bahut puraani baat hai, kisi raajya mein ek bahut hi gyaani maha purush raha karte the, bade hi vidwaan the wo, unse jo bhi koi shaashtrarth karta to usse sadev hi haar ka mukh dekhna padta, dheere dheere unhe apne gyaan ko le kar ahankaar hone laga, ab unhone shart rakhi ki jo bhi koi unse ab shaashtrarth karega aur yadi wo haar gaya to usse jal samadhi le kar apne praan tyaagne honge, iske pashchaat jis jis ne bhi unse shaashtarth kiya wo sab haar gaye aur unhe jal samadhi mein apne praan tyaagne pade,
ek roz ek bahut hi gareeb vidwaan unse shaashtrarth karne aaye, unhone socha tha yadi wo jeet gaye isme to unhe itnaa naam, prasadhi tatha dhan aur ashwarya prapt hoga jisse unke putra aur panti ki zindagi behatar ho sakegi, unke gareebi ke din mit jaaynge, kintu durbhaagya se wo bhi uss ahankaari gyaani vidwaan se haar gaye aur unhe apni patni aur abodh putra ko chhod kar shart ke mutaabik jal samadhi mein apne praan tyaagne pade, iske pashchaat ab uss ahankaari vidwaan se sabhi vidwaan shaashtrarth karne se katraane lage, kintu bahut varshon baad kisi nagar se ek yuwa vidwaan ka niwedan aaya unke paas shaashtrarth ke liye, par uss ahankaari vidwaan ne usse shaashtrarth karne se ye kah kar mana kar diya ki jahan bade bade unke saamne na tik sake waha ye abodh agyaani baalak kaise tik sakta hai, apne ahankaar mein choor huye vidwaan ne iss shaashtrarth ke liye mana kar diya tha,
kintu ek din jab wo ahankaari vidwaan apne raajya ke raaja ke mahal mein kisi yagya mein bhaag le raha tha tabhi soochna prapt hui ki wo hi yuwa vidwaan unse waha shaashtrarth karne aa raha hai, kuch hi shhan mein wo waha pauch bhi gya, kintu usse dekh kar na sirf jan saadharan apitu usse ahankaari vidwaan avam raja ke mukh se hassi chhot padi, unhone dekha behad vichira se dikhne wala kubda aur behad badsoorat yuwa vyakti unse shaashtrarth karne ki hath kar raha hai, sampoorn sabha mein sabhi ke mukh se jor jor ke thahaake ki aawaz aane lagi, ye dekh kar wo yuwa vidwaan bhi jor jor kar thahaake mar kar hasne laga, usse haste huye dekh kar sabha mein sabki hassi band ho gayi, kisi ne puchha usse ki sab to tumhe dekh kar hass rahe hai aur tum iss baat ka bura maanne ki jagah hass rahe ho, uss yuwa vidwaan ne kaha ki maine to inn sabke agyaan par hass raha hoon, ye log mujh par isliye hass rahe hain kyon main kubda, badsoorat aur ashtvrak hoon, kintu main inn sab par isliye hass raha hoon kyon ki ye uss Ishwar ke rachna par hass rahe hain, mujhe bhi ussi Ishwar ne hi banaya hai jisne inn sabhi ko banaya hai, yadi ye log mera uphaas bana rahe hain to ye uss Ishwsar ka uphaas bana rahe hain, kyon ki wo hi samasht praaniyon ko shareer, roop, rang, avashtha pradaan karta hai, inka uphaas karna uss parmeshwar ki rachna par dosh lagana hai jisne sampoorn jagat ki rachana ki hai, uski ye baat sun kar sabhi log sharm se laal ho gaye, aur uss sabha ke raaja ne uthh kar khud unka swaagat kiya aur unka naam aur aane ka mukhya kaaran puchha,
