujhe pukaaro aur mere dikhaaye marg par chalo saath hi ye gyaan tumhe mile ishwar ek hi hai jisse tum jis naam aur roop mein pukaro aur meri upaasna karo, saath hi mujhe praapt karne ke nimn marg apnao,

Hey manushyo mujhe prapt karne ka Jo bhi marg apnaao, sachha saatvik marg tumhe mujh tak pahuchata hai chahe jis vidhi vidhaan se mujhe pukaro par pukaro aur meri vyavstha ke anuroop chalo,

Tumhara kalyan ho

No comments:

Post a Comment