“jab dhoondne chala main iss jagat ke maalik ko to kisi ne kaha ki wo to rahta hai mandir mein par dekha jab maine waha
ja kar na mila mujhe prabhu waha tu, mili koi moorat jise log kahne lage ye hi to hai prabhu oo
moorakh, fir kisi ne kaha tu dhoondta hai moorakh kahan uss duniya banana wale
ko, wo na milenge tujhe inn mandir ke ujiyaalon mein kyon ki wo to rahte hai
masjid ki galiyaaron mein, sun kar uski baat maine fir dhoonda uss rab ko
masjid ki deewaron se bane galiyaron
mein, par waha bhi khaalipan ke siwa na dikha mujhe kuch, puchha maine kaha hai
yaha duniya banana wala to kaha yahi to hai wo kar dua teri kubul hogi, wo rab
rahta hai bas yahi, sunta hai apne
bandon bas yahi, fir kisi ne kaha moorakh
kahan dhoondta hai tu uss rab ko, wo na milege tujhe yaha waha kyon ki unka to
hai aashiya gurudware ke chaubare pe, dekha maine ja kar jab waha na thi koi
moorat aur na tha galiyaron ka sa soonapan waha, par jo dhoondne gaya main waha
apne prabhu ko wo bhi na dikhe mujhe waha, maine puchha kahan hain prabhu yaha
to kisi ne kaha ye hi to wo jagah rahte
hai duniye ke sachhe baadshah jahan, chalte chalte fir kisi ne mujhe pukaara
aur kaha dhoondte ho tum uss duniya banane wale ko yaha waha wo to tujhe milege
Girja(churcha) ke dwaare, ja dekh unhe tu, dhoond unhe waha tu, rahte hai
prabhu waha, wahi tujhse honge wo ru-b-ru, jab maine Girja(Church) mein jaise
hi kadam rakha main hua bhochakka, na mile waha prabhu aur na hua main unse
waha ru-b-ru, dekha to ek moorat thi mohak si, dekh usse karte the naman sabhi,
maine puchha kaha hai prabhu to kaha kisi ne kaha ye hi to hai wo duniya banane
wale, dekh ye sab nazara maine ghar aane ka mann tha ab banaya, nahi mile
prabhu mujhe iss duniya ki chaahar deewari mein, nahi rahte agar wo yaha to
kaha milenge mujhe wo duniya banane wale, sochh sochh kar kadam badte the mere
ja rahe tabhi kisi ki pukaar mujhe thi ab sunai dene lagi koi ajanabi swar tha
mujhe nadi ki taraf se pukar raha , dekha jab maine uss oor tha doob raha koi ajnabi uss behti dhaara ki
oor jahan sunai de raha tha ye maanav dhwani ka shoor , dekh mujhe wo chilla
kar paas bulane laga, chahiye thi ek madad kisi madadgaar ki usse, sab kuch
bhool kar main ab usko bachane ke liye paani mein fri kood pada, nikaal usse
jab nadiya se main baahar laaya dekha to aakash se dharti pe koi aakrati thi
mujhe ab gherre huye, kahne lagi wo mujhe ab, teri talash ho gayi hai poori,
teri jigyaasha ne mujhe fir se iss duniya mein la diya, mera vibhaajan karne
wale se door tune aaj mujhe hai pa liya, maine puchha kaun hai aap wo aakrati
kahne lagi main hoon teri abhilaasha ko trapt karne wala, main hi hoon duniya ka nirmaan karne
wala sirf teri achhai ke badle hi aaj mujhe yaha hai aana pada, tu dhoond raha
tha mujhe yaha waha dekh apne dil ki gehrai mein waha milega tujhe wo duniya
banane wala, waha dikhai dega tujhe wo mera aashiya, maine kaha par log to
tujhe dhoondne jate hai jane kahan kahan par tum kahte ho tum rahte ho dil ke
gehrai mein aur waha hai tumhra aashiya, to kahne laga wo duniya banane wala jo
hai paapi wo hi dhoonte hai mujhe apne dil ko chhod kar yaha waha, par sachh to
ye hi hai duniya ki naasvan bhotikta se door main to hoon har kahi aur har
jagah, rahta hoon main to bas uss jagah jaha leta hai jo naam sachhe dil se
mera main to hoon har uss jagah, main to hoon har uss jagah jahan pukara jata
hai mujhe dil se har uss jagah, duniya ki banai kisi bhotikta mein nahi main
to hoon bas uss jagah jahan pukara jata
hai dil se mujhe main to hoon har uss jagah, na dhoondna tum ab mujhe har
jagah jab chaahat kare mujhse milne ki
dil ki gerai mein mujhe jhaank lena, lena naam mera sachhi bhaavna se aur karna
sada aise hi nihswaarth upkaar har musibat se ghire huye prani ki tab tum sada
rah sakoge mere apne kareeb, Prabhu milenge tumhe bas ab yahi aur har kahi… ”
No comments:
Post a Comment