uss yuwa vidwaan ne kaha ki unka naam Ashtwrak hai, aur wo yaha raja ke mahan gyaani pandit se shaashtrarht ke liye aaye hain, raja ne kaha ki inke shart ke mutaabik jo bhi koi praani inse haarta hai usse jal samadhi leni padti hai, kintu Ashtwrak ne kaha aur yadi ye haar gaye to kya ye bhi jal samadhi le sakenge, iss par uss ahankaari vidwaan ne kaha haan yadi main haar gya to swam bhi jal samadhi mein apne praan tyaag dunga kintu aaj tak aisa hua hi nahi hai aur na hi kabhi hoga, Ashtwrak bole ye to nikat bhavishiya mein pata chalega lekin aap shaashtrarth ke liye pahle maane to sahi, wo ahankaari vidwaan ab iske liye maan gya, ek ke baad ek vaad-vivaad aur shaashrarth ki ladi lagti rahi, uss ahankaari ke prashno ke sabhi jawab Ashwrak badi hi kushalta ke saath dete chale gaye, wo ahankaari bhi Ashtwrak ke sabhi sawalon ke jawab aasani se deta raha, subah se shaam ho gayi, aisa lag raha tha jaise ye shaashrarth kabhi khatm hi na hoga, kintu shaam ke aakhiri prahar mein Ashtwrak ne kuch aisa sawal uss ahankaari vidwaan se puchha jiska jwab uske paas na nikla, shart ke mutaabik ab uss ahankaari vidwaan ko jal samadhi leni thi, raaja bhi ab Ashtwrak ke shaashtrarth ke ab tak kaayal ho chuke the, avam unhone jal samadhi ke liye apne maha gyaani pandit ke liye sabhi taiyaariyon shuru kar di thi, jaldi hi sabhi taiyaariya poori ho gayi aur unn ahankaarvidwaan ko jal samadhi mein vileen hone ka samay nikat aa gaya, har jagah ab logon ki bheed iss drashya ko dekhne ke liye ekatratit hone lagi, kintu jaise hi nadi mein wo gyaani maharaj utarne lage tabhi Ashtwrak ne unhe rok liye, Raja bole yuwa Vidwaan aap ye kya kr rahe hain, shart ke mutaabik harne wale ko jal samadhi leni padti hai, ye shart khud inhone hi rakhi hui thi, inhe inki shart ke mutaabik jal samadhi mein vileen hone de pandit maharaj, Ashtwrak bole rajan: inke ahankaar ko todne ke liye hi main yaha aaya tha, mera uddeshya ek maha gyaani ki jeevan leela samapt kar khud ko maha gyaani banane ki koi ichha nahi thi aur na hai, maine bas ye hi inhe aaj ye samjhane aaya hoon ki inki iss shart ke kaaran na jaane kitne begunah aur bade bade vidwaanon ne jal samadhi prapt ki jo ki yadi jeevit rahte to desh aur raajya ki unnati ke kaam aate, Ashtwrak bole inki issi shart ke kaaran jane kitne hi vidwaanon ne apne pareewar ko daaw pe laga kar iss ummid mein shaastrarth kiya ki yadi wo jeet jaaye to na kewal unke desh/raajya ka bhala hoga apitu unke gareebi aur dukh ke din bhi mit jaaynge kintu aisa na ho saka aur haarne ke kaaran unhe apne pareewar ko bhi sirf Ishwar bharose chhod kar bina kisi dosh ke iss nadi mein jal samadhi le apne praan tyaagne pade, Ashtwrak ne kaha mere pita bhi inhi maha gyaani se shaashtarth isliye karne aaye the ki yadi wo jeet gaye to na sirf unki patni aur putra ka apitu samast raajya ka bhala hoga kintu wo haar gaye aur unhe iss nadi mein jal samadhi le kar apne praan tyaagne pade, unhone kaha tab se unhone ye pran kar liya tha ki wo iss kupratha ko khatm kar ke sukoon se baithenge,
Ashtwrak ki baat sun kar wo maha gyaani apni hi iss shart se lazzit ho gaye, unhe apni galti ka ahsaas ho gya aur unhone Ashtwrak se shhama mang li aur aage se aisa na karne ke liye kaha....
MORAL THING: humare paas chaahe jitnee bhi shakti ho, saamaarthya ho, taakat ho, budhhi ho kintu hume uska ahankaar nahi karna chahiye, na hi kabhi kisi ko khud se kam samajhna chaahiye, kisi ke baahari aakarshan se uske andar ke achhe ya bure, guni ya avguni hone ka andaja nahi lagaya ja sakta, kisi ka uphaas karne se pahle hume ye jaan lena chaahiye ki isse bhi bananae wala wo hai Ishwar hai jisne hume banaya hai, humi uski rachana ka uphaas karne ka koi adhikaar nahi hai, aur na hi khud ki kaabiliyat par ye samajh kar ahankaar karna chaahiye ki humse jyada shresht iss sampoorn sansaar mein koi hai hi nahi.........
No comments:
Post a Comment