Nafarat
"kabi mohbbat-ae-alfaaz bhi adhure se lagte the
apni chahat ko bayan krne ke liye, aaj nafrat bhari nigah bhi beimaan c lagti
h, kabhi chaahaton ke taraane bhaate the mujhe
aur aaj nafarat bhare afsaane achhe laagte hain, kabhi jalta tha chirag
dil mein mere tere Ishk ka aaj jalti hai jwaala nafarat ki iss dil mein, hoti
thi kurbaan jo kabhi zindagi meri tujhpe
tere pyar mein aur aaj nafarat ki chita mein jal gaya wo rishta humari
chaahaton ka , khatm ho chuka hai har silsila humari chaahaton ka aur toote
huye dil ke tukdon ke saath mar chuke
hain hum aaj ek dusre ke liye jo kabhi the zinda to ek dusre k liye, nafarat ki
diwar mein dafan ho chukka hai aaj ab wo ikraar humara, aaj nafarat ki aag mein
jal kar khaak ho gaya wo saath humara, kabhi hasrate thi dil mein humare ek doosre ki baahon mein zindagi bitaane ki aaj jafrat ke jwala mein jal kar raakh ho chuki wo beete lamhon ki baatein saari, nafarat ki aag mein jal chuki hai aaj yaari humari, khatm ho chuki hai aaj wo dilon mein thi jo chaahaton ki chingaari, kabhi mohabbat ae alfaaz bhi adhure se lagte the apni chaahto ko bayan karne ke liye aur aaj….."
No comments:
Post a Comment