Wednesday, 29 August 2012

sad poetry........

ye sooni sooni rahe, ye baarish ki boonde, ye thandi thandi hawa ye har taraf failye fiza ye ghata aur kuch nahi bas mere toote huye dil ki kahani hai, tanha hoon main aaj yaha aur meri aankhon mein sirf paani hai,

jo dekhe khwaab maine wo toot kar bikharte rahe, hum to unke liye jeena bhool gaye aur wo hume khud se door karte rahe, hui khata humse sirf wafa-e-ishk ki, par unki nazar mein hum to bas yu hi sab kuch bewazah aansu bahate rahe, 

na to kabhi chahat ki thi unhe humne paane ki aur na kabhi koshish ki unhe aajmane ki, unki har baat ko sachh samajhte rahe, unki har khushi k liye khud har dard sahte rahe, na pahuche koi chot unke dil ko bas ye soch kar unke har sitam ko hum sahte rahe,

na pata tha hume zindagi hume humari chahat ka ye inaam degi, jinke liye zindagi bhar tarste rahe unhi se ruswai degi, shayad ye hi inaam hota hai wafa-e-mohabbat karne walon ka duniya mein tabhi sachhi chaahat yaha duniya ab se na fir kabhi dikhai degi,

kyon tod dete dil log unhi ka jo kar dete hain zindagi apni naam sirf mohabbat k, kyon milte hain aksar dhokhe unhi  ko jo apni chahat k liye duniya ko bhi chhod dete hain, kyon nahi iss duniya mein sachhi mohabbat ki kadra karne wala koi, kyon hai duniya mein sirf dhokhe dene wala har koi,

dosh du to kise, kuch kahu to kise, na kuch kahne laayak hoon main aur na kuch samajhne layak hoon main,
naseeba hi mera aisa hai jisme hi shayad ye likha hai, mere dard se shayad unhe kushi mile shayad isliye uss rab ne meri zidangi ki  kahani ko aisa likha hai,

ye sooni sooni rahe, ye baarish ki boonde, ye thandi thandi hawa ye har taraf failye fiza ye ghata aur kuch nahi bas mere toote huye dil ki kahani hai, tanha hoon main aaj yaha aur meri aankhon mein sirf paani hai,

No comments:

Post a Comment