Wednesday, 30 March 2016

ishwar vaani-133, manviye sanvednaye

Ishwar kahte hain, "dukh dard tamam taklif, amir-garib, khushi-gam, prem-durbhawana, uncha-nicha, pavitrata-apavitrata, muskan-ashru ye sab kewal maanviye sanvednaaye hai, ishwar ka inse koi sarokaar nahi hai,

Jo vyakti Maya mein fassa hai usse in sab ko bhogna hi padta hai, kintu jisne maya par vijay haasil kar li wohi in sanvednao aur in vichaaro se mukti pa ishwar ka karibi aur ek sachha saint banta hai,

Ek sachhe saint mein prani jaati ke  kalyaan aur meri upaasna ke atirikt koi sanvedna nahi hoti, kintu saint ka choga pahan Maya ke pichhe jo vyakti bhagte hain aise pakhandi ko saint kah is shabd ko lazzit nahi karna chahiye kyonki sachha saint mujhe ati priye hai aur jo is naam ko dharan kar galat kratya karta hai mere kop ka bhaagi hota hai"

No comments:

Post a Comment